Allah Ke Apne Makhluk Par Inaam
Hiqayat :-
Ek Aarif Ne Ek Magroor Shaks Ko Ghode Per Sawaar Dekhker Taajjub Se Pucha,
Bhai! Itna Kyon Akadte Ho?
Usne Kaha Ki Main Baadshah Ka Khaas Aadmi Hoon!
Wo Sota Hain To Pehra Deta Hoon,
Use Bhook Lagti Hain To Khana Main Khilata Hoon,
Pyaas Lagti Hain To Pani Pilata Hoon Aur Mujhe Din Me 3 Bar Pyaar Se Dekhta Hain!
Aarif Ne Pucha Ki Aur Agar Tum Se Kisi Baat Per Khatah (Naraaz, Galti) Ho jaye To Kya Hota Hain?
Wo Bola,
Kode Lagte Hain Aur Maara Jata Hoon!
Aarif Ne Farmaya,
Agar Yeh Baat Hain To Mujhe Tumse Zyada Naaz Wa Fakr Hona Chahiye,
Kyonki Main Jis Baadshah Ka Gulam Hoon Wo Mujhe Khud Khilata-Pilata Hain,
So Jaun To Meri Hifazat Karta Hain Aur Tanhayi Me Monis (Humdam) Banjata Hain!
Mujhse Koi Gaflat Ya Khatah Hojaye To Muaf Bhi Ker deta Hai
Aur Har Roz Din Me 360 Martaba Nazr-A-Rehmat Se Mujhe Dekhta Hain!
Wo Baadshah Ka Gulam Is Baat Se Muttassir Hua
Aur Ghode Se Uter Pada!
Kaha Ki Mujhe Bhi Us Baadshah Ka Gulam Bana Dijiye!
(Nujjahtul Majalis, Jild-1, Pg-440)
Sabak :-
Jo Inaam Wa Ikraam ALLAH Ne Apni Makhluk Per Kiye Hai Aise Inaam Wa Ikraam Koi Bade Se Bada Baadshah Bhi Nahi Ker Sakta!