Islamic sms

Ziyarate Quboor Ki Dalil Aur Aadab

Assalamo Alaikum Khawatino Hazrat,

Ziyarat-E-Quboor Ko Lekar Awaam Me Kuch Galatfehmiya Hai Jinhe Hume Aur AApko Mil Kar Door Karna Hai Aur Kuch Bad Aqeeda Be-Deen Firqe Ke Afrad Hai Jo Iski Aad Me Bholibhali Awam Ko Gumrah Kar Rahe Hai. Lihaza Hume Chahiye Ke Hum Khud Tehqiq Kare Phir Hi Kisi Bat Par Amal Kare. Ziyarate Qabr KarneSe Aapko Aakhirat Ki Yaad Hoti Hai. 

(1) Hazrat Burida radiallah ta’ ala anhu se riwayat hai ke Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ke
“Maine tum logo ko Qabro ki ziyarat se mana kiya tha. Ab main tumhe ijazat deta hu ke un ki ziyarat karo.’
(Muslim, & Mishkaat Safa No.154)

Hazrat Shaikh Abdul Haqq muhaddis Dehlwi Bukhari rehmatullahi alaihi is Hadees sharif ki Sharah me farmate hain ke:
“Zamana E jaahiliyat se qarib hone ke sabab is andeshe se Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne pehle qabro ki ziyarat se mana kar diya taake log unke saath phir se kahi jaahiliyat wala rawaiya ikhtiyar na kar len. Phir jab Islam ke Qanoon se log khub aagah ho gaye to Aap sallallahu alaihi wasallam ne qabro ki ziyarat ke liye ijazat de di.
’(Ash’atul Amlaat, Jild 1, Safa 717)
(2) Hazrat Ibne Mas’ood radiallah ta’ ala anhu se riwayat hai ke Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ke
“‘Maine Logon ko qabron ki ziyarat se roka tha,
To ab tum un ki ziyarat karo.’
(Ibne Maajah,Mishkaat, Safa154)
(3)Hazrat Aayesha Siddiqa radiallah ta’ ala anhu se riwayat hai ke‘Jis raat ko Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam mere yaha kayaam farmate to aakhri raat me uthkar Madina ke qabrastan me tashrif le jaate.’
(Muslim, & Mishkaat, Safa154)
(4) Hazrat Mohammad bin Noaman radiallah ta’ala anhu se riwayat hai ke Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ke
“‘Jo apne maa-baap ki qabron ki ziyarat kare ya un me se kisi ek ki qabr ki har Jumma ke din ziyarat kare, to use bakhsh diya jaaega aur use neki karne wala likha jaaega.’
(Mishkaat Sharif, Safa 154)

Be Jaan Parindon Par Hum Waar Nahi Karte.
Murjhaye hue Foolon Se Hum Pyaar Nahi Karte.
Bas Karte Hain Ziyarat ALLAH Ke Waliyo Ki.
Gustakhe Rasool Ka Hum Deedaar Nahi Karte
Sar pe Taiba Ki Dhool Rakhte Hai
Dil Me Ishq-E-RASOOL Rakhte Hai
Hum Sunni Gulam-E-Musatafa Hai
Isiliye Apne Imaan ki Taazgi Ke liye Hum Mazaro Pe Phool Rakhte Hai
In AHADEES se sabit hota hai ke Auliya Allah ke mazaar aur Qabristan ki ziyarat karna jaiz hai.
Lekin ye yaad rakhe ke Auliya Allah ke mazaar par gilaf (chadar) chadhana aur khushboo lagana ya roshni karna, Tilawate Qur’an, Zikr aur Duroodo salaam padhna aur Allah ta’ala se unke waseele se dua karna ye sab Bid’ate Hasana aur jaiz hai.
Aur Mazaar par ya Qabristan me Aurtao ko jaana, nachna aur gana-bajana, khel tamasha karna ye sab Bid’ate mufassakah (yani gunahgar banana wali) hain.
Aur Qabr ko sajda karna ya chumna ya rooku ki tarah jhukna ya uska tawaf karna ye sab Bid’ate mukaffarah (yani Shirk aur Kufr tak pahunchane wali) hain.
In sab se hamesha bache aur doosro ko bhi in se bachne ke liye kahen.

Related Articles

2 Comments

  1. It was narrated that Abü Hurairah said:

    "The Prophet visited the grave of his mother, and he wept and caused those around him to weep too. Then he said:
    'I asked my Lord for permission to pray for forgiveness for her, but He did not grant me permission. And I asked Him for permission to visit her grave and He gave me permission, so visit graves, for they will remind you of death.
    (Sahih Al-Muslim English Version Volume 2 Hadees No. 2259)

    It was narrated that Ibn 'Abbas said: "The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam cursed women who visit graves and those who set up Masjids and lamps over them."
    (Da'if)
    (Sahih Abu Dawood English Version Volume 3 Women Visiting Graves Hadees No. 2236)

    Comments Below The Hadith:
    Thene is no restrietion on women visiting the graves provided they abide by the code of Islamic dress and conduct, as can be deduced from the aforesaid Ahadith that give blanket permission to Muslims to visit the graves. However, if women violate the Islamic morals, make loud lamentations, prostrate themselves before the graves or hoist lamps over them, they invite the curse of Allah. All such activities must be avoided, and those women who persist in such activities are not allowed to visit the graves.

    Please note that there is no such restrictions for women for visiting Greaves. A women who follows the laws of Shari'at can visit the greve. After the study of today's generation & traditions our Ulma has taken decision to don't allow women to visit graves.

    I hope you got answer from Authentic References of Pure Hadith. Keep visiting sharing with all of your near & dear ones. Don't forget to download Hamare Nabi Application from Google Play Store. Also remember me in your precious dua.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!