Ya Gause Aazam Dastgeer Shaikh Abdul Qadir Jilaani Radiallahu Ta'ala Anhu
Aasiron Ke Mushkil Kusha GAUSE AAZAM
Fakiron Ke Haajat-Rawa GAUSE AAZAM
Tere Hath Me Hath Humne Diya Hai
Tere Hath Hai Laaj YA GAUSE AAZAM
Muridon Ko Khatra Nahi Bahre Gam Se
Ki Bede Ke Hain Nakhuda GAUSE AAZAM
Tumhi Dukh Suno Apne Aafat-Zado’n Ka
Tumhi Dard Ki Do Dawa GAUSE AAZAM
Kasam Hai Ki Mushkil Ko Mushkil Na Paya
Kaha Humne Jis Waqt YA GAUSE AAZAM.
Na Chhute Hashr Tak Daman Tumhara Shahe Jilani
Yahi Ek Azm Hai Har Dam Hamara Shahe Jilani
Hua Woh Shakhs Kaamil Aap Ki Sohbat Me
Jisne Khuluse Dil Se Ek Lamha Guzara Shahe Jilani
Tumhara Naam Lekar Janibe Manzil Chala Hun Jab
To Manzil Ne Mujhe Khud Hi Pukara Shahe Jilani
Tumhari Pusht Par Daste Karam Hai b Taiba Ka
Mile Humko Bhi Nisbat Ka Utara Shahe Jilani
Khudara Deed Ki Pyasi Nigahon Ko Sare Mahshar
Dikhana Apne Jalwon Ka Nazara Shahe Jilani.
Teri Harkaton Pe Najdi Mujhe Kyon Na Khaar Aaye..
Teri Harkaton Pe Najdi Mujhe Kyon Na Khaar Aaye
“YA GAUS” Sunkar Tujhko Fauran Bukhaar Aaye..!
Karamat E Gause Aazam:
Gause Paak Radi Allahu Ta’ala Anhu Apne 70
Mureedo Ke Yaha Iftar Ki dawat Me Ek Hi Waqt Me
Maujood Rahe…
(Kutub E Kasira )
MAI QADRI HU SHUKAR HAI “”RAB E KAREEM”” KA
*********************
DAMAN HAI MERE HATH MAI PIRAN E PEER KA
*********************
DAMAN PAKDA HAI MAINE PIRAAN E PEER KA
********************
“YA RAB”RAKHNA MUJHE MARTE DAM TAK
GULAM DASTGEER KA
*SUMMA AAMEEN*
Dekh Le Jo Tere Darbar Ko Gause Aa’zam
Woh Na Dekhega Sansar Ko Gause Aa’zam
Dil Pareshan He Didar Ko Gause Aa’zam
Deed De, Deed-E-Sarshar Ko Gause Aa’zam
Apne-Apne Gamho Aalam Me Dube He Sab.
Kaun Puche Tere Lachar Ko Gause Aa’zam?
Ishq Ka Kis Se Madawa Ho, Dawa Koun Kare?
Chen Denge Dil-E-Bimar Ko Gause Aa’zam.
De Diya Choro Ko ABDALLO QUTUB Ka Mansab.
Kaun Paye Teri Sarkar Ko Gause Aa’zam.
Shan Ye He Ke Farishate Bhi Jhuka Ke Nazare.
Dekhte He Tere Mey-Khawar Ko Gause Aa’zam.
Wasta Hazrat E Makhdum Ka, Apna Kar Lo.
Apne Is Gashiya-Bardar Ko Gause Aa’zam
Apne Hi Noor Se Pur Noor Kiye Jayenge
Asharafi ‘Gul’ Ke Sab Aa’shar Ko Gause Aa’zam.