Eid Milad Un Nabi Par Khushi Ya Gam?
Kuch log kehte he ki ye Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Wafate Aqdas ka din he yani is din aapne is duniya se parda farmaya isliye gam he. Khushi nahi hai.
Un logon ke liye Answer
according
to Hadees::
.
HUZOOR ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ
ﺗﻌﺎﻟﻰ
ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺍﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ ne teen din se
zyada
shog manane se mana
farmaya
hai,
siway us aurat ke jiska
shohar inteqal kar gaya ho (isi liye iddat ki muddat us aurat ke liye 4
maah 10 din hai – pata chala har saal shog nahi manana hai.)
>Bukhari Sharif, Jild 2, Page No 804, Mishkat Sharif, Jild 1, Page No, 486
Juma ka din mo’amino ke
liye Eid hai, AAP farmate hai ki kyunki isi
din Insano ke Baap Aadam Alaihissalam ko paida kiya aur isi
din unhe maut aayi.
(pata chala ki isi din maut aane par
bhi juma ka din Eid hi raha)
>Sunan Ibne Majah, Jild 2,Page No. 8, Hadith No. 1084
Aey Mehboob! Tum kehdo ki
Allah hi ke FAZL or Allah hi ki REHMAT par khushiyaa manaaein. Or ye unke MAAL
jamaa karne se behtar hai.
{Surah Yunus: 58}
.
Allah ki
Rehmat kya hai???
Allah farmata hai…….
“Aey Mehboob!
Hum ne aapko na
bheja,
magar SAARE AALAM
ke liye REHMAT banaa
kar”
{Surah Ambiya:107}
Hafiz jalaluddin
suyuti alaihirrehma apni
kitab tanveer mai farmate
hai,
Hazrat ibne abbas se
riwayat hai ki woh apne
ghar mai HUZUR SALALLAHO
ALAI WASSALLAM ki wiladat
ke waqiat bayan kar rahe
the aur kaum wiladat ke
bayan par khush ho rahe thi
aur tareef kar rahe thi
achanak wahan HUZUR
SALALLAHO ALAI
WASSALLAM tashrif laye aap
ne farmaya tumhari shafa’at
mujh par wajib ho gayi….
.
Aur ek hadees Tanveer mai
hai ki Hazrat abu darda
radiALLAHU anha se riwayat
hai ki mai HUZUR
SALALLAHO ALAI
WASSALLAM ke saath aamir
ansari ke yahan gaya woh
apne gharwalo ko HUZUR
SALALLAHO ALAI
WASSALLAM ki paidaish ke
waqiaat sikha rahe the, Aap
ne kaha yeh din HUZUR
SALALLAHO ALAI
WASSALLAM ki wiladat ka
hai ! HUZUR SALALLAHO ALAI
WASSALLAM ne farmaya
khuda ne tere upar rehmat
ke darwaje khol diye aur
farishte tere liye istagfaar
karte hai…. in dalail se yeh
baat malum hui ke wiladat
ke wakiat joh sunni hazraat
apni milaad ki mehfilo mai
bayan karte hai aur jayaz
tariko se manate hai yeh
sawab aur barkat rehmat
bakhshish ka jariya hai.