Eid-E-Miladun NabiIslamic sms

Eid Milad Un Nabi Manane Ka Saboot (Dalil) Qur'an Ki Roshni Mein

MeeLadun Nabiصلي الله عليه و سلم♻
Eid MeeLad Un Nabiصلي الله عليه و سلم Par Khushi Manana Kaisa
وما ارسلناك الا رحمة للعالمين( سورة انبياء:  ١٠٧)
Tarjama:- Aur (Aye Nabi)Hum ne Aapko Saare Jahaan Ke Liye Rahmat Bana Kar Bhejha…
(Al Quran Soore Ambiya:  107)
Is Aayat Mein Allah Paak Ne Yeh Farmaaya ki  Aye Habeeb صلي الله عليه و سلمHumne Aap ko Kul Kaainaat ke Liye Rahmat Bana kar Bhejha ” To Is Aayat se Saaf Taur par Pata Chalta Hey Ki “Allah عزوجل Ne Apne Habeeb صلي الله عليه و سلم Ko Rahmat Banaakar Bhejha.
Quran-E-pak se yeh baat Saabit Ho Chuki Hey Ki Hamaare Aaqa عليه السلام Ko Allah Ne Hammare Liye Rahmat Banaaya
Ab aap ko yeh baat Samjh mein to Aa Gai Hogi Ki Hamaare Aaqa عليه السلام Sirf  Hamare Liye Hi Nahin Balki Saari Kaainaat Ke Liye Rahmat Hey ……
Ab Aap ke Liye Aur Bhee Samjhna Aasaan Ho Jaayega…
Main Aap ke Samne Qurane Paak Ki Ek Aayat Paish Karta Hun Jis se Aap ko Yeh Baat Samjh mein Aa Jaayegi ki ” Allah جل جلالهNe Kis par Khushi Manaane Ka Hukm Diya?
القرآن: -قل بفضل الله و برحمته فبذالك فليفرحوا هو خير مما يجمعون(سورة يونس:  ٥٨)
Tarjama: -Aye Habeeb Aap Farmado Allah Hi ke FazL Aur Usi ki  Rahmat Par Chaahiye ki Khushiya Kare Aur Yeh unke (sab Dhan Daulat)  Jamaa Karne se Behtar Hey…
(Al Quran Soore Yunus Aayat:  58)
Is Aayat Mein Allah عز و جل Ne Apne FazL Aur Rahmat Par Khushiya Manaane Ka Hukm Diya… “Aur Upar Jo Pahele Aayat Paish Ki Soore Ambiya ki ” (Aye Nabi) Hum ne aap ko Saare jahaan ke Liye Rahmat Bana kar Bhejha “
 Mere Pyaare Aaqaصلي الله عليه و سلم  Ke Pyaare Deewaano Baat Aap ke Samjh Mein Aa Gai Hogi ki Allah Ne Apne Nabi Ko Hamare Liye Rahmat Bana Kar Bhejha Aur Dusri Aayat Mein Hukm Huwa ki “Jo Rahmat Tumhe Ataa Ki Gai Hey Us Par Khoob Khushiya Manaao Lihaaza Saabit Huwa Ki Miladun Nabi ki Khushiya Manaana Yeh Bid’at Nahin Balki Hukm-E-ILaahi He.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!