Eid Mubarak

Eid Ul Adha Aur Qurbani Ka Bayan

Hazrate Zaid ibne Akram radiallahu anhu ne farmaya ki Rasoole kareem Raufur Raheem Swallalaho Alayhi Wasallam ke Sahaba ne kaha:
Y”a Rasoolallah ! Yah Kurbaani Kya he?”
Aaqa Alayhissalatu Wassalam ne irshad farmaya:
“Yah tumhare baap Hazrate Ibrahim Alayhissalam ki Sunnat he.”
Sahaba ne pucha:
“Ya Rasoolallah ! Kya isse humko sawab milega?”
Aapne Farmaya:
“Har Baal(Hair) ke badle 1 neki he.”
Sahaba ne arz ki:
“Aur Oon Ya Rasoolallah!”
Aapne farmaya:
“Oon ke har baal me bhi 1 neki milegi”
>Ibne Maja

Qurbani Ki Dua:
بسم الله الرحمن الرحيم
———————
“‏ إِنِّي وَجَّهْتُ وَجْهِيَ لِلَّذِي فَطَرَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضَ حَنِيفًا وَمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِينَ إِنَّ صَلاَتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَاىَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ لاَ شَرِيكَ لَهُ وَبِذَلِكَ أُمِرْتُ وَأَنَا أَوَّلُ الْمُسْلِمِينَ اللَّهُمَّ مِنْكَ وَلَكَ عَنْ مُحَمَّدٍ وَأُمَّتِهِ ‏”‏

(Note : Muhammadiw wa ummatihi ki jagah jiski taraf se Qurbani ho uska naam le aur agar apni khud ki ho to Aan ki jagah Anni kahe  )
Hazrate Jabir bin ‘Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ ne eid ke din do maindho ki Qurbani ki, jab Aap ﷺ unko Qibla rukh kiya to Aap ﷺ ne ye falimat irsad farmaye “inni wajjahtu wajhiya Lillazi Fataras samawaati wal arda hanifaw wamaa ana minal mushrikeen. inna-Salaati Wa Nusuki Wa Mahyaya Wa Mamati Lillahi Rabbil A’lameen. La sharika lahu Wa bizaalika umirtu Wa Ana awwalu minal muslimeen. Allahumma Minka Wa laka Aan Muhammadiw wa ummatihi” 
(Bismillahi Wa-Allahu Akbar)

(Note : Muhammadiw wa ummatihi ki jagah jiski taraf se Qurbani ho uska naam le aur agar apni khud ki ho to Aan ki jagah Anni kahe)
(Sunan Ibn Majah, Vol. 4, Book 26, Hadith 3121)

Hazrate Umme Salma Radiallahu Anha se riwayat he ki:
Nabi-E-Kareem Swallalaho Alayhi Wasallam ne farmaya ki Jab tum Bakri Eid ka chand dekho aur tum me se koi Kurbani karna chahe to usko chahiye ke apne Baal aur Nakhun katwane se ruka rahe.
>Muslim Sharif

Hazrate Aayesha siddiqa Radiallahu Anha ne kaha:
Rasoole Kareem Swallalaho Alayhi Wasallam ne farmaya ki
“Kurbani ke dino me aadmi ka koi amal ALLAH Ta’ala ke nazdiq Khoon Bahan (Yani Kurbani karne) se jyada Pyara nahi.
Aur wah Jazwar Qayamat ke din apni Singo,Baalo,khuro ke sath aayega aur kurbani ka khoon zamin par girne se pehle Khuda Ta’ala ke nazdiq kabool ki jagah me pohoch jata he.”
>Tirmizi,Ibne Maja Sharif

Hazrate Abu Huraira Radiallahu Anhu ne kaha ki Huzoor Alayhissalam ne farmaya ki:
“Jis par kurbani wazib ho aur wah na kare to humari Eidgah ke karib hargiz na aaye.”
>Ibne Maja

Hazrate Hanash Radiallahu Anhu ne kaha ki maine Hazrate Ali Karmallahu wazhahul kareem ko 2 dumbe zabah karte hue dekha to maine pucha yah kya he?
Unhone Farmaya:
Ki Huzoor Alayhissalatu Wassalam ne muze wasiat farmayi he ki me Huzoor ki tarafse Kurbani kiya karu to me (dusra dumba Huzoor ki tarafse)Kurbani kar raha hu.
>Abu Dawood

Kurbani Jis tarah Mard par wazib he usi tarah Aurat par bhi wazib he
>Anwarul Hadees

Shahar me Eid ki namaz se pehle Kurbani karna jaiz nahi.
Kurbani ka gosht kafir ko na de.
>Bahare Shariat

Qurbani Karne Ka Tariqa:
Kurbani ke janwar ko baye (left) karwat par is tarah litaye ki uska muh Kibla ki taraf ho aur apna dahina pav uski karwat par rakhe aur Zabah karnese pehle dua padhe
“Inni waz jahtu wajahi ya lillazi fa ta rassamawati wal arz hanifauv wa ma ana minal mushriqi na in na salaati wa nusuki wa mahya ya wa mamaati lillahi rabbil aalmin. La shariq lahu wa bizali ka uriratu wa ana minal muslimin. Allahumma lajal wa min ka bismillahi Allahu Akbar.” Khatm karte hi churi chalade.
Kurbani apni tarafse ho to Zabah ke bad yah dua padhe.
“Allahumma ta Kabbal minni kama ta kabbal ta min khalili ka Ibrahim Alayhissalamu wa Habeebi ka Muhammadin Swallalahu Alayhi Wasallam”
Aur agar dusre ki tarafse zabah karte he to “Minni” ki jagah “Min” ke bad uska Naam le.
Zibah me 4 rage kante ya kamse kam 3 isse jyada na kate ki churi muhre tak pahuch jaye ki yah bewazah ki taklif he.
Thanda hone par pav kate aur khal utare. Agar dusre se zibah karaye to behtar he ki khud bhi hazir rahe.
>Anwarul Hadees,Qanoon-E-Shariat

Kurbani karnewala Eid ul Azha ke din subse pehle kurbani ka gosht khaye ye musthab he.
>Qanoon-E-Shariat

Baz jagah kurbani ka chamda masjid ke imam ko dete he agar tankwah me na diya jaye balki bataur madad ke de to harz nahi.
>Qanoon-E-Shariat

Kurbani ka gosht ya chamda kassab ya zibah karnewale ko mazduri me nahi de sakta.
Ha agar dosto ki tarah hadiya ki taur par hissa diya to de sakta he. Jabki use uzrat me shumar na kare.
>Qanoon-E-Shariat

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!