Ramzan

Zakat Ke Masle Wa Masail

Zakaat inhe de:
1. Faqir
2. Miskin
3. Aamil
4. Raqaab
5. Gaarim
6. Fi sabilillah
7. Inbussabil
>Qanoon-E-Shariat

Zakaat wazib hone ki sharte:
1. Musalman hona
2. Baalig hona
3. Aaqil hona
4. Aazaad hona
5. Maalike nisab hona
6. Pure taur par Maalik hona
7. Nisab ka den se farig hona
8. Nisab ka Hazate Asliya se farig hona
9. Maal ka nami hona
10. Saal guzarna
>Qanoon-E-Shariat

Kuch Aurate Pyare Aaqa Swallalaho Alayhi Wasallam ki khidmate wala me sone (Gold) ke kangan pehne hazir hui. Huzoor ne farmaya inki zakaat dogi?
“Arz kiya na.”
Aapne farmaya
“Kya chahti ho ki ALLAH TA’ALA tumhe Aag ke kangan pehnaye?”
Arz kiya nahi.
Aapne farmaya
“to zakaat do”
>Tirmizi

Aadmi (Mard ya Aurat) jinki aulad me khud he yani maa baap, dada dadi, nana nani ya jo apni aulad me he yani beta, beti, pota, poti, nawasa, nawasi aur shauhar wa biwi in rishto ke siwa apne jo aziz hazatmand ho, masrafe Zakaat he. Apne maal ki zakaat unhe de.
Jaise bhai behen, bhatija bhatiji, bhanja bhanji, mamu, khala, chacha, fufi, ki inhe dene me duna sawab he aur nafs par boz bhi kam hoga. Ki apne sage bhai ya bhatije bhanje ko diya hua aadmi apne hi kam me uthna janta he.
Fir yah bhi kuch jaruri nahi ki unhe Zakaat jata kar de balki dil me zakaat ki niyat ho aur unhe Eidee, shadiyo ki rasme, chahe kisi bat ka nam karke, us rakam ka maalik karde zakaat ada ho jayegi.
>Fatwae Razviya

Bahu aur damaad aur sauteli ma ya sautele bap ya shauhar ki aulad jo uske pet se nahi to in subko aurat zakaat de sakti he.
Yuhi shauhar apni biwi ki aulad ko jo iske nutfe se nahi, zakaat de sakta he.
>Raddulmuhtar
Sone (Gold) ka nisab sadhe sat tola he aur Chandi (Silver) ka nisab sadhe bawan tola he.
>Sunni Bahishti Zewar

Shariate mutahra ne son chandi ke nisab par Hazate Asliya (Jiski taraf zindagi basar karne me me aadmi ko jarurat he)
Jaise rehne ka makaan, kapde, khanadari ka saman, sawari ke janwar ya motar wagaira se farig ho.
Chahe wah rupaya asharfi ho ya gehna zewar ya bartan. Khwah inka istemal jaiz ho ya najaiz, jab nisab par chandi ke hisab se barah mahine guzar jayenge yani jis din tarikh waqt par aadmi sahibe nisab hua jab tak nisab rahe wahi din wahi tarikh wahi waqt jab aayega usi waqt kamri saal (chandi ka saal) ka us par guzar jana samza jaye aur zakaat ada karna fauran wazib hoga. Ab use ada karne me jitni der lagayegi gunahgar hogi.
>Sunni Bahishti Zewar

Wah zewar jo Aurat ki milkiyat he, uski Zakaat hargiz shauhar ke jimme nahi. Agarche wah jyada maal rakhta ho. Na us zewar ki zakaat na dene ka shauhar par koi wabal wa gunah. Ha munasib tarika par tambih wa taaqid karde aur use samzaye ki zakaat na dena kitna bada gunah he.
Aur wah zewar ki shauhar ne aurat ko de diya aur uska milk kar diya us par bhi yahi huqm he.
Aur agar milk na kiya balki apni hi milk me rakha aur aurat ko sirf pehenne baratne ko diya jaise kuch gharaano ka riwaz he to beshaq uski zakaat Mard ke jimme he.
Jabki khud ya dusre mal se mil kar nisab ke barabar ho aur Hazate Asliya se farig.
>Fatwae Razviya

Saal bhar tak khairat karti rahi ab zakaat ki niyat ki ab tak jo kuch diya he wah zakaat he to yah niyat mot’abbar nahi.
Lihaza zakaat ada na hui. Zakaat dete waqt ya Zakaat ke maal alaahida karte waqt niyate zakaat shart he.
>Sunni Bahishti Zewar

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!