Sadqa-E-Fitr Ka Bayan Aur Sadqa-E-Fitr Ke Masle
Sarwar-E-Qaynat Janabe Mohommad Mustfa Swallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya ki
“Bande ka roza Aasman wa Zamin ke darmiyan muallak rehta he jab tak sadqae fitr ada na kare.
>Ibne asakar,Sunni Bahishti zewar
Mard malike nisab par apni tarafse aur apne chote bachche ki tarafse sadqae fitr wazib he jabke bachcha khud sahibe nisab na ho aur maa par khud apna sadqa wazib he jabki malike nisab ho. Chote bachcho ki tarafse sadqa dena Maa par wazib nahi.
>Raddulmuhtar,Sunni Bahishti zewar
Aaqil Balig hona sadqae fitr me shart nahi. To nabalig ya pagal agar malike nisab he to un par sadqae fitra wazib he unka wali unke mal se ada kare.
>Raddulmuhtar,Sunni Bahishti zewar
Eid ke din subah sadiq hote hi Sadqa-E-Fitr har Musalman malike nisab mard wa aurat par jiski nisab hazate asliya se farig ho, wazib hota he aur sunnat yah he ke Eid ki namaz se pehle ada kar diya jaye.
>Durre Mukhtar,Sunni Bahishti zewar
Jo subah sadiq shuru hone ke bad mara uska sadqae fitr wazib he
>Qanoon-E-Shariat