Eid Mubarak

Eid UL FITR Ki Sunnate Aur Eid ul Fitr ki Hadees

Assalamu Alaykum Wa Rehmatullahi Wa Barkatohu
Aap subko humari website ki tarafse Eid Ul Fitr Mubarak.

Eid UL FITR Ki Sunnate:
1. Gusl karna
2. Nakhun tarshwana
3. Hajamat banwana
4. Miswak karna
5. Achche kapade pehenna, Naye ho to naye warna dhule hue
6. Khushboo lagana (Itr lagaye spray na lagaye)
7. Angoothi pehenna
8. Namaze Fazr masjide mohalla me padhna.
9. Eidul Fitr ki Namaz ko jane se pehle chand khazoore kha lena. 3,5 ya 7 ya kamo besh.
10. Namaz-E-Eid Eidgah me ada karna
11. Idgah paidal jana
12. Sawari par bhi jane me harz nahi magar jisko paidal jane par kudrat ho uske liye paidal jana afzal he aur wapsi me sawari par aane me harz nahi.
13. Namaz-E-Eid ke liye ek raste se jana aur dusre raste se wapas aana.
14. Eid ki Namaz se pehle Sadqae Fitr ada karna
15. Khushi Jahir karna
16. Kasrat se sadqa dena
17. Aapas me Mubarakbad dena
18. Eidgah ko itminano wakar aur nichi nigah kiye jana
19. Bad Namaze Eid Musafah aur Muanka karna
20. Eid Ul Fitr ki Namaz ke liye jate hue raste me Aahista se Takbir kahe.

Eid ul Fitr ki Hadees
Tajdare Madina surure kalbo sina Nabiyo ke sardar Bibi Aamina ke lal Hazrat Abdullah ke lakhte jigar hum bekaso Aaqa Swallalaho Alayhi Wasallam ka irshad he
“Jisne Eiden ki rat yani shabe eidul fitr aur shabe eidul azha sawab ke liye Kiyam kiya.
Us din uska dil nahi marega, Jis din logo ke dil mar jayenge.
>Ibne Maja

Huzoor-E-Akram Swallalaho Alayhi Wasallam farmate he
“Jo shaks Eid ke din 300 Martaba Subhanallahi Wabihamdihi padhe aur faut shuda musalmano ki arwah ko iska sawab hadiya kare to har musalman ki kabar me 1000 anwar dakhil hote he aur Jab wo padhnewala khud marega, ALLAH TA’ALA uski kabar me bhi 1000 anwar dakhil farmayega
>Mukshiftul Kuloob

Hazrate Muaaz bin jabal radiallahu anhu se marwi he
Jo 5 rato me shabbedari kare uske liye Jannat wajib ho jati he
Jil hijja sharif ki 8,9,10 tarikh
Eid ul fitr ki rat
Shabaanul muazzam ki 15vi rat yani shabe baraat
>Isbhani

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!