Ramzan

Ramzan Ke Roze Me Haiz-O-Nifas Ke Masail

Haiz:
Balig Aurat ke peshab ke raste se jo khoon aadat ke taur par nikalta he aur bimari ya bachcha paida hone ke wajahse na ho to use Haiz kehte hai


Istehaza:
Agar yah khoon bimari se ho to istehaza he.


Nifas:
Aur Bachcha paida hone ke bad ho to Nifas kehte he. Nifas ka jyada se jyada waqt 40 din-rat he.
Aurat ka Haiz wa Nifas se khali hona Roze ke liye shart he.
>Sunni Bahishti Zewar, Safa 188

Haiz wa Nifas ki halat me Roza rakhna, Namaz Padhna Haram he. Balki Jo namaze maf he unki kaza bhi lazim nahi.
Ha rozo ki kaza aur dino me rakhna Farz he.
>Durre Mukhtar, Aalamgiri, Sunni Bahishti Zewar

Roze ki halat me Haiz ya Nifas shuru ho gaya to wah roza jata raha. Uski kaza rakhe Farz tha to kaza Farz he.
Aur Nafil tha to kaza Wazib.
>Aalamgiri

Aurat ko khas tarikh par Haiz aata tha aur Aaj Haiz aane ka din tha aur usne yah soch kar ki aaj Haiz aayega chah kar roza tod diya aur Haiz na aaya to kaffara maf ho gaya.
>Durre Mukhtar

Haiz wa Nifas wali Aurat Subah sadiq ke bad pak ho gayi agarche Jahvae Kubra (Dopahar se) pehle pehle hui aur Roza ki niyat kar li to yah roza na hua.
>Durre Mukhtar

Aurat ko Mard ne Humbistari par mazboor kiya fir Hambistari ke bich me apni khushi se mashgul rahi to kaffara lazim nahi ki Roza to pehle hi toot chuka he.
>Sunni Bahishti Zewar,Safa 188, Jauhra

Haiz wa Nifas wali Aurat Pak ho gayi to jo kuch din baki reh gaya he use Roze ki tarah guzarna Wazib he aur uski kaza farz he.
>Durre Mukhtar,Sunni Bahishti Zewar

Aurat Haiz se pure 10 din 10 rat me farig hui to baharhal agle din ka roza rakhe. Aur kam me pak hui to agar subah hone ko itna waqt he ki naha kar thoda sa waqt bachega to bhi Roza rakhe. Agar Gusla na kiya ho aur agar naha kar farig hone ke waqt subah chamki to Roza nahi.
>Aalamgiri

Haiz wa Nifas wali aurat ko ikhteyar he ki chup kar khaye ya jahir me Rozdar ki tarah rehna us par jaruri nahi magar chup kar khana behtar he. Khaskar Haiz wali aurat ke liye.
>Bahare Shariat,Sunni Bahishti Zewar, Safa 194

Aurat ko yah jaiz nahi ke apne Haiz Shohar se chupaye aur kahi wah anjane me sohbat na kare. Jaisa ki yah jaiz nahi ki wah khudko haiz wali jahir kare halaqi wah haiz wali nahi.
>Marakilfalaah,Sunni Bahishti Zewar

Balig Aurat ke aage ke makam se jo khoon aadi taur par nikalta he aur wo bimari ya bachcha paida hone ki wajahse na ho use Haiz kehte he.
Bachcha hone ke bad ho to Nifas kehte he
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 61)
Nifas yani wah khoon jo bachcha janne ke bad aata he.
Iski kami ki janib koi muddat mukarrar nahi.
Aadhe se jyada bachcha nikalne ke bad 1 aan bhi khun aaya to wah nifas he aur jyada se jyada nifas ka zamana 40 din-rat he.
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 63)
Haiz wa Nifas ki halat me Namaz padhna Roza rakhna Haram he.
In dino me Namaze maf he inki kaza bhi nahi.
Rozo ki kaza rakhna farz he
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 64)
Istehaza:
Wah khoon jo Aurat ke aage ke makam se nikale aur Haiz wa Nifas ka na ho to ye istihaza he.
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 65)
istehaza me na Namaz maf he Na roza maf he.
Aisi aurat se Sohbat Haram he
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 65)
“To Aurato se alag raho Haiz ke dino, aur unse najdiki na karo jab tak wo pak na hole.
Fir jub pak ho jaye to unke pas jao.”
(Kanzul iman Para 2,Surah Bakar,Aayat 222)
Haiz ki muddat kam se kam 3 din aur 3 rate he.
Yani 72 ghante he aur Jyada se jyada 10 din aur rate he.
(Bahare shariat Jild 1 Safa 42)
Haiz ki Halat me Aurat Se Sohbat Karna Haram Hai
(Tirmizi Jild 1 Safa 136,Bahare shariat)
10 din se kam me khoon aana band ho gaya to jub tak gusl na kare sohbat jaiz nahi
(Bahare shariat Jild 1,Safa 74)
Aurat ko jab haiz ka khoon aana band ho jaye to use Gusl karna farz he
(Kanoon-E-Shariat Jild 1,Safa 38)

Haiz Se Pak Hone Ka Taariqa:
Ummulmomenin Hazrat Aayesha siddiqa radiallahu anha se riwayat hai ki
Ek Aurat Rasoolallah Sallalaho Alayhi Wasallam se Haiz ke Gusl ke bare me pucha.
Aapne use bataya:
Yu gusl kare.
aur fir farmaya
Mushk (Kasturi) se basa hua rui ka faya le aur usse taharat hasil kar
Wo samaz na saki aur kaha
Kis tarah Taharat karu?
Huzoor ne farmaya
Subhanallah usse taharat karo
Hazrat Aayesha farmati he
Mene us Aurat ko apni taraf khich liya aur use bataya ki use khoon ke mukam par fere.
(Bukhari sharif Jild 1 Bab 215 Hadees 305 Safa 201)
Note:
is zamane me Mushk milna mushkil he isliye uski jagah Gulab pani ya itra ka faya le. Fir gusl kare.

Related Articles

7 Comments

  1. Pregnancy Me Sohbat Haraam Nahi Hai Balki Jab Aurat Ko Haiz/Nifaas Ka Khoon Shuru Hota Hai In Dino Me Sohbat Haram Hai. Jab Tak Ki Wo Ghusl Na Karle. Aur Aurat Ko Apne Shohar Se Haiz/Nifas Ke Bat Chupana Jaiz Nahi. Aap Kisi Doctor Se Salah Le. Pregnancy Me Kitne Mahine Tak Sohbat Ki Ja Sakti Hai Aapko Wo Bata Sakte Hai. Jisse Maa-Bachcha Dono Ko Koi Nuksan Na Ho.

  2. Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Behen.

    Haiz Ke Talluk Se Qur'an-E-Kareem Me ALLAH Rabbul Aalameen Ne Farmaya,

    Aur Tumse Puchte Hai Haiz Ka Huqm. Tum Farmao Wah Napaki Hai. To Aurato Se Alag Raho Haiz Ke Dino Aur Unke Karib Na Jao Jab Tak Pak Na Hole. Phir Jab Pak Ho Jaye To Unke Pas Jao. Jaha Se ALLAH Ne Tumhe Huqm Diya. Beshaq ALLAH Pasand Karta Hai Bohot Tauba Karnewalo Ko Aur Pasand Rakhta Hai Suthro Ko.
    (Al Qur'an-E-Kareem, Surah Bakrah , Aayat No. 222, Tarzuma: Kanzul Imaan)

    Hadees-E-Pak Me Haiz Me Roza Chodne Ka Zikr Hai. Aur In Dino Me Namazo Ki Kaza Bhi Muaf Hai. Agar Aap Chahe To Yaha Hadeese Pak Post Kar Deta Hu.

  3. Assalamo Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuhu,

    Ji Aap Haiz Wa Nifas Ki Halat Me Zikr Kar Sakti Hai. Kuchh Khas Chize Jo Aap Kar Sakti Hai Wo Ye Hai.
    • Kalma-E-Tayyab
    • Durood-E-Pak
    • Asmaul Husna Ka Vird
    • Astagfar
    • Lahaul

    Halate Haiz-O-Nifas Me Quran Sharif Ki Tilawat Mana Hai. Quran Sharif Ko Chhuna (Touch) Karna Bhi Mana Hai. Albatta Aap Teacher Hai Jo Quran Sharif Padhati Hai To Is Surat Me Sans Tod Kar Padhe. Halate Haiz-O-Nifas Me Quran Sharif Ki Tilawat, Namaz Aur Roza Rakhna Mana Hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!