Biwi Ke Huqooq
Mere Pyare Islami Bhai Behano Nikah Karna Sarkare Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnate Mubaraka Hai. Nikah Ke Fazilat Ke Talluqse Bohotsi Ahadees Sharif Mauzood Hai. Nikah Haramkari Se Bacha Kar Halal Ki Taraf Le Jata Hai. Nikah Karne Par Aadha Deen Muqammal Ho Jata Hai. Beshaq Islam Duniya Ka Sabse Afzal Mazhab Hai. Islam Me Mard Aur Aurat Dono Par Ek Dusre Ke Huqooq Hai Jinhe Ada Karna Unpe Wazib Hai. In Huqooq Me Kotahi Gunah Ka Sabab Hai. Lihaza Jin Logo Ko Ye Galatfehmi Ho Ke Huqooq Sirf Aurato Par Hi Hai Wo Apni Islah Kare. Aur Apne Biwiyo Ke Huqooq Ada Kare Warna Roz-E-Mehshar Is Gunah Ke Sabab Giraft Honge.
Yaha Aur Hamare Nikah Ke Page Aur Digar Posts Me Nikah Ke Masail Ba Hawala Bayan Kiye Gaye Hai. Inka Maqsad Awaam Ko Islami Tariqe Sikhana Aur Unki Islah Karna Itna Hi Hai. Agar Aapko Koi Bhi Sawalat Hai To Comment Kare Ya Hume Chat Plugin Ke Zariye Email Kare. Is Website Ka Adabo Ahtaram Kare Yaha Par Koi Bhi Gande Comments Na Kare. Masle Masail Bhi Adab Ke Dayre Me Reh Kar Hi Poochha Kare. Hume Rozana Bohot Sare Emails Aate Hai Isliye Jawab Me Agar Deri Ho Jaye To Mazhrat Chahta Hu. In sha ALLAH Aapke Masail Par Jawabat Diye Jayenge. Hamare Web Ko Khoob Share Kijiye Taki Logo Ki Islah Ho Aur Wo Sahi Deeni Tariqe Par Amal Kare Aur In sha ALLAH Iska Sawab Aapko Aur Hume Hasil Ho. Apni Duao Me Muz Nachiz Ko Bhi Yad Rakhe.
Rab ta’ala irshad farmata he
Aur unse (Aurato) se Achcha bartav karo.
(Kanzul iman Para 4,Surah Nisa,Aayat 19)
Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Nikah ki shart yani Meher ada karne ka sabse jyada khayal rakho.
(Bukhari sharif Jild 3,Safa 80)
Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Subse bura aadmi wo he jo apni biwi ko sataye.
(Tibrani sharif)
Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Tum me wo behtar he jo apni biwiyo ke sath behtar he.
Aur me apni biwiyo ke sath tum subse jyada behtar hu.
(Ibne maja Jild 1,Hadees 2047,Safa 551,Tirmizi Sharif Jild 1,Safa 595)
Hazrat Abuhuraira radiallahu anhu se riwayat he ki Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jab kisi ke nikah me 2 biwiya ho aur wo 1 hi ki taraf mayel ho to wo Qayamat ke din jab aayega to uska aadha dhad gira hua hoga
(Tirmizi sharif Jild 1,Hadees 1137,Safa 584,Ibne Maja Jild 1,Safa 549)
Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Biwi ka gulam badbakht he
(Kaumya-E-Sa’adat Safa 263)
this are authentic hadeeths.
mera shuher pahle hi se ek hindu aurat k sath najayaz taluqat rakhe huye tha ham ko bataye bina o mujh se shaaadi kar liya bad mai b us aurat k satn taluqat rakhe huye tha jab muje malum huwa to muje usksath taluqat rakhne par saqt karahiyet hoti hai mai kya karu hadees k roshni mai malum kkarayiye
Bhai haq meher larki ka haq hai, aur sirf larki ki marzi s hi likha ja skta hai, mtlb lrki k mabap uspar zabardasti nae kr skty haq meher likhwany par agr larki haq meher na likhwana chahti ho. isky bary me kuch bta skty hain
Kya biwi ke huquuq, sirf meher tak hai. Every one has a list for women, why not for men. In every site their is a log list saying how a women should behave, be with her husband. Does a women doesn't have any right to be respected, to be happy.as per my knowledge are concerned a man also should take care of a wife like she does
Jitne farz biwi ke hai usne hin mard ke bhi
Ji Behen Aapne Bilkul Sahi Farmay Hai. Dono Ko Ek Dusre Ka Khayal Rakhna Hai. Dono Ko Ek Dusre Ki Respect Karna Hai. Mere Blog Par Shohar Aur Biwi Dono Ke Huqooq Maujood Hai. Aur Behtar Shakhs Wo Hai Jo Apni Biwi Se Achcha Sulooq Karta Ho. Upar Di Gayi Post Gaur Se Padhe. Aur Site Pe Feedback Ke Liye Shukriya.
Good Islamic Work !
Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Ishteyaqe Bhaijaan,
JazakALLAHU Khair For Your Feedback.
Keep Visiting & Sharing Our Site With your friends and Relatives.
Talibe Dua.
Don't forget to download our Application form Play Store. Search "Hamare Nabi".
Humare abba ko do shaadi hua
Humare dusre amme ki bade behan
Ki bete ki sat shaadi kar na jaiz hai
Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
Aapke dusri ammi ki badi behen aapki khala hui. Unki beti se Nikah Jaiz Hai.
Visit Karte Rahe Aur Dusro Ko Bhi Hamare Site Ke Bare Me Bataiye. Play Store Se Hamare Nabi App Download Kijiye. Apni Duao Me Is Nachiz Ko Yaad Rakhe.
JazakALLAHU Khair Aapke Comment Ke Liye.