Nikah

Nikah Kaha Karna Chahiye

Assalamo Alaikum Biradrane Islamiya,

Ummulmomenin Hazrat Aayesha siddiqa Radiallahu Anha, Hazrat Anas Bin Malik, Hazrat Abdullah ibne umar radiallahu anhu se Riwayat he ke Huzoor Akram Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
“Apne Nutfe (Shadi ke liye) Achchi jagah talash karo.
apni Biradri me Byah ho, aur Biradri se byah kar lao ki Aurate Apne hi Kunbe ke Mushaba (Milte hue Bachche) Janti Hai”
(Ibne Maja Jild 1, Hadees no 2038, Safa 549, Bayhaqi Sharif wa Haaqim)

Hazrat imam Bukhari Radiallahu Anhu Riwayat karte he ki
“Aur Must’hab (Behtar) He ke apni Nasl ke liye Behtar Aurat chune Lekin ye Wajib nahi”
(Bukhari sharif Jild 3, Bab no 41, Safa 56)


Hazrat Abuhuraira wa Hazrat Jaabir Radiallaho Anhu se Riwayat He Ke Nabi E Rehmat Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad farmaya:
“Aurat se 4 chizo ki wajahse nikah kiya jata he
1. Uska Maal
2. Husn wa Jamal
3. Uska Khandan
4. Uske Deendar hone ki wajahse.
Lekin tu Deendar Aurat Ko Hasil Kar”
(Bukhari sharif Jild 3, Safa 59, Tirmizi sharif, Jild 1, Safa 555)

Pyare Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
“Aurato se unke Husn ke sabab shadi na karo ho sakta he uska Husn tumhe Tabah kar de, na uske Maal ki wajahse shadi karo ho sakta he ke unka Maal tumhe gunaho me Mubtela kar de,Balki Deen ki wajahse nikah kiya karo,
Kali,Chapti,Badsurat Londi agar Deendar ho to Behtar Hai”
(Ibne maja, Jild 1, Hadees no 1926, Safa 522)

Kin Auraton Se Nikah Jaiz Nahi Tafseel Me Is Video Me Jane:

Related Articles

4 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!