Mard Par Gusl Kab Farz Hota Hai
Mere Pyare Islami Bhai Behano Nikah Karna Sarkare Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnate Mubaraka Hai. Nikah Ke Fazilat Ke Talluqse Bohotsi Ahadees Sharif Mauzood Hai. Nikah Haramkari Se Bacha Kar Halal Ki Taraf Le Jata Hai. Nikah Karne Par Aadha Deen Muqammal Ho Jata Hai. Beshaq Islam Duniya Ka Sabse Afzal Mazhab Hai. Islam Me Mard Aur Aurat Dono Par Ek Dusre Ke Huqooq Hai Jinhe Ada Karna Unpe Wazib Hai. In Huqooq Me Kotahi Gunah Ka Sabab Hai. Lihaza Jin Logo Ko Ye Galatfehmi Ho Ke Huqooq Sirf Aurato Par Hi Hai Wo Apni Islah Kare. Aur Apne Biwiyo Ke Huqooq Ada Kare Warna Roz-E-Mehshar Is Gunah Ke Sabab Giraft Honge.
Yaha Aur Hamare Nikah Ke Page Aur Digar Posts Me Nikah Ke Masail Ba Hawala Bayan Kiye Gaye Hai. Inka Maqsad Awaam Ko Islami Tariqe Sikhana Aur Unki Islah Karna Itna Hi Hai. Agar Aapko Koi Bhi Sawalat Hai To Comment Kare Ya Hume Chat Plugin Ke Zariye Email Kare. Is Website Ka Adabo Ahtaram Kare Yaha Par Koi Bhi Gande Comments Na Kare. Masle Masail Bhi Adab Ke Dayre Me Reh Kar Hi Poochha Kare. Hume Rozana Bohot Sare Emails Aate Hai Isliye Jawab Me Agar Deri Ho Jaye To Mazhrat Chahta Hu. In sha ALLAH Aapke Masail Par Jawabat Diye Jayenge. Hamare Web Ko Khoob Share Kijiye Taki Logo Ki Islah Ho Aur Wo Sahi Deeni Tariqe Par Amal Kare Aur In sha ALLAH Iska Sawab Aapko Aur Hume Hasil Ho. Apni Duao Me Muz Nachiz Ko Bhi Yad Rakhe.
Mazi:
Shahwat ke waqt shuru me jo chiz sharmgah se safed rang ki nikalti he aur uske nikalne se josh kam nahi hota balki khwahish aur badh jati he use Mazi kehte hai.
(Sunni bahishti zewar Safa 34)
Mani:
Shahwat ke bad jab khub lajjat aati he to gadha padarth (virya-sperm) sharmgah se nikalta he use Mani kehte hai.
(Sunni bahishti zewar Safa 34)
Note: Mazi se Gusl farz nahi hota.
Mani ke nikalne par gusl farz hota hai.
(Sunni bahishti zewar Safa 34)
1. Mani ka apni jagah se shahwat ke sath juda hokar ujwa se nikalna.
2. Ahtelam yani sote me Mani ka nikal jana
3. Sharmgah me Hashfa tak chala jana khwah shahwat se ho ya bila shahwat inzal ho ya na ho dono par gusl farz hota hai.
4. Agar mani na hone ka yakin he aur Mazi ka shak he to agar khwab me ahtelam hona yad nahi to gusl nahi aur yad he to gusl farz hai.
(Raddulmuhtar,Sunni bahishti zewar Safa 34)
mere shramgah me se white liquid bure qayal ane par nikal ta hai to wo mazi hai ya mani hai
shahvat ki shuruat me patla pani jaisa jo liquid nikalta hai wo mazi hai.
aur sohbat ke bad jo gadha safed rang ki chiz nikalti hai use mani kehte hai.
Plz jaldhi bataiye kya shobat ke turant baad gusal karna jaroori h raat me
Muje kuchh baar peshaab ke baad white liquid nikalta he to wo mazi he ya Mani???or usse gusl farj hota he ki nahi?
agar bure khayal ane par mazi niklta h to kya gusal farz h?
Inzaal roje ki halat me hojana napaki hai yaaa nai.
Jab aap roze se hai aur tab naturally nind ki halat me aapko nightfall hua yani Ahtelam hua to aapka roza na toota. Aur kyunki halate nind me apne aap inzal hone ki wajah se bhi ghusl aap par wajib hai. Aur roze me agar kisine jima/Hambistari ki Ya Mushtjani ki Yani Apne Hatho Se Mani Nikali To Uska Roza Toot Gaya. Ghusl Wajib Hai. aur Roze Ki Kaza Aur Kaffara Dono Lazim Hai. Jyada Maloomat Ke Liye Hamare Ramzan Page Par Visit Kare.
JazakALLAHU Khair
Jab dimag me koi gande khyala aate hain to pishab ke raaste sw kuch geela nikalta hai wo kya hai
Assalamu Alaikum Arman Bhai.
Jab dimag me koi gande khayal aaye aur peshab ke raste se pani jaisa patla par thoda chipchipa sa kuch nikalta hai use Mazi kehte hai. Jisse aapki khwahish kam nahi hoti aur badhti hai. Aur Hambistari ke bad jo gadha Safed Nikalta Hai Use Mani Kehte Hai.
Mazi Nikalne Se Ghusl Farz Nahi Hota. Mani Nilalne Se Ghusl Farz Ho Jata Hai.
JazakALLAHU Khair Aapke Comment Ke Liye.
Dua Ki Guzarish.
Hamara Android App Jaroor Download Kijiyega Play Store Se.
Search Kare "Hamare Nabi"
Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
Mazi Nikalne Par Naaf Ke Niche Ka Hissa Pani Se Saaf Dhole. Jispe Mazi Lqgi Ho Wo Underwear Badal Le. Namaz Ho Jayegi. Wo Kapda 3 Martaba Saaf Pani Se Dhole.
Agli Bar Apne Naam Ke Sath Comments Likhe Warna Approval Na Kiya Jayega. Masla Jaroori Laga Isliye Poat Kiya Hai.
Dua Ki Guzarish.
Assalam u alaikum . I'm a married person and I have confusion about the particular thing . Aap ne kaha k hashfa tk dakhool pe ghusal farz ho jata ha . Kindly dakhool k hawalay se clarify kr den. I shall be grateful . JazakAllah
Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu
Aapke Comment Ka Der Se Reply Dene Ke Liye Tahe Dilse Mazahrat Chahta Hu.
Dar Asl Comments Jyada Hone Ke Wajahse Galati Se Aapka Jawab Reh Gaya.
Ratme Sohbat Ke Baad Ba Wuzu Sona Mustahab Hai. Subah Uthte Hi Pehle Gusal Karle. Hadees-E-Pak Me Hai Ke Jis Ghar Me Junoob Yani Naapak Aadmi Hota Hai Waha Farishte Nahi Aate. Subah Gusl Me Deri Na Kare.
Dua Ki Guzarish.
Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu
Aapke Comment Ka Der Se Reply Dene Ke Liye Tahe Dilse Mazahrat Chahta Hu.
Dar Asl Comments Jyada Hone Ke Wajahse Galati Se Aapka Jawab Reh Gaya.
Mazi Ya Mani Ise Pehchanne Ka Aasan Tariqa Ye Hai Ke Mazi Patli Chipchipi Pani Ke Tarah Hoti Hai. Aur Mani Safed Gadhi Hoti Hai.
Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu
Aapke Comment Ka Der Se Reply Dene Ke Liye Tahe Dilse Mazahrat Chahta Hu.
Dar Asl Comments Jyada Hone Ke Wajahse Galati Se Aapka Jawab Reh Gaya.
Mazi Nikalne Par Gusal Farz Nahi Hota. Upar Likhi Post Gaur Se Padhe. Aur Koi Sawalat Ho To Comments Kare.
Dua Ki Guzarish.
Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
Mard Ke Ejaye Tanasul Ka Aurat Ki Sharmgah Me Dakhil Ho Jate Hi Gusal Dono Par Farz Ho Jata Hai. Chahe Inzal Ho Ya Na Ho.
Keep Visiting & Sharing With Others.
Please Remember Me In Your Previous Dua.
Raat ko mere nafs se mani baher ajatey hain our mujhe pata bhi nahe chalta bs kapro se pata chalta hain
Our raat ko gandey sapne be atey hain jis ki waja se mani baher atey hain
Ea ka khas waja kya hain
Bhai saab app ki help chaye ya
Har raat mujh per ghosal ke nubat atey hain
Es ka koi waja app mujhe bata sakte hain kya
Main es se buht tang a choka ho
Plz help me
assalam o alaikum mazrat chahta hn k apna naam ni likh sakta mera sawal hai aap se k jab bhi mn bathroom jata hn or mn jab wc pe bethta hoon to mere nafs se gadha white colour ka liquid nikalta he kia is se gusal laazim hojata he jawab irshad farma dijiye
Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
Yaha Masla Jaroori Laga Isliye Post Kar Raha Hu. Aanida Comment Kare Tab Apna Naam Jaroor Likhe.Warna Comment Approve Na Hoga.
Jaisa Ke Aapne Bayan Kiya Hai. Agar Gadha Dark Safed Rang Ka Madda Nikalta Hai. To Wo Mani Hai. Jisse Aap Par Ghusle Janabat Farz Ho Jata Hai. Mani Yuhi Nahi Nikalti Jab Aapke Dilme Khwahishat Paida Hote Hai. Aur Shahwat Ke Sath Wo Nikalti Hai. Aur Agar Patla Pani Jaisa Par Thoda Chipchipasa Madda Nikalta Hai. Jo Ke Safed Nahi Hai. Gadha Nahi Hai. To Wo Mazi Hai. Jisse Ghusl Farz Nahi Hota.
JazakALLAHU Khair Aapke Comment Ke Liye.
Hamare Site Ke Bare Me Apne Dosto, Rishtedaro Ko Bhi Bataye. Khidmate Deen Main Hamara Sath De. Play Store Se Hamare Nabi App Download Kijiye. Apni Anmol Duao Me Is Nachiz Ko Bhi Yaad Rakhe.
Aapko Ye Padh Kar Bhi Koi Sawalat Ho To Jaroor Puchiye.
Naushad ahmed
Sawal ye hai ke agr hath ke istemal se mani jo nikalta hai…kya turant gusl karna farz hai ya thoda ruk kr gusl karna chahye
Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu
Bina Apne Nam Ke Comments Karnewale Logonko Spam Consider Kiya Jata Hai Lihaza Sabse Guzarish Hai Apna Nam Zaroor Likhen.
Aapki Identity Na Hone Ke Wajahse Aapka Comment Pending Rakha Gaya. Khair,
Jo Aapne Sawal Kiya Hai Rozana Ahtelam Yani Nind Me Mani Kharij Hone Ke Talluqse To Ye Behad Kamzori Ki Alamat Hai.
Aapko Chahiye Ke Aap Kisi Achche Doctor Re Rabta Kare Aur Apna Ilaj Karaye. In sha ALLAH Aapka Masla Hal Ho Jayega.
JazakALLAHU Khair.
Ramzan Mubarak.
Assalamualaikum bhai,
mai roze ki halat me jab koi gande khayalaat aate hai to naaf se thoda chipchipa sa nikalta hai to mera roza toot jayega ya nahi?
please help me?
Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu
Aapko Ramzan Mubarak 🌹
ALLAH Tala Hum Sabko Shaitan Ke Makaro Fareb Se Aur Nafs Ke Shar Se Mehfooz Rakkhe. Aameen.
Jaisa Ke Aapne Bayan Kiya Hai. Patla Chipchipa Chamkdar Paani Sharmgah Se Khariz Ho Wo Mazi Hai. Isse Wuzoo Toot Jata Hai. Aur Jism Ke Jis Hisse Par Lage Uska Dhona Zaroori Hai. Kapde Par Lag Jaye To Uska Dhone Bhi Zaroori Hai. Mazi Nikalne Se Ghusl Farz Nahi Hota Aur Na Hi Aapka Roza Tootega. Aap Bila Shuba Apna Roza Jaari Rakkhe. Roze Me Koi Fark Nahi Aayega.
Koshish Kare Ki Aisi Chizon Se Door Rahe Jinse Shahwat Tari Ho. Agar Mani Kharij Hui Ho To Roza Toot Jayega Aur Uski Kaza Lazim Hogi. Ab Mani Gadhi Safed Rang Ki Hoti Hai. Iske Kharij Hone Par Jism Dhila Pad Jata Hai. Aur Sharmgah Ka Tanaw Kam Ho Jata Hai.
ALLAH Ta'ala Apne Habib ﷺ Ke Sadqe Hume Jyada Se Jyada Ibadat Karne Ki Taufiq De.
Aameen.
JazakALLAHU Khair
Assalamo Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuhu
Ghusl Me Kabhi Bhi Der Nahi Karni Chahiye. Jitna Jaldi Ho Paki Hasil Kare. Jis Ghar Me Junoob Yani Napak Ho Wahan Farishte Nahi Dakhil Hote. Aur Namaz Qaza Hone Ke Sabab Gunah Honge. Napaki Me Asrat Aur Jaadu-Tona Ka Bhi Khatra Hota Hai. Lihaza Jald Se Jald Paki Hasil Karne Ki Koshish Kare.