Nikah

Kin Logo Se Nikah Karna Jaiz Nahi

Mere Pyare Islami Bhai Behano Nikah Karna Sarkare Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnate Mubaraka Hai. Nikah Ke Fazilat Ke Talluqse Bohotsi Ahadees Sharif Mauzood Hai. Nikah Haramkari Se Bacha Kar Halal Ki Taraf Le Jata Hai. Nikah Karne Par Aadha Deen Muqammal Ho Jata Hai. Beshaq Islam Duniya Ka Sabse Afzal Mazhab Hai. Islam Me Mard Aur Aurat Dono Par Ek Dusre Ke Huqooq Hai Jinhe Ada Karna Unpe Wazib Hai. In Huqooq Me Kotahi Gunah Ka Sabab Hai. Lihaza Jin Logo Ko Ye Galatfehmi Ho Ke Huqooq Sirf Aurato Par Hi Hai Wo Apni Islah Kare. Aur Apne Biwiyo Ke Huqooq Ada Kare Warna Roz-E-Mehshar Is Gunah Ke Sabab Giraft Honge.

Yaha Aur Hamare Nikah Ke Page Aur Digar Posts Me Nikah Ke Masail Ba Hawala Bayan Kiye Gaye Hai. Inka Maqsad Awaam Ko Islami Tariqe Sikhana Aur Unki Islah Karna Itna Hi Hai. Agar Aapko Koi Bhi Sawalat Hai To Comment Kare Ya Hume Chat Plugin Ke Zariye Email Kare. Is Website Ka Adabo Ahtaram Kare Yaha Par Koi Bhi Gande Comments Na Kare. Masle Masail Bhi Adab Ke Dayre Me Reh Kar Hi Poochha Kare. Hume Rozana Bohot Sare Emails Aate Hai Isliye Jawab Me Agar Deri Ho Jaye To Mazhrat Chahta Hu. In sha ALLAH Aapke Masail Par Jawabat Diye Jayenge. Hamare Web Ko Khoob Share Kijiye Taki Logo Ki Islah Ho Aur Wo Sahi Deeni Tariqe Par Amal Kare Aur In sha ALLAH Iska Sawab Aapko Aur Hume Hasil Ho. Apni Duao Me Muz Nachiz Ko Bhi Yad Rakhe.

Hazrat Amra bint Aburrahman wa Hazrat Maula Ali Radiallahu anhu se Riwayat he Ke Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
“Raja’at yani dudh ke rishte se bhi wahi rishte haram ho jate he, Jo wiladat se haram ho jate he”
(Bukhari Sharif, Jild 3, Safa 62, Tirmizi sharif, Jild 1, Safa 587)
Yani Jisne Bachpan Me Kisi Aurat Ka Dudh Piya To Usse Maa Ka Rishta Ho Jata Hai. Ab Uski Beti Behen Hai Usse Nikah Haram Hai.

ALLAH Ta’ala Quran Pak Me Irshad Farmata Hai
“Haraam hui tum par tumhari Maa, Betiya, Behne Aur Fufiya, Khalaye, Bhatijiya, Bhanjiya, Aur Tumhari Ma jinhone Dudh pilaya Aur Dudh ki behne, Aurato ki Maaye.”
(Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 23)


Hazrat Abdullah ibne Abbas radiallaho anhu se imaam bukhari radiallahu anhu se Riwayat kiya
“Char se jyada Biwiya isi tarah Haraam he jaise Aadmi ki Beti Aur Behen”
(Bukhari Sharif, Jild 3, Bab no 54, Safa 64)

Allah irshad farmata he
“Aur Mushriko ke nikah me Na do Jab tak wo Imaan Na laye.”
(Tarjuma: Kanzul Iman, Para 2, Surah Bakar, Aayat 221)

ALLAH Ta’ala irshad Farmata Hai
“Aur Shirk wali Aurato se Nikah Na karo Jab Tak Musalman Na Ho Jaye”
(Tarjuma: Kanzul imaan, Para 2, Surah Bakar, Aayat 221)

Kin Auraton Se Nikah Jaiz Nahi Tafseel Me Is Video Me Jane:

Related Articles

62 Comments

  1. kya khala se nikah karna jaiz hai matlab vo meri sagi khala nhi hai bhaut dur ki rishtedaar..hai..kya usse nikah karna jaiz hai..plzz answer me..

  2. Assalamu Alaikum Saquib Bhai
    Pehle To Aapko Aur Aapke Gharwalo Ko Ramzan Kareem Mubarak.
    Aapke Masle Ka Hal Qurane Kareem Ki Is Muqaddas Aayat Me Maujood Hai.
    Allah Ta'ala Quran Pak me irshad farmata he
    "Haraam hui tum par tumhari Maa, Betiya, Behne Aur Fufiya, Khalaye, Bhatijiya, Bhanjiya, Aur Tumhari Ma jinhone Dudh pilaya Aur Dudh ki behne, Aurato ki Maaye."
    (Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 23)

    Fir bhi aap apne yaha ke sunni sahihul aqeeda Muftisahab se is masle par bat karle.
    JazakALLAHU Khair

  3. Hum jisse shadi karna chahate WO pahle se nikah mai hai 6 saal se but unka bacha nhi hua to kya unke pahle bibi se razamandi lena jaruri hai kya kuk hum unke pahle bibi ke saath galat nhi karna chahte

  4. Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Behen,
    Jaisa aapne bataya ke aap jinse Nikah karna chahti hai unki biwi hai aur unse koi aulad nahi hui isliye wo dusra nikah kar rahe hai. To is soorat me unke shohar ko apni biwi se ijazat lena jaroori hai. Aur har hal me aap dono ka farz unko nibhana hai. Aap dono ke huqooq barabar ada karne honge. Hadeese pak me hai ke Pyare Aaqa Rehmate Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke Jiski Do Biwiya Ho Aur Wo Unme Se Kisi Ek Ki Haq Talfi Kare Yani Huqooq Barabar Ada Na Kare To Roze Mehshar Aadha Dhad Uthega. Aur Sakh Azab Hoga. ALLAHU Akbar…

    Ye Badi Jimmedari Hai Unpar. Aapko ijazat lene ki jaroorat nahi hai. Bas itna khayal rakhe ke unki biwi ka koi dil na dukhaye. Aap Sab Pyar Muhabbat Se Zindagi Basar Kare.
    ALLAH Aapko Amal Ki Taufiq De.
    Aameen
    Awwal Aakhir Durood.
    JazakALLAHU Khair Aapke Comment Ke Liye.
    Visit Karte Rahe Aur Dusro Ko Bhi Hamare Blog Ke Bare Me Bataiye.
    Keep visiting to get knowledge.

  5. Hazrat Abdullah ibne Abbas radiallaho anhu se imaam bukhari radiallahu anhu se Riwayat kiya
    "Char se jyada Biwiya isi tarah Haraam he jaise Aadmi ki Beti Aur Behen"
    (Bukhari Sharif, Jild 3, Bab no 54, Safa 64)
    Saudi Arabia mein char se jyada shadi karte hai our kuch nabi bhi jadaa shadi kare na… sahi malum karaye

  6. Ab ghulam bandi ka zamana nahi raha. Ab Khadimah/Kaneez/khalifah/baandi nahi rahi na woh AHkaam rahey.
    Us Zamane Me Bandi Se Nikah Ka Huqm Na Tha.
    (Maulana Masood Noori Razvi Sahab Qibla)

  7. Assalamu Alaikum Mehboob Sahab
    Ji Khala Ki Ladki Se Nikah Jaiz Hai.

    Talibe Dua.
    • Jinse Nikah Jaiz Nahi Unka Bayan:

    ALLAH Ta'ala Quran Pak me irshad farmata he
    "Haraam hui tum par tumhari Maa, Betiya, Behne Aur Fufiya, Khalaye, Bhatijiya, Bhanjiya, Aur Tumhari Ma jinhone Dudh pilaya Aur Dudh ki behne, Aurato ki Maaye."
    (Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 23)

  8. Mujhe bhi apni sali se mohabbat hai, hum dono kisi ko takleef nhi dena chahte,
    ALLAH Ta'ala Quran Pak me irshad farmata he
    "Haraam hui tum par tumhari Maa, Betiya, Behne Aur Fufiya, Khalaye, Bhatijiya, Bhanjiya, Aur Tumhari Ma jinhone Dudh pilaya Aur Dudh ki behne, Aurato ki Maaye."
    (Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 23)

    ab agar me apni sali se nikah kar leta hoon to…

  9. Assalamu Alaikum,
    Aap shadishuda hai. Aapka Namarham Aurat ko dekhna gunah hai. Aap apne biwi ko dhoka de rahe hai. Agar Aapko Unki Behen Hi Pasand Thi To Unse Nikah Kyu Na Kiya? Apne Biwi Ki Zindagi Ko Barbad Karne Ka Aapko Koi Haq Nahi. Aap Aisa Khayal Nikal De. Aur Apni Shadishuda Zindagi Par Gaur Kare. Yahi Behtar Hai. Agar Aap Koi Galati Karenge To Aakhirat Me Sakht Azab Me Mubtala Honge.

  10. Assalamu Alaikum
    Aapke Sawal Ka Jawab Qurane Kareem Me Maujood Hai.

    • Jinse Nikah Jaiz Nahi Unka Bayan:

    ALLAH Ta'ala Quran Pak me irshad farmata he
    "Haraam hui tum par tumhari Maa, Betiya, Behne Aur Fufiya, Khalaye, Bhatijiya, Bhanjiya, Aur Tumhari Ma jinhone Dudh pilaya Aur Dudh ki behne, Aurato ki Maaye."
    (Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 23)

  11. Kiya talq k bad b shohar or Biwi Milty hain aurat ne b Shadi karli dosri shohar ne b dosri Shadi karli phir b wo Dono apas main Milty hain or Kehty hain k hum dost hain to please mujhy ye bataen k ye SAB theek hai is tarhan. KI mulaqatain talaak k bad??

  12. Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Wish Khan,

    Nikah se Talaaq Lene Ke Bad Wo Dono Ajnabi Yani Namarham Ke Huqm Me Aate Hai. Jinka Ab Ek Doosre Se Koi Bhi Rishta Nahi Hai. Unka Is Tarah Dost Batana Aur Aapas Me Milna Sakht Najaiz Haraam Hai.
    (Maulana Masood Noori Razvi Sahab Qibla)

    Aise To Wo Apne Naye Rishte Ko Dhoka De Rahe Hai. Unko Apni Nayi Shadishuda Zindagi Par Dhyan Dena Chahiye. All Nek Taufiq De Sabko.
    Aameen.
    Awwal Aakhir Durood.
    JazakALLAHU Khair For Your Comment.
    Stay Tuned. Keep Visiting.

  13. Agar mera walid sahab ne dosri shaadi krli ha or uske aurat k pehli nikah yani uske pehle shohar se 1 beti ho to kia mera nikah uski beti se jaiz ha ya najaiz

  14. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Keleem Bhai,

    ALLAH Ta'ala Quran Pak me irshad farmata he
    "Haraam hui tum par tumhari Maa, Betiya, Behne Aur Fufiya, Khalaye, Bhatijiya, Bhanjiya, Aur Tumhari Ma jinhone Dudh pilaya Aur Dudh ki behne, Aurato ki Maaye."
    (Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 23)

    Aapke Sawal Ka Jawab Bahawala Isme Maujood Hai.
    Bhanji Se Nikah Karna Haraam Hai. Lihaza Aapko Iski Izazat Nahi.
    JazakALLAHU Khair.
    Dua me yaad rakhe.

    Play store se Hamare Nabi App Download Kijiye.

  15. Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Aasim Bhai.

    Awwal To Bewao Se Nikah Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sunnat Hai. Aapne Khoob Sawab Kamaya Aur Gava Bhi Diya. ALLAH Rabbul Aalameen Ko Shirk Ke Bad agar Sabse Jyada Napasandida Chiz Koi Hai To Wo Hai Talaaq. Aapne Unse Nikah Kiya To Unki Beti Aapki Beti Hui. Aur Beti Se Nikah Haram Hai. Upar Comment Me Qur'an-E-Kareem Se Aayat Pesh Ki Hai Padhle. Apne Gunah Ki Tauba Kare. Aapne Dono Bar Galtiya Ki Hai. Ye Us Bewa Aurat Ke UPAR ZYATADI Hai Zulm Hai. ALLAH Rabbul Aalameen Ke Azaab Ka Khauf Rakho. Shariat Ko Khel Na Samjho. ALLAH Rabbul Aalameen Ka Azab Bada Sakht Hai.

  16. Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

    Please apne identity ke sath Comment kare. Masla Jarooru laga Isliye Publish Kar Diya. Apne Se Badi Umar Ki Ladki Se Nikah Jaiz Hai. Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Ajwaje Mutaharrat Me Se Ummul Momineen Bibi Khadizatul Kubra Radiallahu Anha Aapse Umar Me Badi Thi.

    JazakALLAHU Khair
    Hamare Blog Ko Dusro Tak Pohochane Me Meri Madad Kare.
    Keep Visiting Sharing.

  17. Wo Aapki Bhanji Hui To Usse Nikah Haraam Hai. Upar Di Gayi Post Gaur Se Padhe. Quran-E-Kareem Me ALLAH Ta'ala Ne Saaf Lafzo Me Bayan Kiya Hai Ke Kinse Nikah Jaiz Nahi.
    Dua Ki Guzarish.
    Ramazan Kareem Mubarak

  18. Khala Se Nikah Haraam Hai. Upar Article Me Likha Hai To Fir Bhi Kyu Verify Kar Rahe Hai. Saaf Lafzo Me ALLAH Rabbul Aalameen Bayan Farma Raha Hai To Ab Kis Baat Ki Guzarish Hai Mere Bhai?

  19. Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Raheesh Khansahab,

    Apne Sage Chacha Ki Ladki Se Nikah Karna Jaiz Hai.

    Download Kijiye Sunnat-E-Nabi​ App Play Store Se.

    JazakALLAHU Khair. Talibe Dua.

  20. Assalamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barkatu
    Nazarahmed khan sahab mera ye sawal yai jaisa aapne bataya hamare Nabi ne farmaya maa beti bahan fufiyo se khalao se bhanji se bhatiji se nikah najayaz hai lekin najayaz sirf sage aur dudh ke rishte main hai ya kaise bhi hai matlab relation main hai rishtedaron main khandani main ya ese hi muh boli etc to us halat main kya hai

  21. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

    Quran-E-Kareem Wa Hadees-E-Pak Me Jin Rishto Ka Zikr Hai Wo Hamare Khoon Ke Rishte Aur Doosharif Rishto Ke Liye Hai. Muh Bole Rishto Ke Liye Nahi Kyunki Unki Nasl Alag Hai Aur Aapki Alag Hai. Na To Wo Aapke Khandan Se Hai Ya Doodh Ke Rishte Me. Aapko Aur Bhi Koi Masla Ho To Apne Yaha Ke Sunni Sahihul Aqida Aalim Se Rabta Farmaye.
    Dua Ki Guzarish.

  22. Assalamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barkatu

    jaisa ki aapne bataya maa beti bahan fufiya khalaye bhatiji bhanji se nikha najayaz hai mera is main ye sawal hai najayaz sirf sage rishte naun hai ya kaise bhi har rishte main jaise relation main rishtedaaro main khandani main etc har rishte main najayaz hai kyab

  23. Assalamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barkatu Janab Nazarahmed khan sahab

    Janab Mera Masla ye hai jaise ke apne upar bhi bataya ke nikah maa beti fufiya khalaye bhanji Bhatiji ke sath najayaz hai main Hazarat aapse ye puchna chahta hoon ye sirf sage rishto main najayaz hai ya kaise bhi door pass ke khandani etc jaise bhi hai sabke sath najayaz hai kya

  24. Meri cousin h or unhe apni ammi ke khalere bhai se mohabbat hogyi h or us shakhs ko unse kyaa islaam me unke rishte ko qabul kiya jaiga….

  25. Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

    Ramzan Mubarak.

    Aapki Cousin Ki Ammi Ke Khala Ke Bete Yani Unki Ammi Ke Khalere Bhai Huve
    Is Lihaz Se Us Bachchi Ke Mamu Hue. Aur Jaisa Ke Saaf Lafzon Me Quran Sharif Me Iska Zikr Mauzood Hai Ki Mamu Aur Bhanji Ka Rishta Haram Hai. Lihaza Ye Rishta Nahi Ho Sakta. Isse Bache Rahen. Aur Agar Fir Bhi Koi Ise Kare To Hargiz Nikah Na Hoga. Ta Umar Zinakari Ke Sakht Gunah Me Doode Rahenge. Beshaq Zina Dozakh Ka Rasta Hai. ALLAH Ta'ala Hum Sabko Deen Ko Samajhne Aur Uspar Amal Ki Taufiq Ata Farmaye.

    Upar Bayan Ki Gayi Aayate Mubaraka Me Saaf Alfaz Mauzood Hai. Muze Ummid Hai Aapko Jawab Hasil Ho Gaya.
    Dua Ki Guzarish..
    JazakALLAHU Khair.

  26. Admin ap kiun logo ko gumrah kr rhe hen
    Humary parents k czn humary na mehram he un se kyse nikah jaiz nhi is tarah to apny czns se bhi jaiz nhi kiun k wo humary been bhai hen agr parents k czns behn bhai hen too…. Reply lazmi dema

  27. Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

    Bhaijaan Yahan Par Jo Bhi Likha Hai Wo Mukammal Hawalon Ke Sath Mauzood Hai.

    Logon Ki Aasani Ke Liye Mufti Sahab Ka Video Post Me Include Kiya Hua Hai Le Short Me Sab Samaz Jaye.

    Lihaza Aap Sabse Guzarish Hai Ke Hazrat Ka Video Zaroor Dekhe. In sha ALLAH Sare Jawab Hasil Ho Jayenhe.

    JazakALLAHU Khair

  28. Assalamo Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuhu,

    Mere Bhai Jab ALLAH Ta'ala Ne Saf Alfaz Me Qurane Kareem Me Irshad Farmaya Ki Inse Nikah Haram Hai. To Humesha Haram Hi Rahega. Yahan Sachche Pyar Ki Koi Gunjaish Nahi. Ye ALLAH Rabbul Aalameen Ne Lagayi Hade Hai Ise Na Tode Warna Duniya Aur Aakhirat Me Ruswai Ke Siwa Kuchh Hasil Na Hoga.
    ALLAH Ta'ala Aapko Aur Hum Sabko Nek Taufiq De.
    Aameen. Awwal Aakhir Durood.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!