Wuzoo ka Bayan
Huzoor-E-Akram sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya:
Qiyamat ke din meri ummat is halat me bulayi jayegi ki unke muh aur hath aasare wuzoo se chamakte honge to jisse ho sake chamak jyada kare
(Bukhari sharif, Muslim sharif)
Jo shaks sakht sardi me kamil wuzoo kare uske liye dugna sawab he
(Tibrani sharif)
Jo shaks wuzoo par wuzoo kare uske liye 10 nekiya likhi jayengi
(Tirmizi sharif)
Wuzoo Ke Faraiz:
1. Muh dho lena
2. Kuhniyo samet dono hath 1 bar dhulna
3. Sar par masah karna
4. Dono pau gatto samet 1 bar dhulna
(Qanoon-E-Shariat)
Wuzoo ke Makruhat
1. Aurat ke gusal ya wuzoo ke bache pani se wuzoo karna
2. Najis jagah wuzoo ka pani girana
3. Masjid ke andar wuzoo karna
4. Wuzoo ke pani ke katre wuzoo ke bartan me tapkana
5. Kibla ki taraf kulli ka pani ya Nak ya Khakhar ya Thuk dalna
6. Be jarurat duniya ki bate karna
7. Jyada pani kharch karna
8. Itna kam pani kharch karna ki sunnate ada na ho
9. Ek hath se muh dhona
10. Muh par pani marna
11. Wuzoo ke katro ko kapde ya masjid me tapakne dena
12. Wuzoo ki kisi sunnat ko chod dena
(Qanoon-E-Shariat)
Wuzoo todnewali chize:
1. Dukhti aankh se jo pani ya kichad behta he usse wuzoo tut jata he aur wah najis bhi hai jis jagah lag jaye uska pak karna jaruri he
2. Namaz me itni aawaz re hasna ki khud usne suna paswalo ne na suna to wuzoo na tuta magar namaz tut gayi
3. Agar muskuraya yani dant nikale aur aawaz bilkul na nikali to isse na wuzoo tuta na namaz
4. Jo rutoobat aadmi ke badan se nikale aur wuzoo na tode wah najis nahi
jaise wah khoon jo behkar na nikale ya thodi kay jo muh bhar na ho wo pak he
5. Ral,Thuk,Pasina,Mail pak he
Yah chize badan ya kapade me lagi ho to namaz ho jayegi
6. Jo aansu rone me nikalte he unse wuzoo aur namaz nahi tutti
7. Ghutna ya satar khulne se,Apna ya dusre ka satar dekhne se ya chune se wuzoo nahi tutta
8. Dudh pite bache ne kay ki agar wah muh bhar he to Najis he
Dirham se jyada jis chiz ko lag jaye napak kar dega
9. Wuzoo ke bich wuzoo tut gaya fir se wuzoo kare
Agar chullu me pani liya fir hawa nikali yah pani bekar ho gaya usse koi hissa na dhoye
(Qanoon-E-Shariat Hissa:1,Safa:41)