Hadees-E-Ramzan Roza Todnewali Chize
Hukka
Bidi
Sigret
Charut
Sigar
Pan
Tambakhu
Inse Roza Tut jata he
Dant me chane barabar chiz thi & Ningal gaya
Roza Tut Gaya
(Qanoon-E-Shariat)
AHAM MASALA
IFTAR KI DUA ROZA IFTAR KARNESE PEHLE NAHI
IFTAR KARNE KE BAD PADHNI CHAHIYE
(Fatawae Razviya J:4,P:651)
Be ikhtiyar kay(ulti) ho gayi to roza na gaya
Agar khud ba khud andar laut b gayi ho
Kasdan Kay karnese Roza Tut jata he
(Qanoon-E-Shariat)
Mard ne Aurat Ka Bosa Liya Ya Chua Ya Mubasharat ki Ya Gale lagaya Aur injal hua to roza tut gaya
Agar Aurat ne mard ko chua aur mard ko injal Hua to Roza Na Tuta
Aurat ko kapde ke uparse chua aur kapda itna mota he Ki Badan ki garmi malum na hui to Roza Na Tuta agarche injal ho
(Qanoon-E-Shariat)
Danto se Khun nikal kar Halak se niche utara aur khun thuk se Jyada ya kam tha magar uska maja Halak me malum hua To Roza Tut Gaya
(Qanoon-E-Shariat)
Khane-Pine Ya Jima Karnese Roza Tut jata he
Jubki Rozdar hona Yad ho
Agar Bhool se Hua to roza nahi Tuta
(Qanoon-E-Shariat)