Faizan-E-Ramzan
SUBAHANALLAH:
RAMZAN ME EK BAAR TASBEEH KARNA
(YANI SUBAHANALLAH KEHNA)
IS MAAH KE ILAWA 1000 BAAR
TASBEES KARNE SE AFZAL HE
(DURRE MANSUR1)
RAMZAN KE ROZEDAAR KE LIYE
SUB’H SE SHAM TAK
70,000 FARISHTE
DUA-E-MAGFIRAT KARTE REHTE HAI.
(SHAUBUL IMAAN JILD.3)
JO KOI RAMZAN ME KISI MUSALMAN KI HAAJAT PURI KARTA HAI
TO ALLAH TA’ALA USKI 10 LAKH HAAJATE PURI FARMATA HAI.
(NUZ’HATUL MAJAALIS)
Apne maal ki zakat nikal ki
woh Pak karnewali hai
Tujhe Pak kar degi
(MUSNAD SHARIF)
TARJUMA KANZUL IMAN:
anqarib me neamato ko unke liye
likh dunga jo darte
aur
zakat dete he
(SURE A-ARAF 156)
Mas’Ala
Roza Yad Rehne Ke Bawjud HUQNA(Medicine injection) Liya ya Naak Ke Zarye Dawai Chadhai Roza Jata Raha. (Aalamgiri)
Ramzan Me Gharwalo Ke Kharch Me Kushadgi Karo Kynki Is Mahine Me Kharch Karna Allah Ki Rah Me Kharch Karna He.
(Jame Sageer)
Jo Ramazan me iman aur sawaab ke sath(namaz me)qayam kare
uske agle pichhle tamaam gunah mita diye jayenge
(Bukhari)
SARKAR AlaihisSalaam Farmate He:
“ROZA aur QUR’AN
Bande Ke Liye QIYAMAT Ke Din Shafa’at Karenge.”
[Musnad-E-Imaam Ahmad Jild:2 Safa:586 Hadees:6637]
Durood-E-Alfi:
ALLAHUMA SALLI ALA MUHAMMADIW WA ALA AALI MUHAMMADIN BI ADADI KULLI ZARRATIM MAA’ATA ALFIN ALFA MARRATIW WABAARIK WA SALLIM.
Mas’ala:
Hajaamat Banwaane
Tel (Oil) Lagane Ya Surma Wa KHUSHBU Lagane Se Roza Nahi Too’tta
Balki Roze Me ye Chize Achchi Hai.
(Bahare shariat J:5)
MAAH-E-RAMZAN KE 4 NAAM HAI:
1.MAAH-E-RAMZAN
2.MAAH-E-SABRA
3.MAAH-E-MUASAAT
AUR
4.MAAH-E-WUSA’AT-E-RIZQ
(TAFSIR-E-NAEEMI J.2 S.208)
MAS’ALA:
BILA QASD AGAR GALE ME DHUWA, GUBAR AUR MAKKHI DAKHIL HO JAYE TO ROZA NAHI TUTEGA.
(FATAWA-E-RAZVIYA)
MASLA:
Iftar ki dua par tashrih karte hue Mulla Ali Qari alairahma ne kaha ke iftar karne ke bad dua padhe
(mirqaat)
(Sunan Abu’dawood H.no:2010)
AEY LOGO !
TUMHARE PAAS AZMATWALA AUR BARKATWALA MAHINA (RAMZAN) AAYA
WO MAHINA JISME EK RAAT 1000 MAHINO SE BEHTAR HAI
(BAIHAQI)
Jis Rozadar Ne Bhool Se Khaya Piya Wo Apna Roza Pura Kare (Uska Roza Nahi TooTa)
kyunki Use Allah Ne Khilaya Pilaya
(MUSLIM Hadis:1155)
MASLA:
Kisi GARIB Ke Zimma Rupya Baaqi He
To Use Maaf Karne Se ZAKAAT Ada Nahi Hogi.
(BAHARE SHARIAT)
Kaunsi Namaz Kab Kaam Ayegi:
Fajar- Marte Waqt
Zohar- Qabr Me
Asar- Munkir Nakir Ke Sawalat Me
Magrib- Hisab Kitab Me
Esha- Pul Sirat Par
RAMZAN ME KHANE-PEENE KA HISAAB NAHI
SEHRI AUR IFTAAR KE WAQT DUA QABUL HOTI HAI
AISI FAZILAT KISI AUR MAHINE KO HAASIL NAHI.
(TAFSIR-E-NAEEMI)
JANNAT KE 8 DARWAZE HAI
JISME SE EK KA NAM “RIYAAN” HAI,
IS DARWAZE ME ROZEDARO KE SIWA AUR KOI DAAKHIL NA HOGA.
(BUKHARI SAFA.7197)
Mas’ala:
Aisi Cheeze Jo Muh Me Rakhne Se Ghul Jaati Hai, Wo Cheez Muh Me Rakhi Aur Thook Nigal Gaye Tou Roza Toot Gaya
(Durre Mukhtaar)
Mubarak ho apko
1 Mahina Rehmat ka
4 Hafte Barkat ke
30 Din Maghfirat ke
720 hours Paki ke
432000 Minuts Hidayat ke
2592000 Second Noor ke
Assalam Ae Mahe Ramzan