Ramzan

ETKAF KI SUNNATE HADEES ON ETEKAF

ETKAF KARNEWALE KE LIYE BILA UJR MASJID SE NIKALNA HARAM HAI

AGAR

NIKLA TO ETKAF TUT JAYGA

CHAHE QASDAN NIKLA HO YA BHULKAR

(DURRE MUKHTAR J:2 S:133)

MARD KE LIYE ZARURI HAI KI MASJID ME ETKAF KARE

&

AURAT APNE GHAR ME US JAGAH KARE JO JAGAH NAMAZ PADNE KE LIYE MUQARRAR KI HO

(DURRE MUKHTAR J-2,S-129)

ETKAF ke Liye 20 RAMZAN ka suraj dubnese pehle niyat kar Lena zaruri he

Magrib ke bad niyat ki To Sunnat-E-Muaqqida ada Na hogi

(Bahare Shariat)

IBADAT KI NIYAT SE ALLAH KE LIYE MASJID ME THAHARNE KA NAAM ‘ETKAF’ HAI

ETEKAF KI

3 KISME:

1.ETKAF-E-WAJIB

2.ETKAF-E-SUNNAT

3.ETKAF-E-MUSTAHAB

ETKAF:

Masjid Ke Andar Dakhil Hoto Etekaf Ki Niyat Kare

Jitni DerTak Masjid Me Rahega Etkaf Ka Sawab Payega.

(Fatawa-E-AALAMGIRI, Jild:1 Safa:197)

Niyat: Nawaytu Sunnatul Etkaf

Jis shaks ne Imaan Ke sath sawab hasil karne Ki niyyat se Etkaf kiya uske pichle gunah baksh diye jynge

(Jame Sageer)

Huzoor Sallallahu Alaiyhi WaSallam Ne Farmaya:

Itekaaf Karnewala Gunaho Se Mahfooz Ho Jata Hai.”

(Mishkaat ul Masabeeh-Zujajat ul Masabeeh)

MASLA:

RAMZAN SHARIF KE AAKHRI 10 DINO KA ETEKAAF SUNNAT-E-MUAKEDA KIFAYA HAI

SHAHAR ME EK NE KAR LIYA

SAB BARIUZZIMMA HAI

(BAHAR-E-SHARIAT)

MASLA:

Ramzan ke Etekaf ke Liye Roza Shart Hai

Agar Kisi Ne Roza Na Rakha Or Etekaf Kiya

To Sunnat Ada Na Hogi

(RADDUL MOHTAR V:3,P:496)

MASLA:

Agar Masjid Me WAZU ISTINJA PAKHANA PESHAB Ki Sahulat Na Ho To, ETiKAF Karne WALA Bahar Ja Sakta Hai

(DURRE MUKHTAR Vol:3,Page:501)

Jis MasjidMe Etkaf Kiya

Agar Waha Juma Ya Jamat Se Namaz Nahi Hoti

To Motakif Iske Liye Bahar Ja Sakta He.

(R.MOHTAR V:3,P:505)

MASLA:

Ramzan ke Etkaf ke Liye Roza Shart Hai

Agar Kisi Ne Roza Na Rakha Or Aitekaf Kiya To Sunnat Ada Na Hogi

(Bahare Shariat)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!