Eid Mubarak Eid Ki Sunnate Wa Hadees Of Eid
,
,’,’ *
‘, ‘, ,
‘ ,’,’,’, ‘
Eid-Ul-Fitr Mubarak
Eid Ke Din Shaitan Apne Chelo Se Kehta He
Muslmano ko Lazzat
Aur
Nafsani Khwahishat me
Mashgul Kardo
(MUKASHFTUL QULUB)
HAZRAT WAHAB BIN MUNABBEH:
JAB EID AATI HAI
TAB SHAITAN CHILLA CHILLA KAR ROTA HAI
(MUKASHAFT-UL-QULUB)
EIDUL FITR KI RAAT KO
“LAYLATUL JAEEZAH”
YAANI
“INAAM KI RAAT”
KAHA JATA HAI.
(ATTARGIB WATTARHIB)
HUZOOR ALAIHISSALAM NE PAHLI NAMAZE EID SAN 2 HIJRI ME NAMAZE EID-UL-FITR ADA KI
(MUKASHAFT-UL-QULUB)
HUZOOR Eid ki Namaz Ko 1 Raaste Se Jate Or Dusre Raste Se Wapas Hote
(TIRMIZI Vol:2,Page:69)
EIDUL-FITR
EIDUL-AZ’HA
&
ZILHIJJAH KI 11,12,13 TAARIKHO
ME ROZA RAKHNA
MAKROOH-E-TAHRIMI
&
GUNAAH HAI
(DURR-E-MUKHTAR Jild-2 Safa-83)
Huzoor Eidul Fitr Ke Din
(Namaz Ko) Tashreef Na Le Jate Jab Tak TAAQ (3,5,7,9) Khajuren Na Khate.
(BUKHARI SHAREEF Jild:1,Page:328)
HAZRAT ABU AYUB:
JISNE RAMZAN KE ROZE RAKHE
FIR
SHAWWAL KE 6 ROZE RAKHE
TO
GOYA USNE POORI ZINDAGI ROZE RAKHKAR GUZARI
(TIRMIZI)
MASLA:
Jiski Eid Ki Namaz Chhut Gayi Wo Bager Jamat Ke Namaz Nahi Padsakta Dusri Jagah Mile Toh Padle warna 4 Rakat Chasht Pade.
(Durre Mukhtar)
3-5-7 KHAJURE KHANA
EIDGAH PAIDAL
& JALDI JANA
DUSRE RASTE SE WAPAS AANA
SADQA WA KHAIRAT KARNA
MUBARAKBAD DENA
(DURR-E-MUKHTAR JILD-1,SAFA-256)
KHUSHI ka takaza AGAAZ de Raha Hai
Wo EID ka CHAND awaaz de Raha Hai
MUBARAK ho apko EID ki khushiya
Ye DIL apko sabse pehle MUBARAKBAD de Raha Hai
Chand Dekhne Ki Dua:
Allahumma Ahillahu Alayna Bil Amni Wal Imaani Wassalaamati Wal Islami Wattaufiki Lima Tuhibbu Wa Tarda Rabbana Wa Rabbukallah.
Tarjuma:
Ae Allah! Is Chand Ko Barkat Ke sath Aur Iman Aur Salamaati Aur Islam Aur Us Cheez Ki Taufik Ke sath Nikaal Jisse Tu Raazi Hota Hy Aur Pasand Farmata Hy.Aamin! Ae Pehli Raat Ke Chand Mera Aur Tera Rab Allah Hai.
Eid Ke Din Ki Musthab Sunnate:
1. Hazamat Banwana
2. Nakhun Tarashwana
3. Gusal Karna
4. Miswak Karna
5. Achhe Aur Naye Kapde Pehenna
6. Khushbu Lagana
7. Anguthi Pehenna
8. Namaze Fazar Masjid Me Padhna
9. Eid ki Namazse Pehle Khazoor kha lena
10. Eidgah me Namaz Padhna
11. Eidgah Paidal Jana
12. Ek Raste se jana Aur dusre Raste se Wapas aana
13. Eid ki Namaz se Pehle Sadqa-E-Fitr Ada karna
14. Mubarakbad Dena
15. Musafa Karna
(Bahare Shariat)
KHUSHI KE ASL HAQ-DAAR:
Neko logo Ko Ramzan Ki Judai Tadpaati Hai,
JabKi Jinka Roza Namaz Se Koi T’alluQ Nahi
Woh Eid Ke Muntazir Rehte Hai!
Mai Faqat Khaak Hoon Magar Naam-E-MOHAMMED Se Hai Nisbat Meri
Yeh Ek Rishta Hai
Jo Meri Auqat Badal Deta Hai
Gulam-E-Mustafa:
Nazarahmed Khan