Biwi Se Sohbat Humbistari Ke Adaab
Yaha Aur Hamare Nikah Ke Page Aur Digar Posts Me Nikah Ke Masail Ba Hawala Bayan Kiye Gaye Hai. Inka Maqsad Awaam Ko Islami Tariqe Sikhana Aur Unki Islah Karna Itna Hi Hai. Agar Aapko Koi Bhi Sawalat Hai To Comment Kare Ya Hume Chat Plugin Ke Zariye Email Kare. Is Website Ka Adabo Ahtaram Kare Yaha Par Koi Bhi Gande Comments Na Kare. Masle Masail Bhi Adab Ke Dayre Me Reh Kar Hi Poochha Kare. Hume Rozana Bohot Sare Emails Aate Hai Isliye Jawab Me Agar Deri Ho Jaye To Mazhrat Chahta Hu. In sha ALLAH Aapke Masail Par Jawabat Diye Jayenge. Hamare Web Ko Khoob Share Kijiye Taki Logo Ki Islah Ho Aur Wo Sahi Deeni Tariqe Par Amal Kare Aur In sha ALLAH Iska Sawab Aapko Aur Hume Hasil Ho. Apni Duao Me Muz Nachiz Ko Bhi Yad Rakhe.
Mas’ala:
Shari’at Me Aurat Se Sohbat ki koi Had Muqarrar Nahi
Magar Itna Ho ki Aurat ki Nazar Auron ki Taraf Na Uthe.
(Qanoon-E-Shariat)
Hakimo Ne Kaha Hai
Sohbat ke Faoran Baad Pani Na Piye
Isse Dama (Saa’ns) Ki Bimari Hone ka Khatra Hai
Tum Me Koi Apni Biwi Ke Paas Jakar Dubara Sohbat Ke Liye Jana Chahe To Use Chahiye Ke Wuzu Karle. Agar Sohbat Rat Ke Waqt Kar Rahe Hai To Sohbat Ke Bad Miya Biwi Dono Ba Wuzoo Soye. Aur Subah Jitna Jaldi Ho Sake Ghusl-E-Janabat Se Farig Ho. Namaze Qaza Hone Ke Sabab Gunah Bante Hai. Aur Jis Gharme Junoob Yani Napak Hote Hai Waha Rehmat Ke Farishte Dakhil Nahi Hote. Is Bat Ka Khas Khayal Rakha Jaye.
Raawi:
Hazrat Abu’sayid khudri Raziallahuanhu
Mubashirat ke waqt Mard Apni Bibi ke Siwa kisi 2sri Aurat ka Khayal Laye Toh Shakht Gunah He
Aur Ek Tarah Ka Chhoti Kism Ka ZINA He
(GAOS-E-AAZAM)
Mas’ala:
Mubashirat (Sohbat) Ke Daoran Baat Karna Maq’ruh Hai
Balki Bacche Ke ‘GUNGE’ Ya Totle Hone Ka Khatra Hai.
Mas’ala:
Mard Ne Aurat ki Chhati Chusi Aur DUDH Halak Me Utar Gaya Tab Bhi Nikah Na Tuta Lekin
Jaan-Bujh Ke Halak Me Lena Jaa’iz Nahi.
(DURRE MUKHTAR)
Mas’ala:
Sohbat Ke Waqt Mard Apni Aurat Ke Pistan (Chhati) Muh Me Le Sakta He.
Ha Agar Aurat DUDH Wali Ho Toh Chusna Nahi Chahiye
You Might Also Like:
DAORANE Shohbat Aurat ki Sarmgaah Dekhne Se (nisyan) Bhulne ki Bimari Paida Hoti He.
Tum Me Se Koi Apni Bivi Se Sohbat Kare Toh Uski Farz (sharmgah) Ko Na Dekhe, Isse Aankho ki Roshni Khatm Ho Jaati He.
[MIMAMAZAM]
(QANOON-E-SHARI’AT)
AAKHRI INFO ADD KIYA AAPNE
BHAI
MOHSINKHAN
Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatohu
inshallah jald hi aur information bheji jayegi
Humare website pe daily visit kare
@admin
As salamualikum w. W.
Jee yaha kuch log had se badh kar behayai comment kar rahe he in jahilo ko malum nahi ki yaha islam ke qanun wa shriat ki baat ho rahi he,,
Aap ho sake to cpmment remove kar de
subhaan allah allah aap ko jaza e khair ata farmae
kya.. biwi ke sharmgah ko or Mard ke pain ko muu main lena jaiz hain… sohbat ke wakt… is ,ain roshni daalye plz…
kya biwi se sohbat karne ka koi tareeka hai ya har tareeke se kar sakte ho..yani kare hokar.. bait kar e.t.c
Nasir Baloch tmhre sawal e galt hain kya tm muslim nhi agr ho to
Quraan shareef khol kar dakho tm ko tmhre insaan hone ka ehsaas ho jae ga …i bat smj main agr na i to phr puch lena
salam, agar biwi hamla he to hamal mein biwi k pas jana jayez he? agar hey to hamal kkitni mudat tak ?
allah aap ko taufeeq de khaas kar jaahilyat se nachne se
Bahot Bahot Shukriya Bhai!!!!
Insha ALLAH aapke sawal ka jawab mila to bhejunga.
Talib-E-Dua
JazakALLAH Khair bhai
Talib-E-Dua
Keep visiting…:-)
Kya ye hawale jo aap de rahe hain ye ahle sunnat ki kitaon se hai…q k mai doosre maslak ki kitabon ka aitbar nahi karta aaj kal bahot sari rivayaten gadhi hui milti hain…matlab khud se bana kar bheji jati hain..jiska kahin bhi zikr nahi hota
Janab aapko Maslake Aalahazrat Ki Kitabo Ke Nam Shayad Pata Nahi Hai.
Aap Upar Likhi Kitabe Padhe khud hi samajh jayenge
JazakALLAHU Khair
Aur Jankari Ke Liye Nikah Page Par Visit Kare
JazakALLAHU Khair
Nazar bhai ap bht a6a kaam kr rhe hain….sach me hme in bato ka ilm nhi tha…..hum bistari ko lekr hum youngstrs me bht jahilana maghribi mulko ki knowledge bhari pdi hai……insha allah ye sb bate amal me laenge……allah zina se hifazat kre
Hambistari ke baad gusul ke waqt kuch dua padhni chahiye…
JazakALLAHU Khair Tariq bhai..
Aap visit karte rahe aur doosro ko bhi site ke bare me bata kar sawb hasil kare.
Yaha maine Nikah Namse alag page banaya hai
Jaha Nikah se talluk sare ma'ale maujood hai.
Talib-E-Dua.
Nazarahmed Khan Qadri Razvi
Ji nahi bhai gusl karne se pehle niyat karle.
Niyat hi kafi hai.
Koi dua gusl me nahi padhi jati.
Jesa ki aapne farmaya k aurat ki sharmgah dekhna jaeez nahi..to sohbat k wakht jab biwi apne kapde nikalegi to wo to zahiri taur par ham dekh hi sakte he.. To is halat me kya karna chahiye.. Zara is par please roshni daliye..
Hamare Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnat Hai Ke Daurane Sohbat Aapne Apni Biwi Ki Sharmgah na dekhi.
Aurat ki sharmgah dekhna koi gunah nahi hai.
Mene yaha sunnate nabi ka zikr kiya.
Me niche bahawala hadees bhej raha hu.
Aap apne biwi ki Sharmgah dekh sakte hai.
Magar sunnate nabi pe amal karna mustahab hai
Ummul Momineen Hazrate Aayeha Siddiqa Radiallahu Ta'ala Anha Farmati Hai.
RasoolALLAH Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Wafaat Ho Gayi Lekin NA Kabhi Aapne Mera Satr (Sharmgah) Dekha Aur Na Maine Aapka Satr (Sharmgah) Dekha.
(Ibne Majah Jild 1, Bab No 616, Hadees No 1991, Safa 538)
Aap Tamam Visitors Se Guzarish Hai Ke Hamare Blog Ke Nikah Page Par Visit Kare.
Yaha Har Masle Bayan Kiye Hai.
Jazakallahu Khair.
Bhai mera sawal ek sawal he ki jis ladki se nikah hone wala he or usse nikah ke pehle mill liye ho to kya ye sahi he ya galat
Shariat Ke Dayre Me Reh Kar Aap Ladki Se Mil Sakte Hai.
Nikah Ke Talluk Se Sare Masle Jane Hamare Nikah Page Par
JazakALLAHU Khair
MASHAALLAH
Nazar bhai kahi ap ko nazar na lag jay ALLAH ap ko or hidayat de ham logo ko sikhane ki
nazar bhai mera sawal hai
ki period ke kitne din bad sohobat kani chahiye plz reply
Aameen
Period Me Khoon Aana Band Ho Jaye To Aurat Gusle Janabat Kare Tab Tak Sohbat Jaiz Nahi Hai.
Haalate Haiz Yani Period Me Sohbat Haram Hai.
Aurat Ko Jab Haiz Ka Khoon Aana Ruk Jaye To Use Gusl Karna Farz Hai.
Gusl Karne Ke Baad Aap Sohbat Kar Sakte Hai..
Hambistri karne ke bad turant nahna chahiye ke fir subah uth kar nahwe to chale
Hambistari Karne Ke Bad Ratme Ba Wazoo Soye Aur Subah Jaldi Gusl Karle.
Jyada Der Napaki Me Na Rahe Kyunki Hadeese Pak Me Hai Ke Jis Ghar Me Junoob Yani Napak Aadmi Ho Us Ghar Me Fatishte Nahi Aate
assalamualaikum
bhai agar nikah ki raat biwi sohbat karne ke raazi na ho wo kuch waqt(din) baad sohbat karna chahe toh kya nikhan qubool hojaye ga
Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu
Miya biwi ka us raat tanhai me ek kamre me rehna kaafi hai. Usi raat sohbat karma farz hai aur na ki to nikah na hua aisa baaz logo ne man ghadat banai baat hai. Jab aap dono raazi ho tab sohbat kar sakte hai. Nikah qubool ho jayega. Aapki tamaam zindagi me apni biwi se kamse kam ek martaba sohbat karna jaroori hai.
ALLAH Ta'ala Quran-E-Kareem Me Farmata Hai,
"Tumhari Aurate tumhare liye
khetiya he. To aao apni khetiyo me jis tarah
chaho. Aur apne bhale ka kam pehle
karo."
(Kanzul iman Para 2,Surah
Bakar,Aayat 223)
Aap hamare "Nikah" page ko visit kare. Bohot ilm hasil hoga. Nikah se jude tamaam masle masail waha maujood hai.
JazakALLAHU Khair.
Assalamu alay kum
Kya pichhe sohbat ki ho to nikah toot jata he
Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu
Pakhane Ke Muqam Se Sohbat Karna Sakht Haram Hai.Peechhey se yaAni pakhaney ke maqam me soHbat sakht najaiz o Haram hai. Lekin isse nikaH nahi toota. Haan agar usko Halal o Jaiz jana to nikaH kya Imaan bhi gaya
(Maulana Hazrat Masood Noori Razvi Sahab Qibla)
Hazrat Abizar Radiallahu Anhu Se
Riwayat Hai Ke
Rasoolallah Sallallaho Alaihi
Wasallam Ne Irshad Farmaya
" Pakhane Ke Muqaam Me Aurat
Se Sohbat Karna Haraam Hai"
(Munsade Imaame Aazam Safa
223)
Ek Aur Hadees Hai Ki Momeen
Rehtehue Koi Piche Ke Muqam
Se Sohbat Kar Nahi Sakta..
Ye Sakht Haraam Hai.
Ek Hadees Me Ise Kufr Ke
Barabar Bataya Gaya Hai..
ALLAH Hum Sabko Is Gunah Se
Bachaye Rakhe.
Aameen
Agar Aap Ye Gunah Kar Chuke Hai To Sachche Dilse Bargahe Khudawandi Quddus Me Tauba Kare. Aainda Hargiz Aisa Na Kare. ALLAH Ta'ala Bada Meherban Rehemwala Hai. ALLAH Aapko Nek Taufiq De.
Aameen
(Awwal Aakhir Durood)
Assalamo Alaykum warahmatullahe wabarkatahu
Masha Allah bahot acchi tarbiyat de rhe ho bhai Allah aap ko kamiyabi ataa farmae
1 baat he k sohbat ki jo dua he ye har baar padhni chahiye jab bi sohbat kre…
Jazakallaho khaira
Assalamo Alaykum warahmatullahe wabarkatahu
Mashaallah bahot acchi tarbiyat de rhe ho bhai Allah aap ko kamiyabi ataa farmae
Mera sawal ye he ki out of contry se kam chutti aane par hamal rakhna bahot muskil hota he to iske liye koi bahetrin amal quran ir hadees ki roshni se ilm me izafa kre
Or aap k nikah blog. Kese milega.
Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu
Aameen Summa Aameen.
Ji filhal mere pas koi aisa amal nahi hai agar mila to jaroor post karunga. InshaALLAH.
JazakALLAHU Khair.
Visit Karte Rahe. Nikah Page Ki Link Post Ke Aakhir Me Hai. Us Link Ko Click Karne Par Aap Nikah Page Par Redirect Ho Jayenge.
Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu
Aameen Summa Aameen.
Ji filhal mere pas koi aisa amal nahi hai agar mila to jaroor post karunga. InshaALLAH.
JazakALLAHU Khair.
Visit Karte Rahe. Nikah Page Ki Link Post Ke Aakhir Me Hai. Us Link Ko Click Karne Par Aap Nikah Page Par Redirect Ho Jayenge.
Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu
Aameen Summa Aameen.
Saware Qaynat, Habeebe Khuda, Shafi-E-Mehshar, Rehmatallil Aalamin Hazrat Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Sohbat Ke Liye Ye Dua Irshad Farmayi
"Bismillah, Allahumma jannib nash
Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma
razaq tana"
Tarzuma:
"ALLAH ke naam se. Aye ALLAH door kar hamse shaitan mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us Aulad se jo tu hame ata karega"
"Jo shaks Is Dua Ko Sohbat Ke Waqt
Padhega (Dua Wahi Jo Upar Likhi Hai)
To ALLAH Us Padhnewale Ko Agar Aulad Ata Farmaye To Us Aulad Jo Shaitan Kabhi Bhi Nuksan Na Pahuncha
Sakega"
(Bukhari sharif Jild 3,Safa 85,
Tirmizi sharif,Jild 1,Safa 557)
Jab Aap Miya-Biwi Saath Mein Sone Ka Irada Karen To Usse Pahle Ye Dua Padh Lijiye. Yani Sohbat Karne Se Pehle Ye Dua Hamesha Padhe.
Insha ALLAH Is Dua Ki Barkat Se Aapki Aulad Shaitan Se Mehfooz Hogi.
Visit Karte Rahe.
JazakALLAHU Khair.
Mashaallah
Bahot accha kaam kr rhe ho bhai
Allah aap ki iska azar dega
Aameen.
JazakALLAHU Khair bhai.
Visit karte rahe aur apne dost, rishtedaro ko bhi site ke bare me bata kar khidmate deen me hissa le.
Assalamualikum
Wakekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu
Jazakallah khair bahut hi umda information shukriya Allah apko jazaye gair Dr ameen
Aameen.
Aapka Bohot Bohot Shukriya Feedback Ke Liye.
Hamare Blog Ke Bare Me Dusro Ko Bata Kar Un Tak Bhi Ilm Pohochaye Aur Khidmate Deen Me Hamara Sath De.
Assalam walaikum
Bahot bahot sukriya aap sab ka
Allah aap ki jahiri aur bateeni dua qubool kare ameen
Walelum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu
Aameen Ya Rabbul Aalameen
JazakALLAHU Khair Aapke Feedback Ke Liye.
Visit Karte Rahe Aur Dusro Ko Bhi Site Ke Bare Me Bata Kar Sawabe Darrain Hasil Kare.
Kya nazar ka ghusl humbistari k baad kar sakte hain? Ya phir Uske liye paak hona zaroori hai.
Assalamo alaikum bhaijaan
Mera shaadi hone wali hai..mere ek dost ne bataya ki ladki ke pure kapde nahi utaar sakte…sharmgaah nahi dekh sakte..aur sirf ek position (ladki ke kamar ke niche pillow rakh kar) me hi signature kar sakte hain . Kya ye baatein sahi hai ?
Assalamu Alaikum Janab Sidique Sahab
Aap Apna Sawal Mukammal Likhe. Insha ALLLAH Jawab Diya Jayega. Aapne Likha Sawal Samajh Nahi Aa Raha.
Visit Karte Rahe.
Dua Ki Guzarish.
Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Shahid Bhaijaan
Aapko Meri Tarafse Mubarakbad Ke Aapke Sar Sehra Bandhega. Nikah Aadha Deen Mukammal Karta Hai. ALLAH Aapko Tamaaam Khushiyo Se Nawaze.
Aameen
(Awwal Aakhir Durood)
Jaisa Ke Aapne Sawalat Kiye Hai Unke Jawabat Hazir Hai.
• Behrana Haalat Me Sohbat:
sohbat k time kya sohar biwi dono pure kapde nikal kar sohbat kar sakte hai?
-Haan. Tamam kapdey nikal kar sohbat Jaiz hai lekin Uper se koi chader odh lena chahiyye. Khulle me sohbat na kare.
(Hazrat Maulana Masood Noori Razvi Sahab Qibla)
• Daurane Sohbat Sharmgah Dekhna:
Hamare Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnat Hai Ke Daurane Sohbat Aapne Apni Biwi Ki Sharmgah na dekhi. Aurat ki sharmgah dekhna koi gunah nahi hai. Mene yaha sunnate nabi ka zikr kiya. Me niche bahawala hadees bhej raha hu. Aap apne biwi ki Sharmgah dekh sakte hai. Magar sunnate nabi pe amal karna mustahab hai.
Ummul Momineen Hazrate Aayeha Siddiqa Radiallahu Ta'ala Anha Farmati Hai.
RasoolALLAH Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Wafaat Ho Gayi Lekin NA Kabhi Aapne Mera Satr (Sharmgah) Dekha Aur Na Maine Aapka Satr (Sharmgah) Dekha.
(Ibne Majah Jild 1, Bab No 616, Hadees No 1991, Safa 538)
• Alag Alag Position Me Sohbat:
Ji ha aap alag alag positions me sohbat kar sakte hai. Pakhane ke muqam se sohbat karna sakht najaiz-o-haraam hai.
ALLAH Ta'ala Quran-E-Kareem Me Farmata Hai,
"Tumhari Aurate tumhare liye khetiya he. To aao apni khetiyo me jis tarah chaho. Aur apne bhale ka kam pehle karo."
(Kanzul iman Para 2,Surah Bakar,Aayat 223)
Apni duao ke chand alfaz is nachiz ke naam karna na bhoole. Nikah se talluq sabhi masle padhne ke liye hamare Nikah page par visit kare. Apne dosto, rishtedaro ko hamare weblog ke bare me bata kar khidmate deen me hamara sath de.
JazakALLAHU Khair.
Mtlab ye kam galat hai …..
Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Mere Pyare Islami Bhaiyo.
Yaha Aap Jo Bhi Sawal Puche Shariat Ke Dayre Me Rehkar Puche. Islamic Web Hai. Site Ka Adabo Ahtaram Kare. Koi Bhi Faaltu Sawalat Na Kare. Meherbani Hogi. Ye Site Ka Maqsad Sirf Logo Ko Sunnat Tariqe Se Islami Zindagi Basar Karna Sikhana Hai.
Nasir Bhai Aapka Pehla Sawal Hi Galat Hai. Isliye Aaj Tak Jawab Na Diya Gaya. Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sunnat Hai Ke Aapne Apni Pak Biwiyo Ki Sharmgah Ko Na Dekha. Ye Baat Hadeese Pak Se Sabit Hai. Jab Hadeese Pak Hume Sharmgah Ko Na Dekhne Ki Taleem De Rahi Ho To Koi Use Muh Me Leme Ki Gandi Soch Kaise Rakh Sakta Hai. Sharmgah Ka Na Dekhana Sunnat-E-Nabi Hai Aur Uspe Amal Karna Mustahab Hai. Jaha Se Gilazate Kharij Hoti Ho Use Koi Muh Me Lene Ki Kaise Soch Sakta Hai?
Ummul Momineen Hazrate Aayeha Siddiqa Radiallahu Ta'ala Anha Farmati Hai.
RasoolALLAH Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Wafaat Ho Gayi Lekin NA Kabhi Aapne Mera Satr (Sharmgah) Dekha Aur Na Maine Aapka Satr (Sharmgah) Dekha.
(Ibne Majah Jild 1, Bab No 616, Hadees No 1991, Safa 538)
• Alag Alag Position Me Sohbat:
Ji ha aap alag alag positions me sohbat kar sakte hai. Pakhane ke muqam se sohbat karna sakht najaiz-o-haraam hai.
ALLAH Ta'ala Quran-E-Kareem Me Farmata Hai,
"Tumhari Aurate tumhare liye khetiya he. To aao apni khetiyo me jis tarah chaho. Aur apne bhale ka kam pehle karo."
(Kanzul iman Para 2,Surah Bakar,Aayat 223)
Koi Shakhs Apne Biwi Ki Sharmgah Ko Dekhe To Ye Gunah Nahi. Magar Sunnat Ko Tarq Karne Ke Sabab Sawab Se Mehroom Rahega.
Apni Anmol Duao Ke Chand Alfaz Is Nachiz Gunahgar Ke Nam Karna Na Bhoole.
Visit Karte Rahe.
JazakALLAHU Khair.
Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu…. Biwi ki sharmgaah pe hath fer sakte
h kya
Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Muhammad Shafee Sahab,
Hadees-E-Pak Ke Tahat Apni Ahliya Ke Satar (Sharmgah) Ko Na Dekhna Sabit Hai. Sharmgah Par Hath Pherne Se Sukoon Milta Hai Isliye Isme Koi Harz Nahi. Magar Sharmgah Ko Choomna, Choosna Sakht Galiz Kaam Hai. Isse Parhej Kiya Jaye. Sharmgah Se Gilazate Kharij Hoti Hai. Kai Hakimo Ka Ye Bhi Kehna Hai Ke Sharmgah Ko Dekhne Se Bhoolne Ki Bimari Hoti Hai.
اسلام علیکم بھت خوب علم دی جارھی ھیں اللہ ھماری مسلم قوم کو حدایت عطا کریں آمین
*جزاك الله خيرا*
Aameen Summa Aameen.
Thank you for your feedback.
Keep Visiting & Sharing…
Remember me in your precious dua.
This comment has been removed by a blog administrator.
This comment has been removed by the author.
Assalamu alaikum,
Agar biwi ne sohar ki saramgah par hath phera ya soharne biwi ki saramgah par hath phera aur inzal hogaya dono mese kisiko bhi, to aisa hojana kesa he? Kya isme koi harj he?
Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
Jaisa Ke Aapne Pucha Hai Ke Shohar Aur Biwi Ek Dusre Ke Sharmgah Par Hath Pher Sakte Hai. Isme Koi Harz Nahi Hai. Ye Beshaq Jaiz Hai. Aur Nek Niyat Ke Sabab Mustahab Wa Sawab Hai.
(Fatwa-E-Razviya Jild 9, Safa 46)
JazakALLAHU Khair Aapke Comment Ke Liye. Visit Karte Rahe Aur Hamare Site Ko Dusro Ko Bhi Share Kare. Khidmate Deen Me Mera Sath De. Play Store Se Hamare Nabi Application Bhi Download Kare. Is Nachiz Ko Apni Anmol Duao Me Yaad Rakhe.
beshak
Sohbat ke bad gusl ka koi time hai to kitna hai agar ham or gusl ke bagair kuch khana pena jaiz hai
Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu
Sohbat Ke Bad Ghusl Ka Koi Khas Waqt Mukarrar Nahi. Hai Par Behtar Hai Ke Hum Jis Waqt Napak Ho Uske Agle Waqt Ki Namaz Se Pehle Paki Hasil Karle. Taki Namaz Qaza Na Ho Aur Gunah Se Bach Sake.
Aur Agar Rat Me Sohbat Ki Hai To Sunnat Yahi Hai Ke Miya-Biwi Dono Wuzoo Karke Soye Aur Subah Ghusl Karke Namaze Fazr Ada Kare.
Napak Yani Junoob Jis Ghar Me Hote Hai Wahan Farishte Dakhil Nahi Hote. Lihaza Paki Zaroori Hai. Jyada Waqt Barbad Na Kare Aur Ghusl Karle.
Napaki Ke Halat Me Kulli Karke Khane Me Koi Harz Nahi Hai.
JazakALLAHU Khair.
Visit Karte Rahen
Agar Biwi apne mayeke ga e hai aur shohar ki hajat shohbat ki ho kya kare
Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
Aapko Sabr Karna Lazmi Hai. Agar Fir Bhi Shahwat Ka Galba Rehta Ho To Din Ka Nafli Roza Rakhle. Roza Shahwat Ko Kam Karta Hai.
Beshaq. Zina (Extra Marital Physical Relationship) Sakht Haram Wa Jahannam Ka Rasta Hai. ALLAH Hum Sabko Xina Se Bachne Ki Nek Taufiq De.
Behtar Hai Ke Ho Sake To Apni Jauza Ko Jald Wapis Bula Len.