Hadees

ALLAH Se Pyara Koi Nam Nahi Hota

ALLAH Se Pyara Koi Naam Nahi Hota
Uski IBADAT Se Bada Koi Kaam Nahi Hota
Dunia Ki Mohabbat Me Hai Ruswaiya
Par Uski Mohabbat Me Koi Badnam Nahi Hota
SubhanALLAH

ALLAH Ke Naam Se Shuru Jo Nihayat Meherban Rehemwala “Tum Farmao Woh ALLAH Hai Woh Ek Hai. ALLAH Be Niyaz Hai. Na Uski Koi Aulaad Aur Na Woh Kisi Se Paida Hua. Aur Na Uske Jod Ka Koi.”
(Qur’an-E-Kareem, Para 30, Sure Ikhlas, Aayat 1-4, Tarzuma Kanzul Imaan)

“ALLAH Hai Jiske Siwa Koi Mabood Nahi. Wah Aap Aur Auro Ka Qaaim Rakhnewala. Aur Na Ungh Aaye Na Nind. Usika Hai Jo Kuch Aasmano Mein Hai Aur Jo Kuch Zameen Mein. Wah Kaun Hai Jo Uske Yaha Sifarish Kare Be Uske Huqm Ke. Jaanta Hai Jo Kuch Unke Aage Hai Aur Jo Kuch Unke Piche. Aur Wah Nahi Paate Uske Ilm Mein Se Magar Jitna Wah Chahe. Uski Kursi Mein Samaye Huve Hai Aasman Aur Zameen. Aur Use Bhaari Nahi Unki Nigehbaani Aur Wahi Hai Buland Badhaaiwala.”
(Sure Bakrah, Para 2, Aayat 255, Ruku 34 Tarzuma: Kanzul Imaan)

ALLAH Ke Naam Se Shuru Jo Nihayat Meherban Rehemwala
“Tum Farmao Woh ALLAH Hai Woh Ek Hai.
ALLAH Be Niyaz Hai.
Na Uski Koi Aulaad Aur Na Woh Kisi Se Paida Hua. Aur Na Uske Jod Ka Koi.”
(Qur’an-E-Kareem, Para 30, Sure Ikhlas, Aayat 1-4, Tarzuma Kanzul Imaan)

Beshaq ! Tamam Tarifain Us Rabbe Qaynat Ke Liye Jo Malik Hai Tamam Jahano Ka. Uska Koi Shariq Nahi Uske Siwa Koi Ibadat Ke Layak Nahi. ALLAH Rabbul Aalameen Noor Hai Jo Humesha Qayam Rahega. Jab Kuchh Bhi Nahi Tha Us Waqt Bhi Rab Ta’ala Ka Noor Tha. Isi Tarah ALLAH Ta’ala Ki Unginat Sifaat Hai. Unme Se Chuninda Ka Zikr Yaha Kiya Hai. ALLAH Ta’ala Ke Sifaat Ke Mutalliq Mukammal Ilm Hona Zaroori Hai.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!