Durood-O-SalaamHadees: Durud Sharif

Jo Mujh Par Darood Padhna Bhool Gaya

“Jiske Pass Mera Zikr Hua Aur Usne Mujhpe Durood Na Padha Usne Jannat Ka Rasta Chod Diya.”
(Imam Tabrani Al Majmual Kabeer, Volume : 03, Page : 128, Hadees : 2887)


Durood-E-Pak Ki Fazilato Par La’tadad Ahadees Mauzood Hai. Par Yaha Chuninda Ahadees Ka Zikr Hum Kar Rahe Hai. ALLAH Ta’ala Aur Uske Farishte Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Par Durood Aur Salam Bhejte Hai. Quran-E-Kareem Me ALLAH Irshad Farmata Hai,

“Beshak ALLAH Aur Uske Farishte Daroodo Salaam Bhejte Hai
Us Gaib Batanewale Nabi Par,
Aye Imaanwalo! Unpar Durood Aur Khoob Salam Bhejo”
(Al Quran Surah Al Ahzaab, Para 22, Ayat 56, Ruku 7, Tarzuma Kanzul Imaan)

Hazrat Ali ibn Abu Talib Radiallahu Amhu Se Rivayat Hai Ke Shafi-E-Mehshar Imaamul Ambiya Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
”Bakhil Hai Wo Shaks Jiske Saamne Mera Zikr Hua Aur Usne Mujhpe Durood Na Padha”
(Jamai Tirmizi, Volume : 05, Page : 551, Kitab No 48 – Kitab-ut-Duwaat, Hadees : 3546)

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jo Shaks Kasrat Se Durood-E-Pak Padhehga Us Shaks  Ko Pul Sirat Par Ek Noor Milega Aur Jiskoh Woh Noor Miljaye Woh Ahle Jahannumi Na Hoga.
(Dalailul Khariat Page: 9, Aab-E-Kauther English Version Page: 40)

Jaha Zikre Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ho Waha Durood Aur Salam Lazmi Hai. Lihaza Hum Sunni Hazrat Apni Mehfilo Ko Durood Se Sajate Hai. Isliye Azan Se Pehle Akamat Se Pehle Dua Ke Awwalo Aakhir Durood-E-Pak Padhte Hai. Beshaq Durood-E-Pak Raza-E-Khudwandi Ka Sabab Hai.

ALLAH Ta’ala Khud Chahta Hai Ke Bande Uske Habeeb Sallallaho Alaihi Wasallam Par Durood-O-Salaam Padhe. Isliye ALLAH Ajwazal Ne Namaz Me Durood Aur Salam Dono Ko Lazim Kar Diya. Ab Jinko Aitraz Hai Hum Ahle Sunnat Ke Durood-O-Salaam Se Wo Bhi Padh Rahe Hai Durood-O-Salam Namaz Me. Agar Koi Na Padhe To Uski Namaz Hi Nahi Hogi. Kya Pata Chala In Sab Ahadeeso Se Ki Badnaseeb Wa Bakhil Hai Wo Shakhs Jiske Samme Mere Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Zikr Ho Aur Wo Durood Na Padhe. Ab Jo Aapko Durood Aur Salaam Se Rokte Hai Unka Hal Kya Hai Aap Khud Samazle.
ALLAH Hum Sabko Haq Par Qayam Rakhe.
Aameen.
Awwal Aakhir Durood.

Related Articles

2 Comments

  1. Greetings! This is my first comment here so I just wanted to give a quick shout
    out and tell you I genuinely enjoy reading through
    your posts. Can you suggest any other blogs/websites/forums that cover the same topics?

    Thanks a ton!

    Feel free to surf to my homepage bomba de calor

  2. What's up, this weekend is nice for me, for the reason that this time i am reading this impressive informative post here at my house.

    Also visit my blog post motogp 13 keygen

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!