Nikah

Haiz O Nifas Kise Kehte Hai

{tocify} $title={Table of Contents}

Haiz Kise Kehte Hai

Balig Aurat ke peshab ke raste se jo khoon aadat ke taur par nikalta he aur bimari ya bachcha paida hone ke wajahse na ho to use Haiz kehte hai

Istehaza Kise Kehte Hai

Agar yah khoon bimari se ho to istehaza he.

Nifas Kise Kehte Hai

Aur Bachcha paida hone ke bad ho to Nifas kehte he. Nifas ka jyada se jyada waqt 40 din-rat he.
Aurat ka Haiz wa Nifas se khali hona Roze ke liye shart he.
(Sunni Bahishti Zewar, Safa 188)

Haiz wa Nifas ki halat me Roza rakhna, Namaz Padhna Haram he. Balki Jo namaze maf he unki kaza bhi lazim nahi.
Ha rozo ki kaza aur dino me rakhna Farz he.
(Durre Mukhtar, Aalamgiri, Sunni Bahishti Zewar)


Roze ki halat me Haiz ya Nifas shuru ho gaya to wah roza jata raha. Uski kaza rakhe Farz tha to kaza Farz he.
Aur Nafil tha to kaza Wazib.
(Fatwae Aalamgiri)

Aurat ko khas tarikh par Haiz aata tha aur Aaj Haiz aane ka din tha aur usne yah soch kar ki aaj Haiz aayega chah kar roza tod diya aur Haiz na aaya to kaffara maf ho gaya.
(Durre Mukhtar)


Haiz wa Nifas wali Aurat Subah sadiq ke bad pak ho gayi agarche Jahvae Kubra (Dopahar se) pehle pehle hui aur Roza ki niyat kar li to yah roza na hua.
(Durre Mukhtar)


Aurat ko Mard ne Humbistari par mazboor kiya fir Hambistari ke bich me apni khushi se mashgul rahi to kaffara lazim nahi ki Roza to pehle hi toot chuka he.
(Sunni Bahishti Zewar,Safa 188, Jauhra)

Haiz wa Nifas wali Aurat Pak ho gayi to jo kuch din baki reh gaya he use Roze ki tarah guzarna Wazib he aur uski kaza farz he.
(Durre Mukhtar,Sunni Bahishti Zewar)


Aurat Haiz se pure 10 din 10 rat me farig hui to baharhal agle din ka roza rakhe. Aur kam me pak hui to agar subah hone ko itna waqt he ki naha kar thoda sa waqt bachega to bhi Roza rakhe. Agar Gusla na kiya ho aur agar naha kar farig hone ke waqt subah chamki to Roza nahi.
(Fatwae Aalamgiri)

Haiz wa Nifas wali aurat ko ikhteyar he ki chup kar khaye ya jahir me Rozdar ki tarah rehna us par jaruri nahi magar chup kar khana behtar he. Khaskar Haiz wali aurat ke liye.
(Bahare Shariat,Sunni Bahishti Zewar, Safa 194)

Aurat ko yah jaiz nahi ke apne Haiz Shohar se chupaye aur kahi wah anjane me sohbat na kare. Jaisa ki yah jaiz nahi ki wah khudko haiz wali jahir kare halaqi wah haiz wali nahi.
(Marakilfalaah,Sunni Bahishti Zewar)

Balig Aurat ke aage ke makam se jo khoon aadi taur par nikalta he aur wo bimari ya bachcha paida hone ki wajahse na ho use Haiz kehte he.
Bachcha hone ke bad ho to Nifas kehte hai

(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 61)

Nifas yani wah khoon jo bachcha janne ke bad aata he.
Iski kami ki janib koi muddat mukarrar nahi.
Aadhe se jyada bachcha nikalne ke bad 1 aan bhi khun aaya to wah nifas he aur jyada se jyada nifas ka zamana 40 din-rat he.

(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 63)
Haiz wa Nifas ki halat me Namaz padhna Roza rakhna Haram Hai
In dino me Namaze maf he inki kaza bhi nahi.
Rozo ki kaza rakhna farz Hai

(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 64)


Istehaza

Wah khoon jo Aurat ke aage ke makam se nikale aur Haiz wa Nifas ka na ho to ye istihaza he.

(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 65)
istehaza me na Namaz maf he Na roza maf hai.
Aisi aurat se Sohbat Haram he

(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 65)
“To Aurato se alag raho Haiz ke dino, aur unse najdiki na karo jab tak wo pak na hole.
Fir jub pak ho jaye to unke pas jao.”

(Kanzul iman Para 2,Surah Bakar,Aayat 222)
Haiz ki muddat kam se kam 3 din aur 3 rate he.
Yani 72 ghante he aur Jyada se jyada 10 din aur rate he.

(Bahare shariat Jild 1 Safa 42)
Haiz ki Halat me Aurat Se Sohbat Karna Haram Hai

(Tirmizi Jild 1 Safa 136,Bahare shariat)
10 din se kam me khoon aana band ho gaya to jub tak gusl na kare sohbat jaiz nahi

(Bahare shariat Jild 1,Safa 74)
Aurat ko jab haiz ka khoon aana band ho jaye to use Gusl karna farz he

(Kanoon-E-Shariat Jild 1,Safa 38)

Haiz Se Pak Hone Ka Taarika

Ummul Momineen Hazrat Aayesha Siddiqa Radiallahu Anha Se Riwayat Hai Ki
Ek Aurat Rasoolallah ﷺ Se Haiz Ke Ghusl Ke Bare Me Puchha.
Aap ﷺ Ne Use Bataya:
Yu Ghusl Kare.
Aur Fir Farmaya
Mushk (Kasturi) Se Basa Hua Rui (Cotton) Ka Faya Le Aur Usse Taharat Hasil Kar.

Wo Samaz Na Saki Aur Kaha
Kis Tarah Taharat Karu?
Huzoor ﷺ Ne Farmaya,
SubhanALLAH ! Isse Taharat Karo
Hazrate Bibi Aayesha Farmati Hai
Mene Us Aurat Ko Apni Taraf Khich Liya Aur Use Bataya Ki Use Khoon Ke Mukam Par Phere.

(Bukhari sharif Jild 1 Bab 215 Hadees 305 Safa 201)

Note
:
is Zamane Me Mushk Milna Mushkil Hai isliye Uski Jagah Thodasa Gulab Pani Ya itra Ka Faya Le Usse Sharmgah Ko Achchi Tarah Saaf Kare. Fir Ghusl kare.

Ghusl Ka Tariqa

Ghusl Ki Dilme Niyat Kare Sath Hi Zaban Se Kahe To Afzal Hai. Ab Dono Hath Gatto (Kalaai) Tak 3 Martaba Achchi Tarah Dhoye. Fir Sharmgah Aur Uske Aas Pas Ke Hisso Ko Dhoye Chahe Waha Gandagi Lagi Ho Ya Na Ho. Fir Badan Par Jaha Najasat Lagi Ho Use Door Kare. Fir Wazoo Kare Yani 3 Bar Kulli Kare Ki Paani Halaq Ke Aakhri Hisse, Danto Ki Khindo, Masudo Me Wagairah Bah Jaye. Koi Chiz Danto Me Ataki Ho To Use Nikale. Ab 3 Martaba Naak Me Istarah Paani Dale Ke Naak Ke Aakhri Hisse (Haddi) Tak Pani Pohoch Jaye. Ab 3 Martaba Chehre Ko Istarah Dhoye Ke Peshani Se Le Kar Thuddi Tak Aur Ek Kaan Se Dusre Kaan Ki Lav Tak. Fir 3 Martaba Kohniyo Samet Hatho Par Paani Bahaye Fir Sar Ka Masah Kare. Ab Agar Aap Kisi Unchi Chiz Yani Chauki Ya Patthar Par Naha Rahe Hai To Pair Dhoye Warna Na Dhoye.
Fir Badan Par Tel Ki Tarah Paani Chupde. Fir 3 Martaba Dahine Modhe(Kandhe) Par Paani Bahaye Fir Baaye Modhe Par 3 Bar Paani Bahaye Fir Sar Aur Tamaam Badan Par 3 Martaba Paani Bahaye Aur Badan Malte Jaaye. Istarah Ki Badan Ka Koi Hissa Sukha Na Rahe. Sar Ke Balo Ki Jado Me, Bagal Me, Shargah Ke Har Hisse Me Sab Jagah Paani Pohochna Jaruri Hai. Agar Ungli Me Angoothi Ho To Ghuma Kar Paani Pohochaye. Aurate Apne Kaan Ki Bali, Naak Ki Nathni Wagaira Ko Ghuma Kar Paani Pohochaye. Aurate Sar Ke Baal Khol Le To Behtar Hai Warna Ye Ehtiyat Jaruri Hai Ki Sar Ke Baal Aur Sar Ki Jado Tak Paani Jarur Pohoche. Ab Aapne Wazoo Me Pair Na Dhoye Ho To Dhole. Ghusl Karte Waqt Koi Kalaam Ya Dua Na Padhe Aur Kibla Rukh Na Ho. Ab Aap Islami Shariat Ke Mutabiq Paak Ho Gaye. Ab Aap Saboon Wagairah Jo Bhi Jaiz Chiz Lagana Ho Laga Sakte Hai. 
(Fatwa-E-Razviya Jild 2, Safa 18, Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 41)


Ghusl Ke Faraiz Sunnate Aur Mustahbat Ko Padhne Yaha Click Kare.


Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!