Faizan Wa Karamat-E-Auliya Hadees Ki Roshni Me Part 1
Read Next Part 2
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
Mere Pyare Sunni Islami Bhaiyo Aur Beheno, Alhumdulillah Ham Ahle Sunnat Wal Jama’at Yani Maslake Aalahazrat ALLAH Rabbul Aalameen Ke Mehboob Bande Yani Waliyo Se Dilse Nisbato Muhabbat Karte Hai. Unke Wasile Se ALLAH Rabbul Aalameen Ke Bargah Me Dua Karte Hai. Unki Nazro Niyaz Karte Hai. Magar Kuch Baatil Jama’at Ke Gumrah Log ALLAH Ke Wali Auliya Ki Shaane Aqdas Me Gustakhiya Karte Hai. Un Logo Ki Islah Ke Liye Is Post Ko Likha Gay Hai. Jisme Hadees-E-Pak Ke Hawale Se Auliya-E-Kiram Ki Fazilate Bayan Ki Gayi Hai.
Hadees No: 1
“Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radiyallahu Ta’ala Anhuma Sey Riwayat He Ke Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Sey Auliya ALLAH Key Baarey Mey Poochha Gaya To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya :
Woh Log (Auliya ALLAH Hain) Jinhey Deykhney Sey ALLAH Rabbul Aalameen Yaad Aa Jaaye.”
(Nasa’i As-Sunan-Ul-Kubra, Jild : 06 Safa : 362, Hadees : 11235,
Ibn Mubarak Kitab-Uz-Zuhad, Jild : 01 Safa : 72, Hadees : 217,
Maqdasi Al-Ahadith-Ul-Mukhtarah, Jild : 10 Safa : 108, Hadees : 105,
Hakeem Tirmidhi Nawadir-Ul-Usul, Jild : 02 Safa : 39,
Haythami Majma-Uz-Zawa’id, Jild : 10 Safa : 78.)
Hadees No: 2
“Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu Ta’ala Anhu Riwayat Kartey Hain Ke Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya :
Jab ALLAH Ta’ala Kisi Bandey Sey Muhabbat Karta Hey To Hazrat Jibra’il Alaihissalam Ko Aawaaz Deyta Hey Ke ALLAH Ta’ala Fula’n Bandey Sey Muhabbat Rakhta Hey, Lihaaza Tum Bhi Us Sey Muhabbat Karo Phir Hazrat Jibra’il Alaihissalam Us Sey Muhabbat Karta Hain.
Phir Hazrat Jibra’il Alaihissalam Aasmaani Makhlooq Mey Nida (Aawaaz) Deytey Hain Ke ALLAH Ta’ala Fula’n Bandey Sey Muhabbat Karta Hey.
Lihaaza Tum Bhi Us Sey Muhabbat Karo.
Pas Aasmaan Waaley Bhi Us Sey Muhabbat Karney Lagtey Hey.
Phir Zameen Waalon (Key Dilon) Mey Us Ki Maqbooliyat Rakh Dee Jaati Hey.”
(Bukhari As-Shahih, Jild : 03 Safa : 1175, Hadees : 3037, &
Jild 05 Safa: 2246, Hadees : 5693, &Jild : 06 Safa : 2721, Hadees : 7047,
Muslim As-Shahih, Jild 04 Safa : 2030, Hadees : 2637,
Malik Al-Muwatta, Jild 02 Safa : 953, Hadees : 1710.)
Hadees No: 3
“Hazrat Umar Bin Khattab Radiyallahu Ta’ala Anhu Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya :
Beshak ALLAH Ta’ala Ke Kuchh Aisey Barguzeeda Bandey Hain Jo Na Ambiya Kiram Hain Na Shohada, Qayamat Key Din Ambiya Kiram Alaihimussalam Aur Shohada Inhey ALLAH Ta’ala Ki Taraf Sey Ata Kardah Maqaam Deykh Kar Un Par Rashk Karey Gey.
Sahaba-E-Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ney Arz Kiya :
Ya Rasoolallah ﷺ!
Aap Hamey Un Key Baarey Mey Bataaye Ke Woh Kaun Hain?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya :
Woh Aisey Log Hain Jin Ko Aik Doosarey Sey Muhabbat Sirf ALLAH Ta’ala Ki Khaatir Hoti Hey Na Ke Rishteydaari Aur Maali Leyn-Deyn Ki Wazah Sey.
ALLAH Ta’ala Ki Qasam!
Un Key Chehrey Noor Ho’n Gey Aur Woh Noor (Key Mimbaron) Par Ho’n Gey, Unhey Koi Khauf Nahin Hoga, Jab Log Khauf Zada Ho’n Gey Unhey Koi Gam Nahin Hoga, Jab Log Ghamzada Ho’n Gey.
Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Yeh Aayat Tilaawat Farmayi,
˝Sunlo Beshak ALLAH Ke Waliyo Per Na Kuch Khauf Hai Na Kuch Gum.”
” Pay heed! Indeed upon the friends of Allah is neither any fear, nor any grief. (The friends of Allah are the best in the creation.)”
(Sure Yunus, Para 10, Aayat 62)
(Abu Dawood As-Sunan, Jild : 03 Safa : 288, Hadees : 3527,
Nasa’i As-Sunan-Ul-Kubra, Jild : 06 Safa : 362, Hadees : 11236,
Bayhaqi Shuab-Ul-Iman, Jild : 06 Safa : 486, Hadees : 8998.)
Hadees No: 4
“Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu Ta’ala Anhu Riwayat Kartey Hain Ke Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya :
ALLAH Ta’ala Key Kuchh Bandey Aisey Hain Jo Ambiya Nahin Lekin Ambiya-E-Kiram Aur Shohada Bhi Us Par Rashk Karey Gey.
Arz Kiya Gaya :
(Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam) Woh Kaun Log Hain? (Hamey Un Ki Sifaat Bata’iye) Taake Hum Bhi Un Sey Muhabbat Karey.
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya :
Woh Aisey Bandey Hain Jo Aapas Me Baghair Kisi Qaraabatdari Aur Waastey Key Mahaz ALLAH Ta’ala Ki Khaatir Muhabbat Kartey Hain Un Key Chehrey Poornoor Ho’n Gey Aur Woh Noor Key Mimbaron Par Jalwa Afroz Ho’n Gey. Unhey Koi Khauf Nahin Hoga, Jab Log Khauf Zada Ho’n Gey Aur Unhey Koi Gham Na Hoga Jab Log Ghamzada Ho’n Gey.
Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Yeh Aayat Tilaawat Farmayi,
“Sunlo Beshak ALLAH Ke Waliyo Per Na Kuch Khauf Hai Na Kuch Gum.”
(Sure Yunus, Para 10, Aayat 62)
(Ibn Hibban As-Shahih, Jild : 02 Safa : 332, Hadees : 573,
Abu Ya’la Al-Musnad, Jild : 10 Safa : 495, Hadees : 6110,
Bayhaqi Shuab-Ul-Iman, Jild : 06 Safa : 485, Hadees : 8997, 8999,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Jild : 04 Safa : 12, Hadees : 4580.)
Hadees No: 5
“Hazrat Asma Binte Yazeed Radiyallahu Ta’ala Anha Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Farmatey Suna Ke Kya Mein Tumhey Tum Mey Sey Sab Sey Behtar Logon Key Baarey Mey Khabar Na Doo’n, Sahaba Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ney Arz Kiya :
Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Kyun Nahin?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya :
Tum Mey Sey Behtar Log Woh Hain Jab Unhey Deykha Jaaye To ALLAH Yaad Aa Jaaye.”
(Ibn Majah As-Sunan, 02 Safa : 1379, Hadees : 4119,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 06 Safa : 459, Hadees : 27640,
Bukhari Al-Adab-Ul-Mufrad Safa : 119, Hadees : 323,
Tabarani Al-Mu’jam-Ul-Kabir, 24 Safa : 167, Hadees : 423.)
Hadees No: 6
“Hazrat Amr Bin Hamiq Radiyallahu Ta’ala Anhu Riwayat Kartey Hain Ke Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya :
Banda Us Waqt Tak Iman Ki Haqeeqat Ko Nahin Paa Sakta Jab Tak Ke Woh ALLAH Ta’ala Key Liye Hee (Kisi Sey) Naaraaz Aur ALLAH Ta’ala Key Liye Hee (Kisi Sey) Raazi Na Ho (Ya’ni Us Ki Raza Ka Markazo Mehwar Sirf Zaatey Elaahi Ho) Aur Jab Us Ney Yeh Kaam Kar Liya To Us Ney Iman Ki Haqeeqat Ko Paa Liya Aur Beshak Merey Ahbaab Aur Auliya Woh Log Hain Ke Merey Zikr Sey Un Ki Yaad Aa Jaati Hey Aur Un Key Zikr Sey Meri Yaad Aa Jaati Hey (Ya’ni Meyra Zikr Un Ka Zikr Hey Aur Un Ka Zikr Meyra Zikr Hey).”
(Tabarani Al-Mu’jam-Ul-Awsat, Jild : 01 Safa : 203, Hadees : 651,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Jild : 03 Safa : 430, Hadees : 15634,
Ibn Abi Duniya Kitab-Ul-Auliya Safa : 15, Hadees : 19,
Ibn Rajab Jami’-Ul-Uloom Wal-Hikam, 01 Safa : 365,
Daylami Musnad-Ul-Firdaws, Jild : 05 Safa : 152, Hadees : 7789,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Jild : 04 Safa : 14, Hadees : 4589,
Haythami Majma-Uz-Zawa’id, Jild : 01 Safa : 58.)
Hadees No: 7
Hazrat Abdullah Bin Abbas Radiyallahu Ta’ala Anhuma Sey Riwayat Hain Ke Arz Kiya Gaya :
Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Hamarey Behtareen Humnasheen Kaun Log Hain?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya :
Aisa Humnasheen Jis Ka Deykhna Tumhey ALLAH Ta’ala Ki Yaad Dilaaye Aur Jis Ki Guftagoo Tumharey Ilm Mey Izaafa Karey Aur Jis Ka Amal Tumhey Aakhirat Ki Yaad Dilaaye.”
(Abu Ya’la Al-Musnad, Jild : 04 Safa : 326, Hadees : 2437,
Abd Bin Humayd Al-Musnad, Jild : 01 Safa : 213, Hadees : 631,
Abu Nu’aym Hilyat-Ul-Auliya, Jild : 07 Safa : 46,
Ibn Mubarak Az-Zuhad,Jild : 01 Safa : 121, Hadees : 355,
Ibn Abi Duniya Kitab-Ul-Auliya Safa : 17, Hadees : 25,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Jild : 01 Safa : 63, Hadees : 163,
Hindi Kanz-Ul-Ummal, Jild : 09 Safa : 28, 37, Hadees : 24764, 24820,
Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif,Jild : 02 Safa : 39, Hadees : 994,
Zurqani As-Sharh,Jild : 04 Safa : 553,
Manawi Fayd-Ul-Qadir, Jild : 03 Safa : 467.)
Hadees No: 8
Hazrat Abdullah Ibn Masood Radiallataala Anhu Se Riwayat Hai ALLAH Kay Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Kay 40 Meri Ummat Me Woh Log Hai Jinke Dil Hazrat Ibrahim Kay Qalb Kay Niche Hai Aur Farmaya Jaante Ho Inki Shaan Kya Hai Kay ALLAH Taala Inke Tufail Tumse Azaabo Ko Door Kardeta Hai Aur Jaanlo Unhe Jo Kaha Jaati Hai Woh Abdaal Hai.
(Imam Ibn Nuyem Hilyatul Auliya
Imam Tabrani Majame Kabir Jils 10 Hadees 1039 Safa 181.)
Hadees No: 9
Hazrat Shuri Ibn Ubaid Ne Kaha Hazrat Ali Kay Saamne Mulke Sham Ka Zikr Kiya Gaya Aur Kehne Wale Ne Kaha Ameerul Momineen Aap Mulk E Sham Per Laanat Kijiye ,Hazrat Ali Ne Kaha Me Waha Kay Liye Baddua Nahi Karuga , Kyu , Isliye Ki Mene Mulk E Sham Kay Bare Me Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Se Suna Ki Waha Per Abdaal Raha Karte Hai Aur Unki Taadad 40 Hai Un Mese Kisi Ek Ka Bhi Inteqal Hota Hai Toh ALLAH Taala Uski Jagah Dusra Wali Bana Deta Hai Aur Jaante Ho Unka Makaam Kya Hai, Unke Sadke Me Tum Per Baarish Farmata Hai Aur Unhi Ki Wajah Se Tum Dushmano Per Fatah Paate Ho Aur Ahle Shaam Kay Abdaalo Kay Sabab Se Tumhare Azaabo Ko Taal Diya Jaata Hai.
(Mishkat Shareef Jild 2 Hadees 6015
Musnad Ahmed Jild 1 Safa 122
Imam Tabrani Ne Majame Kabir Jild Safa 63)
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
جزاك الله خيرا…
Keep Visiting & Sharing:
www.hamarenabi.in
• World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat.
• Best Place To Learn Real Islam In The Light Of Quran Wa Hadees.
• Authentic References/Hawala/Daleel/Proofs From Top Islamic Books.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم
صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring… Stay Connected…
Please Don’t Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
Download Our Free Android Application. Search “Hamare Nabi” On Play Store.
https://play.google.com/store/apps/details?id=aarifwaghoo.hamare.nabi.AOVYGBIUCAFEGOE
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~