Aqaid-E-Ahle SunnatHadees-E-NabwiImaanRamzanSihah Sitta Hadith

Fazilat E Sayyeda Bibi Fatima Zahra



Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
Aaj 3rd Ramzan Shehzadi-E-Rasool, Khatoone Jannat Sayyeda Bibi Fatima Zahra Radiallahu Anha Ke Yaume Wisal Ka Deen Hai. Aapka Mazare Pak Jannatul Baqi, Madina Munawwarah Me Hai. Aaj Ke Din Apne Gharo Me Fatiha/Niyaz Kar Aapki Bargah Me Khiraje Aqeedat Pesh Kare Aur Sawab Hasil Kare. ALLAH Hume Apne Pyare Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Khandane Ahle Bait Ka Sadqa Ataa Farmaye.
Aameen. (Awwal Aakhir Durood)
Is Post Me Bibi Fatima Zahra Radiallahu Anha Ki Fazilat Wa Martaba Wa Shaane Shahzadi-E-Rasool Ko Quran Wa Hadees Se Bayan Kiya Gaya Hai. Is Post Ko Khoob Share Kare Aur Sawabe Darrain Hasil Kare.

Sayyidah, Zaahirah, Tayyibah, Taahirah,
Jaan-E-Ahmed Ki Rahat Pe Lakho Salam
(Mujaddide Deeno Millat Imam-E-Ahle Sunnat Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Rehmatullah Alaihi)




Hazrat Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha binte Rasool ALLAH ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭ ﺁﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ka Naame Girami, Alkabat Aur Tasmiya
Hadees :


Nabi-E-Karim Rauf-O-Raheem Rehmatallil Aalameen ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭ ﺁﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya
“Maine Apni Beti Ka Naam Fatima Isliye Rakha Hai Ki ALLAH Taa’la Ne Isko Aur Iske Chahnewaalo Ko Dozakh Se Aazad Kiya Hai”
(Imam Hussamul Hindi Al Kanjul Ummal, Vol : 12, pg : 50, Kitabul Fazail, Hadees : 34222)
(Imam Daylami As Musnad ul Firdaus Bi Mathur Al Khitab Volume​ : 01, Pg : 346, Hadees : 1385)
(Imam Haytami Al-Sawa’iq al-Muhriqah Pg : 540)
(Imam Mullah Ali Qari Shara E Fiqh E Akbar Pg : 133)

Fazail E Maula Mushkil Kusha Ali Hadeese Pak Ki Roshni Me Yahan Padhe


Hazrat Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha Binte Rasool ALLAH ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭ ﺁﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki Parwarish Ka Bayan:


Hazrat Sayyeda Ka Bachpan Sharif Aur Zindagi Ka Har Lamha Nihayat Pakeeza Tha Aur Aisa Kyu Na Hota Jinke Walid Huzoor Rehmat-E-Aalam Aur Umool Momineen Walida Hazrat Sayyeda Khatijatul Kubra
Ki Aagosh Me Tarbiyat Me Bachpana Guzara Raat Din Bas Hazrat Sayyeda Umool Momineen Khatijatul Kubra Se Hamde Ilahi akwaale Rasool Hadeese Rasool Sunti Aur Wo Mukaddas Chizo Ka Mushahida Karti Jo Hamari Soch Se Upar Hai.
Jab Aapki Umr Mubarak 09 Saal Huwi Aapki Pyari Walida Umool Momineen Hazrat Khatijatul Kubra Ka Is Faani Duniya Se Apne Rabe Hakeeki Se Jaa Mili.
(Bahawala : Tarikh e Karbala Pg : 160)


Jannati Auraton Ki Sardaar Khatoon-E-Jannat Sayyeda Fatima Zahra Radiallahu Anha:


Ek Rivayat Me Jisme Hazrat Fatima Khatoone Jannat RadiAllaho Anha Ne Bayan Kiya Umool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha Se Wo Ye Hai. Hazrat Fatima RadiAllaho Anha Farmati Hai Jab Pehli Baar Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Sargoshi Ki To Mujhe Ye Khabar Di Ke Har Saar Jibrail Mujh Se Ek Baar Quran Paak Ka Daur Kiya Karte The Is Martaba Unhone 02 Baar Daur Kiya Hai, Ab Mera Ye Guman Hai Ki Mera Wakt Karib Aagaya Hai. Tum ALLAH Se Darna Aur Sabr Karna. Beshak Mai Tumhara Accha Peshwa Hoon. Khatoone Jannat Fatima Radiallahu Anha Ne Kaha :
“Ye Sun Kar Mai Rone Lagi Jab Nabi-E-Karim Sallallaho Alaihi Wassalam Ne Mujhe Girya Karte Dekha To Dobara.”
Mujhse Sargoshi Ki Aur Farmaya, 


Aye FATIMA ! Kya Tum Is Baat Se Raazi Nahi Ho Ke Tum Tamam Jannatiyo Ki Biwiyo Ki YA Tamam Momono Ki Biwiyo Ki Sardar Ho. Khatoon-E-Jannat Ne Farmaya Phir Mujhe Hasi Aa Gayi.



(Sahi Bukhari, Vol : 02, Pg : 920, Book No 61, Kitabul Manakib-E-Nabi Wa Ashabun Nabi, Baab : Alamat AlNabuwat Fil Islami, Hadees : 3623,3624)
(Khatib Bagdadi Al Mishkat Al Masabih, Vol : 02, Pg : 435, Kitabul Manakib, Baab : Manakib e Ahle Bait e Nabi, Hadees : 6138)


Hazrat Huzaifa bin Yaman Radiallahu Anhu Farmate Hai Maine Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Se Suna “Ek Farishta Hai Jo Is Raat Se Pehle Kabhi Is Dunya Me Nahi Utra Isne Apne Rab Ajwazal Se izazat Maangi Ke Mujhe Salam Kare Aur Mujhe Basharat De Ki Fatima Jannati Aurato Ki Sardar Hai Aur Hasan Wa Hussain Jannati Nawjawano Ke Sardar Hai.”
(Sunan Tirmizi, Kitab No 49 Kitabul Manakib Ana Rasool Allahi Sallallahu Alaihi Wasallam, Baab : Manakib-E-Hasan bin Ali ibn Abu Talib, Hadees : 4150)
(English Version Hadees : 3781)
Isi Tarah Ki Ek Aur Rivayat Kuch Alfazat Ke Changes Ke Saath Hazrat Abu Hurrairah Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Uska Hawala Niche Pesh Kar Raha Hu.
(Imam Bukhari ne apni kitab Tarikhul Kabir Vol :01, Pg :232, Hadees :728)
(Imam Haythami Al Majmaul Zawaid Vol : 09, Pg : 201)

Amir Bin Saad Bin Abi Waqqas Bayan Karte Hain Ki Jab Aayatey Mubaahila Naazil Huwi :

Farmado Aao Hum Bulaye Apne Bete Aur Tumhare Bete Aur Apni Aurato Aur Tumhari Aurato Aur Apni Jaane’in Aur Tumhari Jaane’in Phir Mubahila Kare To Jhuto Par ALLAH Ki Laanat Daale

(Surah Al Imraan, Ayat 61, Tarzuma: Kaznul Imaan)


To Huzoor Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Hazrat Ali, Hazrate Fatima, Hazrat Hasan Aur Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Ko Bulaaya Phir Farmaya : 
“Ya ALLAH! Yeh Mere Ahle Bait Hain.”
(Sahi Muslim, Vol : 06, Pg : 264, Kitabul Manakib E Sahaba, Baab : Man Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 6220 English No : 2404) (Jamai Tirmizi, Kitabut Tafseer, Hadees : 3269 English No : 2999) (Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, Hadees : 4090 English No : 3724) (Imam Ahmad ibn Hambal Al Musnad Vol : 01, Pg : 185, Hadees : 1608)

SARKAR E DO AALAM صلی اللہ تعالیٰ علیہ والہ وسلم NE HAZRET E SYEDA BATOOL AL ZAHRA رضی اللہ تعالٰی عنها SE IRSHAAD FARMAAYA:


TUMHARE GHAZAB SE GHAZAB E ILAHI HOTA HAI AUR TUMHARI RAZA SE ALLAH TA’ALA RAAZI HOTA HAI.
( مستدرک للحاکم، کتاب معرفتہ الصحابہ )


SARKAR E DO AALAM صلی اللہ تعالیٰ علیہ والہ وسلم NE IRSHAAD FARMAAYA:


*FATIMA* رضی اللہ تعالٰی عنها MERE JISM KA TUKDA HAI JO USE NAGAWAR, WOH MUJHE NA PASAND AUR JO USE PASAND WOH MUJHE PASAND HAI, *QAYAMAT KE DIN SIWAYE MERE NASAB, MERE SABAB AUR MERE AZDWAJI RISHTON KE TAMAM NASAB MUNQATAH (YA’NI KHATAM) HO JAYENGE.*
( مستدرک للحاکم، کتاب معرفتہ الصحابہ )

Aur ALLAH to Yehi Chahta Hai Aye Nabi Ke Ghar Waalo Ke Tumse Har Napaki Ko Khoob Dur Farmade Aur Tumhe Paak Karke Khoob Sutra Farma De.


(Surah Ahzaab Ayat 33, Tarzuma: Kanzul Imaan)


Play Store Se Hamare Nabi & Sunnat-E-Nabi Apps Jaroor Download Kijiye. Aapke Rating & Review Se Insha ALLAH Apps Doosro Tak Pohochege.


Nabi-E-Rehmat صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya
“Meri Beti Fatima Insaani Shakl Me Huro’n Ki Tarah Haiz Wa Nifaas Se Paak Hai”
(Imam Hussamul Hindi Al Kanjul Ummal,  Vol : 12, pg : 50, Kitabul Fazail, Baab : Ahle Bait E Nabi , Hadees : 34221)


Hazrat Anas Bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْ  Farmate Hai Maine Apni Walida Se Hazrat Fatima Radi Allaho Anho k Muttalik Maine Pucha to  Farmaya
“Sayyeda Chaudvi (14 Vi) Raat Ke Tarah Haseen O Jameel Thi”
(Imam Hakim Al Mustadrak, Kitab Al Marifatu Sahaba, Vol : 04, Pg :141, Hadees : 4813)


Umatul Momineen Sayyeda Ayesha Siddiqa Radi Allaho Anha Bayan Farmati Hai

“Maine Baat Chit, Chaal Dhal Aur Shakl O Shabat Me Hazrat Fatima Radi Allaho Anho Ke Elawa Kisi Ko Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Ka Musahbe (Similar) Naa Paaya”
(Sunan Abu Dawood, Kitab No 43: Kitab Al Adab, Baab : Maa Jaa Fi, Kayami, Hadees : 5217) (Jamai Tirmizi, Kitab 49 Kitabul Manakib Ana Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم, Hadees : 3872) (Imam Bukhari, Al Adab Ul Mufrad Hadees : 947 & 971)


Umool Momineen Hazrat Ayesha Radi Allaho Anha se rivayat Hai Jab Hazrat Fatima Radi Allaho
Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Se Mulakat Ke liye Aati To Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Unke Istekbaal Ke Liye Khade Hojate aur Aap Radi Allaho Anha Ka Haath Thamke Unhe Bosa Dete aur Unhe Apni Jagah Betha Dete”
(Sunan Abu Dawood, Kitab No 43: Kitab Al Adab, Baab : Maa Jaa Fi, Kayami, Hadees : 5217)
(Jamai Tirmizi, Kitab 49 Kitabul Manakib Ana Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم, Hadees : 3872)
(Imam Bukhari, Al Adab Ul Mufrad, Kitab As Salam, Hadees : 971) Gair Mukallid ka Muhaddis Albani ne bhi is Hadees ko Sahi likha hai. (Ibn Hibban, As-Sahih Vol : 15, Pg: 403 Hadees : 6953) (Tabarani, Al Mujam ul Awsat Vol : 04,Pg : 242, Hadees : 4089) (Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 04 Pg : 303, Hadees : 7715)


“Ayesha رضي االله عنها Se Rivayat hai Farmati Hai Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Ki Saari Azwaaz E Mutahirat Mauzood Hai Jab Hazrat Fatima Aaye Wo Ussi Andaaz me Chalti Jaise Nabi  e Karim Chala Karte The.
Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne Marhaba Aye Fatima Kaha, Aur Unhe Apne Pass Bethaya”
(Sahih Muslim,Kitab No 44 Fazail E Sahaba, Hadees : 2450)
(Sahi Bukhari, Kitab No 79 Kitabul Istedaan (Asking Permission), Hadees : 6285, 6286)
(Sunan Ibn Majah, Kitab uz Janaiz, Hadees : 1689 ‘English Version : 1621)


ALLAH Ajwazal Ka Farman Muhabbate Ahle Bait Ke Silsile Me:

Yah Hai Woh Jiski Khushkhabri Deta Hai ALLAH Apne Bando Ko Jo Imaan Laaye Aur Acche Kaam Kiye. Tum Farmao Mai Is Par Tumse Kuch Uzrat Nahi Maangta Magar Karaabat (Ahle Bait) Ki Muhabbat.


(Surah Shaura, Para 25, Ayat 23, Tarzuma: Kanzul Imaan)


Ahle Bait Ki Muhabbat Raahe Nazat Hai:
Hazrat Jaabir Bin Abdullah Se Rivayat Hai Farmate Hai Maine RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Hajj Me Arfaa Ke Din Dekha Jabki Aap Apni Oontni Kaswa Par Khutba Padh Rahe The, Maine Aap Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Farmate Huwe Suna
“AYE LOGO MAINE TUM ME WO CHEEZ CHODI HAI KI JAB TAK TUM UNKO THAME RAHOGE GUMRAAH NAA HOGE ALLAH KI KITAB AUR MERI ITRAT YAANI AHLE BAIT.”
(Jamai Tirmizi Vol :06, Pg : 435, Kitabul Manakib, Hadees : 3786 Arabic No : 4155)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Awsat Vol : 05, Pg : 89, Hadees : 4757)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir Vol : 03, Pg :66, Hadees : 2680)
(Jamai Tirmizi Vol :06 , Pg :436 , Kitabul Manakib, Hadees : 3788, Arabic No : 4157)



Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  ne Farmaya

“Maine Apni Beti Ka Naam Fatima Isliye Rakha Hai Ki Allah Taa’la ne Isko Aur Iske Chahne Waalo ko Dozakh Se Aazad Kiya Hai”
(Imam Hussamul Hindi Al Kanjul Ummal,  Vol : 12, pg : 50, Kitabul Fazail, Hadees : 34222)
(Imam Daylami As Musnad ul Firdaus Bi Mathur Al Khitab Vol : 01, Pg : 346, Hadees : 1385)
(Imam Haytami Al-Sawa’iq al-Muhriqah Pg : 540)
(Imam Mullah Ali Qari Shara E Fiqh E Akbar Pg : 133)


Ahle Bait Ki Muhabbat Jannat Me Le Jayegi:
Huzoor Ne Sayyadain Hasnain (Imam Hasan aur Hussain) Ka Haath Pakad Kar Irshad Faramaya Jis Shaks Ne Mujhse Muhabbat Rakhi Jis Shaks Ne In Dono Se Muhabbat Rakhi Aur Jisne Inki WALIDA (HAZRAT FATIMA) Aur Inke Walid Se Muhabbat Rakhi Wo Mere Saath Jannat Me Hoga.”
(Imam Ahmad Ibn Hambal Ne Al Musnad,  Vol :01, Pg : 168, Hadees: 576)


عَنْ عَلِيٍّ رضي الله عنه قَالَ : سَمِعْتُ النَّبِيَّ صلي الله عليه وآله وسلم يَقُوْلُ : إِذَا کَانَ يَوْمَ الْقِيَامَة نَادَي مُنَادٍ مِنْ وَرَاءِ الْحِجَابِ : يَا أهْلَ الْجَمْعِ، غُضُّوْا أبْصَارَکُمْ عَنْ فَاطِمَة بِنْتِ مُحَمَّدٍ صلي الله عليه وآله وسلم حَتَّي تَمُرَّ. رَوَاهُ الْحَاکِمُ.


Hazrat Ali رضی اللہ عنہ Bayaan Karte Hain Keh Maine Huzoor Nabi-e-Akram صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم Ko Yeh Farmate Huwe Suna:

Qayamat Ke Din Aik Nida Dene Wala Parde Ke Peeche Se Aawaaz Dega:
Aye Ahle Mehshar! Apni Nigahain Jhukalo Taaky Fatimah Binte Muhammad صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم Guzarjayen.
,(أخرجه الحاکم في المستدرک، 3 / 166، الرقم : 4728،)
(المحب الطبري في ذخائر العقبي في مناقب ذَوِي القربي، 1 / 94،)
(ابن الأثير في أسد الغابة، 7 / 220،)
(العجلوني في کشف الخفاء، 1 / 101، الرقم : 263.)


Sayyida Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha Ke Rasool ALLAH ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭ ﺁﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ka Khada Hona :


Hadees-E-Nabvi:


Umool Momineen Hazrat Ayesha Radi Allaho Anha se rivayat Hai Jab Hazrat Fatima Radi Allaho
Nabi e Karim ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭ ﺁﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ Se Mulakat K liye aati To Huzoor Nabi E Karim ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭ ﺁﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ Unke Istekbaal K Liye Khade Hojate aur Aap Radi Allaho Anha Ka Haath Thamke Unhe Bosa Dete aur Unhe Apni Jagah Betha Dete”
(Sunan Abu Dawood, Kitab No 43: Kitab Al Adab, Baab : Maa Jaa Fi, Kayami, Hadees : 5217)
(Jamai Tirmizi, Kitab 49 Kitabul Manakib Ana Rasool Allah ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭ ﺁﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ , Hadees : 3872)
(Imam Bukhari, Al Adab Ul Mufrad, Kitab As Salam, Hadees : 971) Gair Mukallid ka Muhaddis Albani ne bhi is Hadees ko Sahi likha hai.
(Ibn Hibban, As-Sahih Vol : 15, Pg: 403 Hadees : 6953)
(Tabarani, Al Mujam ul Awsat Vol : 04,Pg : 242, Hadees : 4089)
(Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 04 Pg : 303, Hadees : 7715)


Mauzooda Zamane Me TAZEEM Me Kayam Karna Khade Hone Ko Bad’deen Firqa-E-Wahabiya Ne Shirk Ka Naam De Diya Huwa Hai Aur Inke Naw Zaida Bachche Wo To Itne Aage Nikal Gaye Ke Kisi Ustaad, Ulema, Peer, Apne Buzurg Ki Tazeem Me Khade Hojane Par Hi SHIRK Ka Fatwa De Maarte Hai. ALLAH Jaane Ye Kaise AHLE HADEES Hai Besharam Inko Itni Saaf Hadees Nahi Dikhi NABI-E-KARIM ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭ ﺁﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ Khud Ummati Ke Liye Khade Horahe Hai To Shirk Nahi Ho Raha Hai Ye Konsa Deen De Rahe Hai Jo Adab Tazeem Se Hatke Ho. Jab Tazeeman Khade Hona Yaha Sunnat Se Sabit Ho Raha Hai. To Jab Sunni Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Tazeem Ke Liye Salato Salaam Ke Liye Khade Ho To Shirk Kaise Ho Sakta? Aap Khud Dekhle In Imaan Ke Lootero Ki Makkari. 

Shirk Thehare Jisme Tazim-E-Habeeb
Us Bure Mazhab Par La’anat Kijiye




ALLAH Aise Kam Jahil Firqe Se Ummate Muslima Ki Hifazat Kare
Aameen. Awwal Aakhir Darood.
Ye Unwaan Tazeem Ka Nahi Hai Warna Aise Aise Dalail Pesh Karta Ke Inke Hath Pair Sab Dheele Hojate.


Rasool-E-Karim ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭ ﺁﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ka Safar Hazrat Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha Ke Ghar Se Shuru Hota Aur Wahi Se Khatm Hota


Hadees :
ﺛَﻮْﺑَﺎﻥَ، ﻣَﻮْﻟَﻰ ﺭَﺳُﻮﻝِ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﻗَﺎﻝَ ﻛَﺎﻥَ ﺭَﺳُﻮﻝُ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﺇِﺫَﺍ ﺳَﺎﻓَﺮَ ﻛَﺎﻥَ ﺁﺧِﺮُ ﻋَﻬْﺪِﻩِ ﺑِﺈِﻧْﺴَﺎﻥٍ ﻣِﻦْ ﺃَﻫْﻠِﻪِ ﻓَﺎﻃِﻤَﺔَ ﻭَﺃَﻭَّﻝُ ﻣَﻦْ ﻳَﺪْﺧُﻞُ ﻋَﻠَﻴْﻬَﺎ ﺇِﺫَﺍ ﻗَﺪِﻡَ
Hazrat Saubaan ﺭَﺿِﯽَ ﺍﻟﻠﻪُ ﻋَﻦْ Se Rivayat Hai Nabi-E-Karim ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭ ﺁﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ Jab Safar Ke Liye Jaate To Sabse Aakhir Apne Ahel Me Hazrat Fatima Se Milte Aur Jab Wapas Aate To Sabse Pahle Hazrat Fatima Se Milte.
(Sunan Abu Dawood, Kitab Al Tarrajul, Hadees : 4217)
(Musnad e Ahmad bin Hambal, Vol : 5, Pg : 275)
(Bayhaqi, As Sunan ul kubra Vol : 01, Pg : 26)


Hazrat Abdullah ibn Umar ﺭَﺿِﯽَ ﺍﻟﻠﻪُ ﻋَﻦْ Se Rivayat Hai
“Jab Bhi Nabi-E-Karim ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭ ﺁﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ Safar Ke Liye Nikalte To Apne Ahel (Family) Me Sabse Aakhir Apni Chaheti Shahzadi Hazrat Fatima Se Milte. Jab Wapas Aate To Sabse Pehle Hazrat Fatima Se Milte Aur Farmate Aye Fatima Meri Maa Aur Mere Waalid Tum Par Qurban Ho”
(Hakim, al-Mustadrak Volume​ : 3, Pg :170, Hadees :4740)
(Imam Ibn Hibban, As Sahih Volume​ : 2 , Pg : 470, 471, Hadees : 696)


Hazrat Abdullah ibn Masood ﺭَﺿِﯽَ ﺍﻟﻠﻪُ ﻋَﻦْ Se Rivayat Hai Nabi-E-Karim ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭ ﺁﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya
“Beshak Fatima Ne Paak Damaani Ikteyar Ki Aur ALLAH Ne Iski Aulaad Par Jahhanam Haraam Farma Diya”
(Imam Hakim Al Mustadrak , Kitab Al Marifatu Sahaba, Vol : 04, Pg :135, Hadees : 4771)

“Hazrat Abdullah ibn Abbas ﺭَﺿِﯽَ ﺍﻟﻠﻪُ ﻋَﻦْ Se Rivayat Hai Nabi-E-Karim ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭ ﺁﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Hazrat Fatima Se Farmaya ALLAH Taa’la Tum Pe Aur Tumhari Aulado Pe Azaab Nahi Karega”
(Imam Tabrani, Al Mujam Al kabir Vol : 11, Pg : 210, Hadees : 11685)
(Haythami said in Majma-uz-zawaid Vol : 09 Pg : 202)

Hazrat Sayyida Fatima Tuz’zahra Radi Allaha Anha Ki Aulade Paak :

Hazrat Sayyeda Fatima Radi Allaho Anha se Nikah Pe Aapki Kul 06 Aulade Kiram Huwi 03 Ladke Aur 03 Ladkiya
(01) Imam Sayyidina Imam Hasan ﺭَﺿِﯽَ ﺍﻟﻠﻪُ ﻋَﻦْ Wiladat 15 Ramzan Sharif, 03 Hizri.
(02) Imam Sayyidina Imam Hussain ﺭَﺿِﯽَ ﺍﻟﻠﻪُ ﻋَﻦْ Wiladat 05 Shaban ul Muazam, 04 Hizri
(03) Imam Sayyidana Mohseen ﺭَﺿِﯽَ ﺍﻟﻠﻪُ ﻋَﻦْ inka Wisaal Bachpan Me Hi
Ho Gaya Tha Isliye Tazkira Naa Ke Barabar Milta Hai.
(04) Hazrat Sayyidutna Zainab Sabira Tayyaba Tahira Radi Allaho Anha
Karbala me Imam E Hussain Radi Allaho Anho Ke Saathi Rahi.
Inka Nikah Hazrat Zafar Radi Allaho Anho Ke Bete Hazrat Abdullah ﺭَﺿِﯽَ ﺍﻟﻠﻪُ ﻋَﻦْ Se Huwa.
(05) Hazrat Sayyudutna Umme Kulsoom Radi Allaho Anha
Inka Nikaah 40000 Dirham Mehar Me Khalifatul Muslemin Hazrat Umar Radi Allaho Anho Se Huwa.
(06) Hazrat Sayyadutna Rukkaya Radi Allaho Anha Inka Wisaal Bachpan Me Hi Ho Gaya Tha.
(Imam Athir ne Usdul Ghabah Fi Marifat -us- Sahabah)

Ye Muttafak Ahle Bait Hai Kisi Ka Ispe Ektelaf Nahi Hai. Inme Se Hi Jo Imam Hasan Aur Imam Hussain Radi Allaho Anho Azmain Se Jo Aulade Paak Huwi Waha Se Aale Nabi ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭ ﺁﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ Huwe Aur Jo Hazrat Ali Radi Allaho Anho Ke Dusri Biwiyo Se Aulad Huwi Jinme Hazrat Abbas Alambardar Huwe Aur Dusre Bete Huwe Wo ALWI Sayyed Kahlaye.
Tamam Badhshaho Ki Nasl Unke Bete Se Chali. KAYNAAT Ke Imam Ki Nasl Unki Beti Se Chali. 
SUBHAN ALLAH

Hazrat Sayyida Fatima Tuz’zahra Radi Allaha Anha Aur Ghar Ke Kaam :

Hadees :
Hazrat Ali ibn Abu Talib ﺭَﺿِﯽَ ﺍﻟﻠﻪُ ﻋَﻦْ Se Rivayat Hai Farmate Hai
“Hazrat Fatima Radi Allaho Anha Mere Pass Apne Haatho Se Chakki Pisti Thi. Jiski Wajah se Haatho Me Nishan Pad Gaye The Aur Wo Khud Apne Paani Ka Mashk Bhar Ke Laati Thi. Jiski Wajah Se Sine Pe Mashk Ki Rassi Ke Nishan Pad Gaye The Aur Ghar Me Jhadu Wagaira Khud Hi Deti Thi Jis Se Kapde Maile Hojate The”
(Sunan Abu Dawood, Kitabul Adab, Baab : Sote Wakt Tasbeeh Padhne Ka Bayan, Pg : 570, Hadees : 5063)

AAPKE LAQABAT AUR UNKE MAAYNE:

FAATIMA Ke Maana Hai
PAAK, PAAKIZA, BAA BARKAT, BAHOT KHUSH AKHLAAQ.

HAZRAT ANAS Radiyallahu Anhu Farmate Hai Ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ne Farmaya Ke:
“Mene apni is Beti ka Naam FAATIMA is liye rakha he ke ALLAH TA’AALA ne meri is Beti aur is se Mohabbat rakhne walo ko Jahannam Se Aazad Farmaya Hai.”
(TAZKIRA SAYYADA KHATUN-E-JANNAT) 

PAARAHA-E-SUHUF GUNCHAHAA-E-QUDUS, AHLE BAIT E NUBUVVAT PE LAAKHO SALAM.


UNKE MAULA KE UN PAR KARORO DARUD,
UNKE AS’HAAB-O-ITRAT PE LAAKHO SALAM.
(Sarkar AALAHAZRAT Radiyallahu Anhu)


 “ZAHRA” :-

ZAHRA Ke Maana hai ‘KALI’ , ‘NIHAYAT KHUBSURAT.’

ALLAH TABARAK VA TA’AALA Ne Aapko Bahot hi zyaada Husn-O-Jamaal ataa farmaya tha. 

Chunanche HAZRAT ANAS bin MAALIK radiyallahu anhu farmate he ke Maine apni Walida Majida se HAZRAT SAYYEDA FATIMA ZAHRA radiyallahu anha ke muta’alliq puchha to farmaya ke :- 

“SAYYEDA FATIMA ZAHRA radiyallahu anha chaudahvi (14vi) raat ke chand ki tarah Hasin-O-Jamil thi.”

 “BATOOL” :-

BATOOL Ke Maana Hai “DUNIYA SE BE TA’ALLUQ.”

Chunke aapki tavajjoh duniya aur uski aisho ishrat ki taraf nahi thi Balke har waqt ALLAH TABARAK VA TA’AALA ki taraf rahi he. is liye aapko BATOOL kehte hai.”

“TAAHIRA” Wa “ZAAKIYA” :-

TAAHIRA Wa ZAAKIYA Ka Maana Hai “PAAK SAAF”

Chunke Bachpan Hi Se HUZUR Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ki Nazre rehmat aur Faizane Mohabbat se aapke Batin ka Tazkiya ho chukka tha aur aapko Zaaahiri va Baatini Tahaarat va Paakizgi hasil ho chuki thi. Is liye aapka Laqab “TAAHIRA” va “ZAAKIYA” hua.

“RAAZIYA” Wa “MARZIYA” :-

Chunke aap har waqt ALLAH TA’AALA ki Raza par Raazi rehti thi, isiliye aapko “RAAZIYA MARZIYA” kehte he.

 “AABIDA” Wa “ZAAHIDA” :-

Chunke aapki puri zindagi Zohd-O-Ibadat me Guzri, isliye aapko “ZAAHIDA” Wa “AABIDA” ke Laqab se yaad kiya jata he.
(Tazkira Sayyeda Khatoone Jannat)

SARKAR AALA HAZRAT Radiyallahu anhu Ke Likhe Huve She’ar Par JANAB AKHTARUL HAAMIDI Aur JANAB SAYYAD HABIB AHMED Ki Tazmin Padhiye :- 

SAADIQAH, SAALEHA, SAAEMA, SAABERAH,
SAAF DIL, NEK KHOO, PAARSA, SHAAKIRAH,
AABIDAH, ZAAHIDAH, SAAJIDAH, ZAAKIRAH,

SAYYIDAH, ZAAHIRAH, TAYYIBAH, TAAHIRAH,
JAAN-E-AHMED KI RAAHAT PE LAAKHO SALAM.
(JANAB AKHTARUL HAAMIDI)

JINKA NAAM-E-MUBARAK HAI BI FAATIMA,
JO KHAVAATIN-E-AALAM ME HAI AALIYA,
AABIDAH, ZAAHIDAH, SAAJIDAH, SAALEHA,

SAYYIDAH, ZAAHIRAH, TAYYIBAH, TAAHIRAH,
JAAN-E-AHMED KI RAAHAT PE LAAKHO SALAM.”
(JANAB SAYYAD HABIB AHMED)

SYEDA TAHERA HAZRET BATOOL ZAHRA رضی اللہ عنھا TANDOOR MAIN KHUD ROTIYAN LAGAYA KARTIN, GHAR MAIN JHADU BHI KHUD DETIN, AUR CHAKKI BHI KHUD PEESTI THIN, CHALKI KI WAJAH SE AAP KE MUQADDAS HATHO MAIN CHAALE PAD GAYE THEY

SHER E KHUDA ALI AL MUTAZA کرم اللہ تعالیٰ وجہہ الکریم KE MASHWERE PER SYED-E-AALAM صلی اللہ تعالیٰ علیہ والہ وسلم KI BARGAH MAIN KHADIM KI TALAB MAIN HAZIR HUIN, TO SARWAR-E-ALAM صلی اللہ تعالیٰ علیہ والہ وسلم NE IRSHAAD FARMAAYA:

KYA TUMHAIN AISI CHEEZ NA BATAOON JO KHADIM SE BEHTAR HAI? 

TUM JAB BISTAR PAR JAO TO
33 BAAR SUBHAN’ALLAH
33 ALHAMDULILLAH
34 ALLAHU AKBAR
PADH LIYA  KARO
( صحیح مسلم، کتاب الذکر والدعاء…الخ)

UMMUL MOMINEEN SYEDA AAYESHA SIDDIQUA رضی اللہ تعالٰی عنها FARMAATI HAIN:
MAIN NE HAZRET E FATIMA رضی اللہ عنھا SE SACHA UNKE WALID E AQDAS KE ALAWA KISI AUR KO NAHY DEKHA
( مسند ابی یعلی حدیث نمبر 4698 جلد 4)

HAZRAT JAMEE’ BIN UMAIR رضی اللہ تعالی عنہ FARMAATE HAIN KE MAIN APNI PHUPI KE SATH UMMUL MOMINEEN SYEDA SIDDIQUA رضی اللہ عنھا KI KHIDMAT MAIN HAZIR HUA, UNSE ARZ KI GAYI KE MUSTAFA JAAN E REHMAT صلی اللہ تعالیٰ علیہ والہ وسلم KO KON ZYADA MAHBOOB THA?

FARMAAYA:

(SYEDA) FATIMA رضی اللہ عنھا

PHIR ARZ KI GAYI KE MARDON MAIN SE?

FARMAAYA:
UNKE SHOHER
JAHAN TAK MUJHE MALOOM HAI WOH BAHUT ROZE RAKHNE WALE AUR KASRAT SE QAYAM KARNE WALE HAIN 
( جامع الترمذی، ابواب المناقب)

NABI KE DIL KI RAAHAT AUR ALI KE GHAR KI ZEENAT HAI,
BAYA KIS SE HO UNKI PAAK TAINAT PAAK TAL’AT KA
صلی اللہ تعالیٰ علیہ والہ وسلم

HAZRAT SYEDNA ABDALLAH IBN E UMAR رضی اللہ تعالٰی عنهما FARMAATE HAIN:
SARKAR E KAREEM صلی اللہ تعالیٰ علیہ والہ وسلم JAB SAFAR KA IRADA FARMAATE TO SAB SE AAKHIR MAIN HAZRET E SYEDTUNA FATIMA AL ZAHRA رضی اللہ تعالٰی عنها SE MULAQAT FARMATE AUR JAB SAFAR SE WAPAS TASHREEF LAATE TO SAB SE PEHLE SYEDA رضی اللہ تعالٰی عنها SE MULAAQAT FARMATE 

(مستدرک للحاکم، کتاب معرفتہ الصحابہ)

NABI KI LADLI, BIWI WALI KI, MAA SHAHEEDO KI,
AYAHAN JALWA NABUWWAT KA WILAYAT KA SHAHADAT KA.
(KALAM MUFTI AHMED YAAR KHAN NAEEMI ASHRAFI)

HUZOOR-E-SARVAR-E-KAAINAT Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam ne ek martaba Sahaba-E-Kiram Se Farmaya Ke :- 

“Bataao ! Aurat ke liye konsi chiz Behtar hai?” 

Tamami Sahaba-E-Kiram Khamosh rahe kisi ne koi jawab na diya.

AMIRUL MOMININ, HAZRAT SAYYEDNA ALIYYE MURTAZA radiyallahu anhu farmate he ke :-

“Mai fauran ghar aaya aur SHEHZAADI-E-RASOOL, SAYYEDA FAATIMA ZAHRA radiyallahu anha se kaha ke aaj ALLAH KE PYAARE HABIB sallallahu alayhi wa aalihi sallam ne ye sawal kiya he aap bataaye ke kya jawab du?”

SAYYEDA FAATIMA ZAHRA radiyallahu anha ne farmaya ke :- 

“NA AURATE AJNABI MARDO KO DEKHE, NA MARD GAIR AURATO KO DEKHE”. 

HAZRAT ALIYYE MURTAZA radiyallahu anhu farmate Hai Ke :- 

Maine ye jaa kar HUZUR-E-AQDAS sallallahu alayhi va aalihi sallam ko Pesh kiya.” 
 
To Aap Sallallahu ta’aala Alaihi Wa Aalihi Wasallam ne farmaya ke :-  

“FAATIMA MERE JIGAR KA TUKDA HAI.”
SubhanALLAH……
(TAZKIRA SAYYADA KHATUN-E-JANNAT)

Isiko SARKAR AALA HAZRAT radiyallahu anhu Kya Khub Farmate Hai Ke :- 

“US BATOOLE JIGAR PAARAH-E-MUSTAFA,
HAJLA AARA-E-IFFAT PE LAAKHO SALAM.”

“JISKA AANCHAL NA DEKHA MAH-O-MEHAR NE,
US RIDAA-E-NAZAAHAT PE LAAKHO SALAM.”

HAZRAT E SYENDA ANAS رضی اللہ تعالٰی عنہ FARMAATE HAIN: 

EK MARTABA SYED UL AALAMEEN صلی اللہ تعالیٰ علیہ والہ وسلم NE ISTEFSAR (MALOOM) FARMAAYA KE AURTON KE LIYE KIS CHEEZ MAIN BHALAI HAI?

SAHABA KIRAM رضی اللہ تعالٰی عنهم اجمعین FARMAATE HAIN KE HUM NAHY JAANTE THEY KE KYA JAWAB DAIN? 

CHUNANCHE, AMEER AL MOMINEEN SYEDNA ALI AL MURTUZA کرم اللہ تعالی وجہہ الکریمٰ SYEDA TAYABA BATOOL AL ZAHRA رضی اللہ تعالٰی عنها KE PAAS TASHREEF LE GAYE AUR UNHAIN IS SAWAL KE BAARE MAIN BATAYA, TO UNHONE KAHA: 

AAP NE RASOOL ALLAH صلی اللہ تعالیٰ علیہ والہ وسلم SE YEH KYON NA ARZ KIYA KE *AURTON KE LIYE BHALAI IS MAIN HAI KE WOH (GHAIR) MARDON KO NA DEKHAIN AUR NA HI (GHAIR MAHRAM) MARD UNHAIN DEKHAIN* 

SHER E KHUDA کرم اللہ تعالیٰ وجہہ الکریم NE YEH BAAT BARGAAH E RASOOL E AQDAS ﷺ MAIN SUNAI TO HUZOOR SYED E AALAM صلی اللہ تعالیٰ علیہ والہ وسلم NE FARMAAYA:

YEH BAAT TUMHAIN KIS NE BATAYI? 

ARZ.KI (SYEDA) FATIMA رضی اللہ تعالٰی عنها NE!

TO HUZOOR صلی اللہ تعالیٰ علیہ والہ وسلم NE IRSHAAD FARMAAYA:

*FATIMA MERE JIGAR KA TUKDA HAI*

(حلیتہ الاولیاء و طبقات الاصفیا جلد 2 صفحہ 73)

SARWAR E AALAM صلی اللہ تعالیٰ علیہ والہ وسلم KE WISAL E AQDAS KE BAAD HAZRET E SYEDA BIBI FATIMA رضی اللہ تعالٰی عنها KO KABHI HASTE HUE NA DEKHA GAYA. 

JAB AAP KE WISAL E ZAHEERI KA WAQT KAREEB AAYA TO EK FIKR DAAMANGIR THI, KE BAAD INTEQAL BHI KISI GHAIR KI NAZAR KAFAN MAIN MALBOOS WUJOOD ANWAR PE NA PADE, ISI BAAT KA ZIKR HAZRET E ASMA رضی اللہ تعالٰی عنها SE KIYA TO UNHONE ARZ KI:

AYE SHAHZADI E RASOOL ﷺ!

KYA MAIN AAP KO WOH CHEEZ NA DIKHAOON JO MAIN NE HABASHA MAIN DEKHI THI?

CHUNACHE, UNHONE NE CHAND TARR (KACHCHI) SHAKHAIN (BRANCHES) MANGWAKER UNHAIN KAMAAN KI TARHA TEDHA KARKE UNPER KAPDA DAALA TO HAZRET E SYEDA MAKHDOOMA FATIMA BATOOL AL ZAHRA رضی اللہ تعالٰی عنها NE FARMAAYA:

YEH KITNA ACHA AUR KITNA KHOOBSOORAT TAREEQA HAI* KE ISKE ZARIYE AURAT MARD SE MUMTAZ HO JAATI HAI. 
( حلیتہ الاولیاء، جلد 2)

WOH CHADER JISKA ANCHAL CHAAND SURAJ NE NAHI DEKHA
BANEGI HASHR MAIN PARDA, GUNAHGARAAN E UMMAT KA
HAKM UL UMMAT, MUFTI AHMED YAAR KHAN NAEEMI ASHRAFI 



ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
جزاك الله خيرا…
          Keep Visiting & Sharing:  
           www.hamarenabi.com
• World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat.
• Best Place To Learn Real Islam In The Light Of Quran Wa Hadees.
• Authentic References/Hawala/Daleel/Proofs From Top Islamic Books.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
 ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
 ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم
 صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring… Stay Connected…
Please Don’t Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!