Ramzan

Mushkil Kusha Maula Ali Murtaza

Alqab: Haidar, Murtaza, Maula-e-Kaainat.
• Wiladat: 13 Rajab (23 October 600 A.D.)
» Aap Ke Walid Ka Naam Abu Talib Ibne Abdul Muttalib Aur Walida Ka Naam Fatima Bint Asad Hai.
» Aap Quraish Ke Banu Hashim Qabile Se Ta’alluq Rakhte Hain.
» Aap Ki Walida Haalate Hamal Me  Ka’abatullah Ka Tawaf Kar Rahi Thi Aur Unko Dard Shuru Hua Aur Allah Ta’ala Ke Hukm Se Wo Ka’aba Shareef Ke Andar Chali Gai.
Is Tarah Aap Ki Wiladat Ka’abatullah Ke Andar Hui. Wiladat Ke Baad Aap Ne Aankhen Nahi Kholi Aur Jab Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Aaye To Abu Taalib Ne Unhe Aap Ki God Me Diya To Aap Ne Aankhen Kholi Ya’ni Dunya Me Aane Ke Baad Aap Ne Sab Se Pehle Sarware Kaainat Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ko Dekha.
Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Abu Taalib Se Puchha Ke ‘Is Ka Kuchh Naam Rakha?’ Unho Ne Kaha Ke ‘Asad (Lion) Rakhne Ka Soch Rahe Hain. Aap Ki Kya Raay Hai?’ Huzoor Ne Farmaya ‘Iska Naam ‘Ali’ Rakha Jaaye.’
Abdul Muttalib Ne Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Parwarish Ki Zimmedari Apne Bete Abu Talib Ko Di Thi. Jab Huzoor Ne Bade Hokar Tijarat Karna Shuru Kiya Aur Aap Ka Nikah Hazrate Khdija Radiallahu Ta’ala Anhu Se Hua, Aur Aap Ne Dekha Ke Chacha Abu Talib Ke Haalat Bure Hain Aur Zyada Aulad Hone Ki Wajah Se Sab Ki Parwarish Karna Mushkil Hai. Aap Ne Unke Paas Jaakar Farmaya Ke ‘Chacha, Aap Par Mere Bahut Ehsan Hain Aur Main Chahta Hu Ke Aap Apne Kisi Ek Ladke Ki Zimmedari Mujhe De Den.’ Abu Talib Ne Kaha ‘Kabhi Bhi Ehsan Ki Baat Mat Karna. Lekin Tum Jis Ladke Ko Chaho Apne Saath Le Jaao.’
Aap Hazrat Ali Ko Apne Saath Le Gaye Aur Is Tarah Bachpan Se Hi (Razi Allahu Anhu) Ki Parwarish Huzoor Ke Saath Aap Ki Nigrani Me Hui.
Ek Roz Jab Ali Ghar Me Dakhil Hue To Dekha Ke Hazrate Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Aur Hazrate Khadija Namaz Padh Rahe The. Ali Ne Ye Amal Ka Pehle Kabhi Nahi Dekha Tha. Jab Dono Ne Salam Fera To Ali Ne Puchha Ke ‘Aap Kya Kar Rahe The?’ Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ke ‘Main Allah Ka Nabi Bankar Aaya Hu Aur Tumhe Bhi Kalma Padhakar Islam Apnane Ki Dawat Deta Hu.’ Ali Ne Kaha ‘Main Apne Walidain Se Mashwara Karke Faisla Karna Chahta Hu.’ Huzoor Ne Farmaya ‘Ali, Abhi Allah Ki Taraf Se Islam Ka Aur Nubuwwat Ka Elan Karne Ka Hukm Nahi Hua. Is Liye Tum Kisi Se Mashwara Nahi Kar Sakte. Tumhe Abhi Hi Tay Karna Hoga.’ Ali Ne Kuchh Der Socha Aur Phir Kaha Ke ‘Main Islam Apnana Chahta Hu. Kyun Ke Maine Aapki Hamesha Har Baat Aur Amal Ko Sachcha Dekha Hai. Is Liye Mujhe Yaqeen Hai Ke Aap Allah Ke Nabi Hain.’
Is Tarah Aap 610 A.D. Me 10 Baras Ki Umar Me Musalman Hue.
Aap Bacho Me Sab Se Pehle Eimaan Laaye. 622 A.D. Me Jab Allah Ke Hukm Se Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Makka Se Hijrat Kar Rahe The Tab Hazrate Ali Ko Apne Bistar Par Sone Ke Liye Kaha Aur Farmaya Ke ‘Ali, Ye Kuchh Amanate Main Tumhe Dekar Jaata Hu. Subah Ko Tum Un Logo Ko Apni Apni Amanate Dekar Madina Aa Jaana.’
Hazrat Ali Itminan Se Nabi Ke Bistar Par Let Gaye. Kyun Ke Aap Ko Yaqeen Tha Ke Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farma Diya Hai To Kal Subah Ko Main Sab Ko Amanate Dekar Madina Khairiyat Se Pahunch Jaaunga. Mujhe Koi Taklif Nahi De Sakega. Is Ke Baad Aap Bhi Makka Se Hijrat Karke Madina Shareef Aa Gaye.
Aap Roz Raat Ko Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ko Pehra Dete The.
Aap Huzoore Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Damaad Hain.
623 A.D. Me Aap Ka Nikah Hazrate Fatima Zehra Radiallahu Ta’ala Anhu Ke Saath Hua. Aap Panjatan Me Saamil Hain. Aap Ashra E Mubashara Me Se Hain. Aap Aimma E Ahle Bait Ke Sab Se Pehle Imaam Hain. Aap Fatehe Wilayat Hain Ya’ni Ummate Mustafa Me Auliya Allah Ke Silsile Ki Shuruat Aap Se Hui.
Aap Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Khalifa Hain Aur Aap Ke 4 Khalifa (Imam Hasan, Imam Husain, Khwaja Hasan Basri, Khwaja Kamil Bin Ziyad (Radiallahu Ta’ala Anhuma) Se Tareeqat Ke Tamam Alwi Silsile Jaari Hain.
Aap Ke Baare Me Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Hai Ke
(1) Jiska Main Maula Hu, Ali Bhi Uska Maula Hai.
(10 Hijri (632 A.D.) Me Hajjatul Wida Ke Baad Khumme Ghadir Par)
(2) Aye Allah, Tu Usko Dost Rakh Jo Ali Se Dosti Rakhe Aur Zaleel Kar Usko Jo Ali Se Dushmani Rakhe.
(3) Main Ilm Ka Shahar Hu Aur Ali Uska Darwaza.
(4) Mere Darbar Me Ali Ka Martaba Aisa Hai Jaisa Hazrate Moosa (Alaihi Salam) Ke Darbar Me Hazrate Haroon (Alaihi Salam) Ka.
(5) Qayamat Me Hazrate Aadam (Alaihi Salam) Apne Bete Hazrate Sheesh (Alaihi Salam) Ke Saath Fakhr Karenge Aur Mai Ali Ke Saath.
Aap Ka Laqab ‘Haidar’ Ya’ni Shere Khuda Hai. Aap Ka Ilm Aur Shuja’at Aur Sakhawat Mashhoor Hai. Kai Baar Aap Ke Ilm Aur Shuja’at Se Islam Ko Faida Hua. Aap Ne Gazwa E Tabook Ke Ilawa Tamam Jang Me Apni Shuja’at Dikhai.
Aap Ki Talwar ‘Zulfiqar’ Mashhoor Hai.
Jange Badr Me Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Hazrate Hamza, Hazrate Ali Ibn Abi Talib Aur Ubaida Ibne Haris Radiallah Ta’ala Anhuma Ko Makka Ke Kaafiro Ke Muqable Ke Liye Bheja. Hazrate Hamza Ne Shaiba Ko Qatl Kiya Aur Ubaida Ke Buri Tarah Jakhmi Hone Ke Baad Utba Ko Bhi Qatl Kiya. Aur Hazrate Ali Ne Walid Ibn Utba Ko Qatl Kiya. Aur Phir Jang Me Apni Bahduri Dikhate Hue Aap Ne Bahut Saare Kaafiro Ko Qalt Kiya.
Jange Uhad Me Jab Kuchh Galti Ki Wajah Se Kaafir Phir Se Musalmano Par Gaalib Ho Rahe The Aur Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Bhi Zakhmi Ho Gaye The Tab Hazrat Ali Jaldi Se Aap Ki Hifazat Ke Liye Aap Ke Paas Pahunch Gaye Aur Jab Bhi Kaafiro Ka Giroh Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Taraf Hamla Karne Ke Liye Aage Aata Ali Lagatar Badi Bahaduri Se Usko Door Bhaga Dete.
Is Ke Baad Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Ali Ko Apne Sine Se Lagate Hue Kaha Ke ‘Aye Ali, Tum Hamesha Mere Itne Qareeb Rahoge.’ Tab Hazrate Jibriel (Alaihi Salam) Ne Kaha ‘Main Bhi Isi Tarah Aap Ke Saath Rehna Chahta Hu.’ Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Ali Ko Ye Khushkhabari Sunayi.
Jange Khaibar Ke Mauqe Par Jab Musalmano Ko Khaibar Par Fateh Hasil Nahi Ho Rahi Thi Tab Pyare Aaqa (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Hazrate Ali (Radiallah Ta’ala Anhu) Ko Bulaya Aur Jab Hazrate Ali (Radillah Ta’ala Anhu) Ne Kaha Ke Unki Aankho Me Shadeed Dard Hai To Aapne Apna Luaabe Dahan (Saliva) Unki Aankho Me Lagaya. Jisse Foran Hazrate Ali Ki Sab Taklif Door Ho Gai Aur Itna Hi Nahi, Hazrate Ali Farmate Hain Ke Meri Aankho Ki Roshni Aur Tez Ho Gai.
Phir Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Hazrate Ali Ko Musalmano Ke Lashkar Ke Sardar Banakar Jang Ke Liye Bheja. Jang Ke Dauran Hazrate Ali Ne Khaibar Ke Kile Ka Darwaza Todkar Utha Liya.
Allah Ta’ala Ke Fazl Se Musalmano Ko Fateh Hasil Hui.
Ashaba Farmate Hain Ke Baad Me 25 Ya Zyada Sahaba Ne Saath Milkar Us Darwaze Ko Uthane Ki Bahut Koshish Ki Lekin Phir Bhi Wo Use Hila Bhi Na Paaye.
Ek Baar Jang Ke Dauran Aap Ne Ek Yahudi Ko Zameen Par Gira Diya Aur Uske Sine Par Bethkar Uska Sar Qalam Karna Chaha. Itne Me Wo Yahudi Ne Aap Ke Chehre Par Thunk Diya. Aap Foran Uske Sine Par Se Niche Utar Gaye Aur Niyyat Karke Namaz Padhne Lage. Wo Yahudi Heart Se Dekh Raha Tha.
Jab Aap Namaz Se Faarig Hue To Yahudi Ne Puchha ‘Aye Ali, Tum Mujh Par Gaalib Ho Gaye The Aur Phir Tum Ne Mujhe Chhod Kyun Diya?’
Aap Ne Farmaya Ke ‘Main Sirf Allah Ki Raza Ke Liye Tujhe Qatl Karne Wala Tha. Lekin Jab Tum Ne Mere Chehre Par Thunka To Mujhe Gussa Aaya. Is Liye Main Tumhe Chhodkar Namaz Padhne Laga. Take Nafs Ka Zor Khatm Ho Jaaye Aur Tumhe Qatl Karne Me Meri Nafsani Khwahish Samil Na Ho.
Ye Sunkar Wo Yahudi Aur Uske Saathi Musalman Ho Gaye.
Aap Namaz Khushu’ Aur Khuju’ Ke Saath Is Tarah Padhte Ke Tamam Chizo Ko Bhul Jaate.
Jange Uhad Me Aap Ke Pair Me Teer Chubh Gaya Aur Jab Bhi Use Nikalne Ki Koshish Kai Jaati Aap Ko Bahut Taklif Hoti Thi. Phir Ye Mashwara Kiya Gaya Ke Jab Hazrate Ali Haalate Namaz Me Khade Ho Tab Is Teer Ko Nikala Jaae.
Chunanche Jab Aap Namaz Padhne Me Mashgool The Tab Jambur Ke Zariye Aap Ke Pair Me Se Us Teer Ko Nikala Gaya. Zakhm Me Se Khoon Jaari Ho Gaya Lekin Aap Ko Dard Ka Ehsas Na Hua.
Aap Farmate Hain Ke
‘Main Jannat Ke Shauq Me Ibadat Nahi Karta Ki Ye Ibadat Nahi Tijarat Hai,
Main Dozakh Ke Khauf Se Ibadat Nahi Karta Ki Ye Ibadat Nahi Ghulami Hai,
Main Ibadat Sirf Is Liye Karta Hu Ki Mera Rabb Hi Ibadat Ke Qaabil Hai.’
Fateh Makka Ke Baad Jab Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka’aba Sharif Se Buto Ko Nikal Kar Use Paak Kar Rahe The Tab Aap Ne Hazrate Ali Radiallah Ta’ala Anhu Ko Apne Kandho Par Lekar Unche Buto Ko Girane Ke Liye Kaha.
Jab Aap Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Kandhe Par The Tab Huzoor Ne Puchha Ke ‘Aye Ali, Upar Dekhkar Batao Ke Kya Dekhte Ho?’ Aap Ne Upar Dekhkar Kaha Ke ‘Ya Rasoolallah (Sallallahu Alaihi Wasallam), Arshe Aazam Tak Dekh Sakta Hu.’ Phir Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ke ‘Ab Niche Dekhkar Batao Ke Kya Dekhte Ho?’ Aap Ne Kaha Ke ‘Ya Rasoolallah (Sallallahu Alaihi Wasallam), Tehatussara Tak Dekh Sakta Hu.’
(1) Ek Baar Aap Se Kisi Ne Puchha ‘Kis Tarah Pata Chale Ke Insaan Par Aane Wali Museebat Saza Hai Ya Aazmaish?’
Aap Ne Farmaya ‘Agar Museebat Insaan Ko Allah Ta’ala Se Door Kare To Wo Saza Hai, Aur Agar Museebat Insaan Ko Allah Ta’ala Ke Qareeb Kare To Wo Aazmaish Hai.’
(2) Ek Baar Kisi Ne Aap Se Puchha Ke
‘Jab Hamari Qismat Pehle Se Hi Likh Di Gai Hai To Dua Ka Kya Faida?’
To Aap Ne Farmaya Ke
‘Ho Sakta Hai Ke Qismat Me Yahi Likha Ho Ke Mangne Par Milega.’
(3) Ek Baar Kuchh Gair-Muslim Ne Aap Ke Pass Aakar 2 Sawal Puchhe :
[1] Wo Kaun Si Cheez Hai, Jo Ham Dekhte Hain Lekin Allah Nahi Dekhta?
[2] Qur’an Majeed Me Har Cheez (Ka Ilm) Hai, Magar Aisa Kya Hai Jo Is Me Nahi Hai?
Aap Ne Jawab Diya :
[1] Allah ‘Khwab’ Nahi Dekhta, Kyun Ke Use Na Neend Aati Hai Na Oongh.
[2] Qur’an Majeed Me Sab Kuchh Hai, Magar ‘Jhut’ Nahi Hai.
Aap Itni Khairat Karte Rehte The Ke Aap Ko Zakat Dene Ki Zaroorat Nahi Padti Thi.
Ek Baar Ek Aurat Paani Se Bhara Hua Mashkiza Uthakar Jaa Rahi Thi. Bahut Kamzor Hone Ki Wajah Se Use Bhari Mashkija Lekar Chalne Me Bahut Pareshani Ho Rahi Thi. Hazrate Ali Ne Use Rok Kar Wo Mashkiza Khud Utha Liya Aur Uske Saath Jaakar Uske Ghar Par Pahuncha Diya. Raaste Me Uski Baato Se Aap Ko Pata Chala Ke Uska Shohar Kharji Tha Aur Hazarte Ali Ke Khilaf Jang Me Maara Gaya Tha Aur Uske Bahut Saare Bachche The Aur Wo Dusro Ke Kaam Karke Guzara Karti Thi.
Dusre Din Aap Khane Ki Bahut Saari Chize Lekar Uske Ghar Ki Taraf Gaye. Raaste Me Kai Logo Ne Us Thele Ko Uthane Ke Liye Kaha To Aap Ne Farmaya Ke ‘Dunya Me Tum Mera Bojh Utha Loge Magar Qayamat Me Sab Ko Khud Hi Apna Bojh Uthana Hoga.’
Jab Aap Us Aurat Ke Ghar Par Pahunche To Wo Bahut Khush Hokar Kehne Lagi ‘Allah Ta’ala Tumhe Hamesha Aabad Rakhe.’
Phir Aap Ne Kaha ‘Main Tumhare Liye Khana Pakata Hu Ya Agar Tum Khana Pakao To Itni Der Main Tumhare Bacho Ka Khayal Rakhta Hu.’
Us Aurat Ne Kaha ‘Main Khana Pakati Hu. Aap Sirf Choola Jala Do.’
Aap Lakadiyo Se Choola Jalane Lage. Garmi Ki Wajah Se Aap Ke Chehre Par Paseena Aane Laga. Itne Me Pados Me Ek Shakhs Aaya. Jab Usne Ye Dekha To Kehne Laga ‘Aye Gustakh Aurat, Ameerul Mo’mineen Ke Saath Ye Bad-Sulooki Karne Ki Tumhari Himmat Kaise Hui?’
Ye Sunkar Us Aurat Ko Haqeeqat Ka Pata Chala Aur Sharminda Hokar Aap Ke Kadmo Me Gir Gai.
Aap 35 Hijri (656 A.D.) Me Hazrate Usman Gani Radiallah Ta’ala Anhu Ki Shahadat Ke Baad Khalifa Aur Ameerul Mo’mineen Hue.
Aap Ki 7 Biwiya Aur 13 Bete Aur 2 Betiya Hain.
(1) Khatune Jannat Fatima Zehra (Radiallah Ta’ala Anha) Ibn Muhammadur Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Se
2 Bete – Imame Hasan Aur Imame Husain Radiallah Ta’ala Anhuma
Aur 2 Betiya – Zainab Aur Umme Kulsoom Radiallah Ta’ala Anhuma.
Jinhe ‘Aale Rasool’ Ka Martaba Mila Hai Aur Jinhe ‘Saadat’ Kaha Jaata Hai.
Aap Ne Hazrate Fatima (Radiallahu Ta’ala Anha) Ki Hayat Ke Dauran Kisi Dusri Aurat Se Nikah Nahi Kiya Tha. Hazrate Fatima Ke Inteqal Ke Baad Hi Aap Ne Dusre Nikah Kiye.
(2) Umama Bint Zainab Se
1 Beta – Hilal
(3) Fatima Bint Hizam Al-Qilabiyya (Umm Ul-Banin) Se
4 Bete – Abbas, Abdullah, Jaafar, Usman
(4) Laila Bint Mas’ood Se
2 Bete -Ubaidullah, Abi Bakr
(5) Khawla Bint Jaafar Se
1 Beta – Muhammad Ibn Al-Hanafiya
(6) Al Sahba’ Bint Rabiah Se
1 Beta – Umar
(7) Asma Bint Umays Se
2 Bete – Yahya, Muhammad Al-Asgar.
• Shahadat :
21 Ramzan 40 Hijri Ko Namaze Fajr Ke Dauran Abdul Rehman Ibne Muljim Ne Zehrili Talwar Se Aap Ke Sar Par Hamla Kiya Aur Aap Ko Shaheed Kar Diya.
Aap Ka Wisal 21 Ramzan 40 Hijri (27 January 661 A.D.) Ko 62 Baras Ki Umr Me Hua. Aap Ka Mazaar Najaf Shareef, Iraq Me Hai.
Allah Ta’ala Uske Habeeb (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Sadqe Me Aur Hazrat Ali (Radiallahu Ta’ala Anhu) Aur Ahle Bait Ke Waseele Se Sab Ko Mukammal Ishqe Rasool Ata Farmae Aur Sab Ke Eimaan Ki Hifazat Farmae Aur Sab Ko Nek Amal Karne Ki Taufiq Ata Farmae Aur Sab Ko Dunya Wa Aakhirat Me Kamyabi Ata Farmae Aur Sab Ki Nek Jaiz Murado Ko Puri Farmaye.
Aameen.
Awwal Aakhir Durood.


Like Our Official Facebook Fan Page:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!