Fazilat-E-Ramzan Hadees-E-Pak For Ramdan Ramdan Mubarak Masle Masails Of Ramdan Mubarak
JO SHAKHS KISI ROZADAR KO IFTAR KARAYE TO YE GUNAH KI MAAFI & DOZAKH SE NAJAAT KA ZARIYA HAI
(BAIHAQI)
MASLA:
MUH ME THOOK IKATTHA KARKE NIGAL JAANA BAGAIR ROZE K BHI ACHCHHA NAHI AUR ROZE ME TO YE MAKROOH HE (QANOON-E-SHARIAT)
Insaan Ka Har Ek Nek Amal Khud Usi Ke Liye hai
Magar Roza Wah Khas Mere Liye hai
Aur Mai hi Is Ka Badla Dunga (Bukhari)
Jo ROZADAR Ko Paani Pilaaiga ALLAH Use Mere HOUZ Se Pilaaiga Ki JANNAT Me Dakhil Hone Tak Piyasa Na Hoga.
(Ibn-e-Khuzaima 3:192:1887)
MAS’ALA:
Jab 2-2 Rakat Karke Padh Raha He To Har 2 Rakat Par Alag Alag Niyyat Kare & Agar 20 Rakat Ki Ek Sath Niyyat Ki Tab Bhi Jaiz He.
(Durre mukhtar)
Aap Jante Hai?
Shuruaat Me Sahari Ki Ijazat NA Thi
Roza Rakhne Wala So Na Jaye
Tab Tak Khaa Pee Sakta Tha.
[KHZAINUL IRFAAN]
Huzoor Sallallahu Alaiyhi WaSallam Ne Farmaya:
“Ramzan Me Umra Karna Hajj Ke Barabar Bal Ke Mere Saath Hajj Karne Ke Barabar He.”
(Sahih Muslim: 3098)
Lab pe hadeeso ki rawani le chalo
seene pe aayate quraani le chalo
agar milna hai Bag-e-firdous me
To peshani pe sajde ki nishani le chalo
“MAAH-E-RAMZAN ME KISI “ROZADAAR”
KO ROZA IFTAAR KARAANA BAKHSHISH KA SABAB HOGA.
(MISHKAT SHARIF)
ROZA AUR QUR’AN BANDE KI SHAFA’AT KARENGE
AUR
DONO KI SHAFA’AT QABOOL HOGI.
(TIBRANI
BAIHAQI)
ROZA SIPAR
(DHAAL) HAI
AUR
DOZAKH SE HIFAAZAT KA MAZBOOT QILA HAI
(BAIHAQI)
Qatra-2-qatra aasu/pasina muh me chala gaya
&
nigal Liya,to ROZA na gaya
Magar zyada tha
ke namkini pure muh me mahsus hui to jata raha
(Bahare Shariat)
BAAR BAAR
KULLI KARNA
YA
MISWAAK KARNA
YA
SAR & BADAN ME TEL KI MALISH KARNA
YA
SURMA LAGANA
YA
KHUSHBU SUNGHNA
MAKROOH NAHI
(AALAMGIRI)