Ramzan

Masle Masail Of Zakaat Aur Ramzan Kareem

JIS NE APNE MAAL KI ZAKAAT ADA KAR DI

TO BESHAQ ALLAH TA’ALA NE USSE TAKLIF KO DOOR FARMA DIYA

(HAAKIM)

ALLAH TA’ALA RAMZAN KI HAR RAAT ME IFTAR KE WAQT 1 LAKH AISE DOZAKHIYO KO AAZAD FARMATA HAI

JIN PAR AZAB WAAJIB HOTA HAI

(TIRMIZI)

HAZRAT ABU HURAIRAH RadiyAllahu Anhu:

ROZA DHAAL HAI

JAB TAK USE FAADA NA HO

ARZ KI GAYI

KIS CHEEZ SE FADEGA?

FARMAYA:

JOOT YA

GEEBAT SE.

(TIBRANI SHARIF)

GEEBAT KI TO ROZA NA GAYA

MAGAR

GEEBAT SAKHT KABEERA GUNAH HAI

GEEBAT:

QUR’AN:

JAISE APNE MURDA BHAI KA GOSHT KHANA

HADEES:

GEEBAT ZINA SE BHI SAKHT TAR HAI

GEEBAT KI WAJAH SE ROZE KI NURANIYAT JAATI RAHTI HAI

(DURR-E-MUKHTAR)

MASLA:

Musaafir ko Roza Rakhne Me Nuqsan ka Andesha Na’ho To (Safar Me) Roza Rakhna Behtar He.

(Durre Mukhtar)

Rozedaar ke liye Do khushiya hai

Ek iftar ke waqt

AUR

Dusri apne Rab se milne ke Waqt hogi

(Bukhari)

MAS’ALA:

BACHCHE KI UMR JAB 10 SAAL HO JAAYE

AUR

USME ROZA RAKHNE KI TAAQAT HO

TO

USE MAAH-E-RAMZAN ME ROZA RAKHWAYA JAAYE

(RADDUL MUHTAAR)

HAZRAT ALI:

AGAR ALLAH KO UMMATE MUHAMMADIA PAR AZAB DENA HOTA

TO

USE RAMZAN & SURAH-E-IKHLAS KABHI ATA NA FARMATA

(NUJHATUL MAJALIS SAFA:579)

Beshak Momin Achche Akhlaq Ke Sabab Aur Rozedar Raat Ke Qayaam Ke Sabab uncha Darja Pa Leta He.

(Abu Dawood)

MASLA:

Zakaat Farz Hai Iska Munkir Kafir Hai Aur Na Dene Wala Fasiq Aur Qatal Ka Mustahiq Hai.

(Aalamgiri)

QURAN:

Aur MUTTAQI Wo Hai Ki Jo Hum Ne Unhe Diya Hai, Usme Se Hamari Raah Me Karch Karte Hai

(Para:1,SURE BAQRAH Ayat:3)

MASLA:

Tarawih Me Pura QURAN Padhna Aur Sun’na Sunnat-E-Mu’wakkadah Hai. (Fatawa-E-Razviya Jild:7 Safa:458)

Aur Jisne ! ALLAH Aur Uske Rasool Alayhissalam Ki ITA’AT Ki Usne To Bahut Badi KAAMYAABI Haasil KarLi (AHZAAB:71)

Musafir Ko Roza Rakhne ya Na Rakhne ka ikhtiyar He

(Raddul Muktar J;3 S;403)

Mas’ala

Sanph(snake) ne Dhas liya aur jaan khatre me padh gayi to Roza tod den.

(Raddul Mukhtar J;3 S;403)

SADQA-E-FITRA WAAJIB HAI:

2 KILO 45 GRAM GEHU

YA

UTNA WAZAN AATA

YA

USKI KIMAT EK SADQA-E-FITR KI MIQDAAR HAI.

(BAHAR-E-SHARIAT)

ALLAH OR USKE HABEEB Ko

PaKr Kabhi Kisi Ne Kuch Nhi Khoya

Aur

ALLAH OR USKE HABEEB Ko Khokar Kabhi Kisi Ne Kuch Nahi Paya.

2 HAJJ+2 UMRO KA SAWAB:

HADIS KHULASA-

Jisne Ramzan me (10Din ka)

Etikaf kar liya

voh aisa he Jaise 2 hajj

aur

2 umre kiye

(SHUABUL IMAN 3)

ALLAH KE RAASTE ME EK DIN SARHAD KI HIFAAZAT ME GUZARNA..

DUNYA & US KI SAARI CHEEZO SE BEHTAR HAI.

(BUKHARI HADEES: 2892)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!