Hajj ke ehkam Hajj ki Hadees Hajj ki Sunnate
ALLAH Ta’ala ke 3 MEHMAAN Hai
->JEHAAD. Karne Waala
->HAJJ Karne Waala
->UMRAH Karne Waala
(Nisaai Sharif)
JO SHAKHS APNE GHAR SE HAJJ YA UMRA KI GARAZ Se NIKLE
AUR MAR JAYE TO USE QIYAMAT TAK HAJJ-O-UMRA KARNEWALE KA AJAR DIYA JATA RAHEGA
(Shoibul Iman)
SUNNAT:
HAJJ ko jate waqt
Aa’ina
Surma
Kangha
Miswak sath Rakkhe
Kyu Ki ye SUNNAT He
(Bahare Shariat,J-6)
Mas’ala:
Dikhawe ke liye HAJJ karna
aur Haraam maal se HAJJ ko Jana Haraam hai
(Bahare Shariat J6/P719)
HAJJ-o-UMRAH Karnewale ALLAH Ta’ala ke MEHMAAN Hai
Agar ALLAH se DUA Kare Tou us ki DUA QABOOL Karta Hai
(IBN-E-MAJA)
HAJI Apne Gharwalo Me se 400 ki Shafa’at karega aur Gunaho se Aisa Nikal Jayega Jaise Us Din Uski Maa ke Pet se Paida Hua
(BAHARE SHARIAT)
Jisne Hajj Kiya Aur Usne Na Behudgi Ki Or Na Fisko Fujur Ka Murtakib Hua To Wo Hajj Se Is Tarah Lota Goya Usko Uski MAA Ne Abhi Janam Diya
(Bukhari)
Makka Me Dua Qabul Hone Wali Jagah
>Multazim Karib
>Mizabe Rehmat ke Niche
>Rukne Yamani ke Karib
>Safa O Marwa ki Pahadi Par
>SafaO Marwa Ke Bich
>Rukne Yamani Or Makame Ibrahim Ke Bich me
>Baitullah Sharif Ke Andar
>Mina (Masjide Khaif) Me Arfaat Me
>3 Jamro Ke Karib
(Hadaiqe Bakhshish)
1 Umra Dusre Umra Tak Sarzad Honewale Gunah Ka Kaffara Ban Jata Hai
Aur
Hajj Ka Sawab Siwaay Jannat Ke Kuch Nahi
(BUKHARI)
Jo Shakhs (Hajj Farz Hone ke Baad)
Hajj Kiye Bager Mar Jaye To Wo Chahe to Yahudi Mare Or Chahe to Nasrani Mare
(Tirmizi jild:1 page:167)
Jo Shakhs (Hajj Farz Hone ke Baad)
Hajj Kiye Bager Mar Jaye To Wo Chahe to Yahudi Mare Or Chahe to Nasrani Mare
(Tirmizi jild:1 page:167)
Mas’ala:
Jis Shakhs Par HAJ Farz Ho Chuka Ho
Aur Usne Ada Nahi Kiya
to
Use HAJ-E-BADAL Ke Liye Bhejna MAKRUH-E-TAHRIMI He
(Bahare Shariat:j6/s111)
Jo Meri Ziyarat ke Liye Aaya
Siway Meri Ziyarat Ke or Kisi Matlab Ke Na Aaya To Mujh Par Haq He Ki Qayamat ke Din uski Shafa’at karu
(TBRANI)
NABI-E-Kareem Farmate He:
Jisne Hajj Kiya Aur Meri Wafaat Ke Baad Meri Qabr Ki Ziyarat Ki To Aisa He Jaise Meri (Duniyawi) Zindagi Me Ziyarat Ki
(TIBRANI)
Hajj Umrah Assalamualekum, JazakAllah Khair for this informative blog. May Allah bless you with this consistent knowledge and help you grow aswell as others grow by reading from it.
Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
JazakALLAHU Khair For Your Feedback & Precious Duas.
I am trying my best to make my web world's best Islamic web with true message of ALLAH Subhan Wa Ta'ala & His Messenger ﷺ. Keep Visiting & Sharing Our Web With All.