Hauz-E-Kausar Ke Malik Aur Shafi-E-Mehshar
Hazrat Anas Radiallahu Anhu se riwayat he ki Rasoole Kareem Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya ki (Meraj ki rat me) Jab me Jannat ki sair kar raha tha to Mera gujar ek nehar par hua jiske dono taraf kholdar moti ke Gumbad the. Maine pucha Jibrail ye kya he?
Unhone kaha “Ye kausar he jo aapke parvardigar ne aapko diya he. Mene dekha ki us ki mitti nihayat khushbudar khalis mushk ki he
(Bukhari Sharif)
Hazrat Abdullah ibne Amra Radiallahu anhu se riwayat he ki Sarkare Akdas Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya ke Mere Hauz-E-Kausar ki badhai 1 Mahina (ka Rasta) he uske 4 kone barabar he.
Uska pani dudh se jyada safed aur mushk se jyada meheknewala he.
Uske kuje chamak aur jyatdi me Aasman ke taro ki tarah he.
Jo shaks usme se piyepa fir kabhi pyasa na hoga.
(Bukhari sharif,Muslim sharif)
Hazrat Anas Radiallahu anhu se riwayat he ki maine Huzoor Akdas Sallalaho Alayhi Wasallam se Darkhwast ki ke Qayamat ke din meri Sifarish farmayi jaye.
Sarkar ne farmaya me karunga. Mene kaha Ya Rasoolallah ! Me aapko kaha khojunga?
Sarkar ne farmaya Pehle muzko Pulsirat pe khojna. Mene kaha agar Huzoor Pulsirat pe na mile to aapne farmaya Mijaan par,mene kaha agar huzoor Mijan par bhi na mile. Aapne farmaya Fir Hauz-E-Kausar par Me in 3 Jagaho ko nahi chodunga.
Yani in jagaho me se kisi 1 jagah jarur milunga
(Tirmizi)
Hazrat Auf ibne Malik Radiallahu anhu se riwayat he ke Nabi-E-Kareem Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
“Mere pas Allah Ta’ala ki tarafse 1 farishta aaya to usne muze ikhtiyar diya ki Ya me meri aadhi (Half) ummat jannat me jaye Ya me Shafa’at ko ikhtiyar karu.
To mene Shafa’at ko Manzoor kiya.
Meri Shafa’at har us shaks ke liye hogi ki jo is hal me mare ki usne kisi ko Allah Ta’ala ka Sharik na mana ho.”
(Tirmizi sharif)
Pul sirat:
Hazrat Abdullah ibne Mas’ud Radiallahu anhu se riwayat he ki Sarkare Do Jahan Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
Log Jahannam ki aag ko (Pul siraat se gujar kar) par karenge fir apne achhe achhe amal ke muwafiq Jahannam ki lapad wagaira se chutkara payenge.
To unme se jo subse ache honge wo Bijli chamakne ki tarah pul sirat se gujar jayenge fir Hawa ki tarah Fir Daudnewale ghode ki tarah,Fir Oont ki sawari ke tarah,Fir Daudnewale Aadmi ki tarah,Fir Paidal chalne ke misla
(Tirmizi Sharif)