Nikah

Nikah Meri Sunnat Hai

Mere Pyare Islami Bhai Behano Nikah Karna Sarkare Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnate Mubaraka Hai. Nikah Ke Fazilat Ke Talluqse Bohotsi Ahadees Sharif Mauzood Hai. Nikah Haramkari Se Bacha Kar Halal Ki Taraf Le Jata Hai. Nikah Karne Par Aadha Deen Muqammal Ho Jata Hai. Beshaq Islam Duniya Ka Sabse Afzal Mazhab Hai. Islam Me Mard Aur Aurat Dono Par Ek Dusre Ke Huqooq Hai Jinhe Ada Karna Unpe Wazib Hai. In Huqooq Me Kotahi Gunah Ka Sabab Hai. Lihaza Jin Logo Ko Ye Galatfehmi Ho Ke Huqooq Sirf Aurato Par Hi Hai Wo Apni Islah Kare. Aur Apne Biwiyo Ke Huqooq Ada Kare Warna Roz-E-Mehshar Is Gunah Ke Sabab Giraft Honge.

Yaha Aur Hamare Nikah Ke Page Aur Digar Posts Me Nikah Ke Masail Ba Hawala Bayan Kiye Gaye Hai. Inka Maqsad Awaam Ko Islami Tariqe Sikhana Aur Unki Islah Karna Itna Hi Hai. Agar Aapko Koi Bhi Sawalat Hai To Comment Kare Ya Hume Chat Plugin Ke Zariye Email Kare. Is Website Ka Adabo Ahtaram Kare Yaha Par Koi Bhi Gande Comments Na Kare. Masle Masail Bhi Adab Ke Dayre Me Reh Kar Hi Poochha Kare. Hume Rozana Bohot Sare Emails Aate Hai Isliye Jawab Me Agar Deri Ho Jaye To Mazhrat Chahta Hu. In sha ALLAH Aapke Masail Par Jawabat Diye Jayenge. Hamare Web Ko Khoob Share Kijiye Taki Logo Ki Islah Ho Aur Wo Sahi Deeni Tariqe Par Amal Kare Aur In sha ALLAH Iska Sawab Aapko Aur Hume Hasil Ho. Apni Duao Me Muz Nachiz Ko Bhi Yad Rakhe.

Noor-E-Mujassam, Rasool-E-Khuda, Habeeb-E-Kibriya,Nabi-E-Rehmat, Shafa-E-Mehshar, Fakhar-E-Do aalam, Fakhar-E-Bani-E-Aadam, Malik-E-Do Jahan, Khatmul Ambiya, Rehmatallil Aalamin, Tajdare Madina Rahat-E-Kalbo Sina, Janabe Ahmade Mujtaba, Muhammad Mustafa Sallalaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya:
“Nikah Meri Sunnat Hai”
(Ibne Maja, Jild 1, Hadees no 1913, Safa 518)

ALLAH Rabbul Izzat Irshad Farmata Hai:
“Aur Nikah Me Lao Jo Aurate Tumhe Khush Aaye”
(Tarjuma: Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 3)

Hazrate Sahal Bin Sa’ad Radiallahu anhu Se Riwayat Hai Ke Nabi-E-Kareem Sallalaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya:
“Nikah Karo Chahe (Meher Dene Ke Liye) Ek Lohe Ki Anguthi Hi Ho.
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 80, Hadees No 136)


Aur Irshad Farmate Hai Pyare Madani Aaqa Sallalahu Alayhi Wasallam:
“Bande Ne Jab Nikah Kar Liya To Aadha Deen Mukammal Ho Jata Hai
Ab Baki Aadhe Ke Liye ALLAH Ta’ala Se Daro”
(Mishkat sharif, Jild 2, Hadees No 2962, Safa 72)

Hazrat Abdullah Bin Masud Radiallahu Ta’ala Anho Se Riwayat Hai Ke Sarkar Sallalaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya:
“Aye Jawano Jo Tum Me Se Aurato Ke Hukooq (Haq) Ada Karme Ki Takat Rakhta Hai
To Wo Nikah Zaroor Kare Kyunki Nikah Nigah Ko Zukata Hai
Aur Sharmgah Ki Hifazat Karta Hai Aur Jo Iski Takat Na Rakhe To Woh Roza Rakhe Kyunki Ye Shahwat Ko Kam Karta Hai.
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 52, Tirmizi Sharif, Jild 1, Safa, 533)

Related Articles

3 Comments

  1. aap sa gujaresh he agar kutta khane ki plate mei muh daal de toh us plate ko kitne baar dhula jayega?
    namaz ki niyaat kis trha ki jay Quran aur shahih Hadees se saabit karoge?
    my id
    Altaf khan 79@yahoo.com

  2. Agar isi ka.nikah hua or gawah nai tha majburi thi par nikah sunni kazi ne padaya to kaisa.
    or usse jo baccha hua wo kaisa.
    Or iska kya hal hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!