Ramzan

Lailatul Qadr Yani Shab-E-Qadr ki Hadees

Hazrate Anas ibne Maalik radiallahu ta’ala anhu ne farmaya ki Jab Ramdan ka mahina shuru hua to Huzoor Alayhissalatu Wassalam ne farmaya ki yah mahina tum me aaya he. Aur isme ek rat aisi he jo hazar mahino se afzal he to jo shaks iski barkato se mehrum raha wah tamam bhalaiyo se mehrum raha aur nahi mehrum rakha jata iski bhalaiyo se magar wah jo bilkul benasib ho.
>Ibne Maja,Anwarul Hadees

Hazrate Aayesha Siddiqa radiallahu anha ne kaha ki Huzoor Swallalaho Alayhi Wasallam ne farmaya ki Ramzan ki aakhri dahai ki futkar rato me Shabe Qadra ko khojo.
>Bukhari,Anwarul Hadees

Hazrate Aayesha radiallahu anha ne farmaya ki maine Huzoor Swallalaho Alayhi Wasallam se pucha ki
“Ya Rasoolallah agar muzko Shab-E-Qadra malum ho jaye to me usme kya karu?”
Aapne farmaya ki yah dua padho
“Allahumm innak afooun tuhibbul afwa fa’afu anni”
Tarzuma: Aye Allah! Tu muaf farmanewala he. Muaf karna tuze pasand he to muze muaf farmade.
>Tirmizi,Anwarul Hadees

Hazrate Aayesha radiallahu anha ne farmaya ki Huzoor Swallalaho Alayhi Wasallam jitni ramzan ki dahai me Ibadat ke liye koshish karte the utni kisi dusre dahai me na karte the.
>Muslim,Anwarul Hadees

Hazrate Aayesha radiallahu anha se riwayat he ki Nabi-E-Kareem Swallalaho Alayhi Wasallam Ramzan ke aakhri 10 dino me Etiqaf kiya karte the yaha tak ki isi tarike par intikal farmaya.
>Bukhari,Muslim,Anwarul Hadees

Hazrat Anas radiallahu anhu ne farmaya ki Huzoor Swallalaho Alayhi Wasallam Ramzan ke aakhri 10 dino me Etiqaf farmaya karte the aur ek sal etiqaf nahi farmaya to dusre sal 20 din etiqaf farmaya
>Tirmizi,Abu Dawood,Anwarul Hadees

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!