Hadees

Ilm-E-Deen Sikhne Aur Sikhane Ki Fazilate

Hazrate Abdullah ibne Abbas Radiallahu anhu se marwi hai.
“Jo shaks meri ummat tak koi islami baat pohochaye taki usse sunnat kayam ki jaye ya usse Bad Mazhabi door ki jaye. To Wo Jannati Hai.”
(Kanzul Umaal)

Hazrate Sayyadna Anas Radiallahu anhu se riwayat he
“Baroze Qayamat subse jyada hasrat us shaks ko hogi jise Duniya me ilme deen hasil karne ka mauka mila magar usne hasil na kiya
(Ibne Isakar)

Ek Deeni Masla ke Musalman usko sikhe ek saal ki ibadat se behtar hai.
(Kanzul Umaal)

Hazrate Abu Huraira Radiallahu Anhu se riwayat he
“Hikmat (Shariat) ki ek bat sunna sal bhar ki ibadat se behtar hai”
(Ayzan, Faizan-E-Sunnat)

Khatmun Nabiyyin Sarware Qaynat Madine Ke Tajdar Swallalaho Alayhi Wasallam ka farmane aalishan hai
“Ek ghadi gauro fikra karna 60 sal ki ibadat se behtar hai”
(Tafsire Kabir)

Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ka irshad hai
“Mere Jaanshino par ALLAH ki rehmat ho.”
Arz kiya gaya
“Ya RasoolALLAH Aapke Jaanshin kon hai?”
Farmaya
“Jo meri sunnat se Mohobbat rakhte he aur use ALLAH ke bando ko sikhate he.”
(Tafsir-E-Kabir)

Sarkar-E-Do Aalam Sallalaho Alayhi Wasallam irshad farmate hai
“Ilme deen ki talab me jis ke kadam khak aalud ho.
ALLAH uske Badan ko Jahannam par Haraam kar dega
Aur ALLAH ke farishte uske liye Dua-E-Magfirat karenge
(Tafsir-E-Kabir)

Hazrate Abdullah ibne Umar Radiallahu Anhu se riwayat hai
“Jo shaks ilme deen ki talaash me hoga, Jannat uske talaash me hogi.
Aur jo shaks gunah ki talaash me hoga, Jahannam uske talaash me hogi”
(Kanzul Umaal)

To aaiye aap aur hum ilme deen sikhe aur sikhaye.
Aaj hi visit kare:
Humare Nabi
www.hamarenabi.com
Aur khub Sunnate wa Hadeese Nabvi sikhiye.
JazakALLAH khair
Apne rishtedar, dosto tak pohochaye wa sawab hasil kare.
Please forward to all Muslims

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!