Eid-E-Miladun Nabi

Huzoor ﷺ Ki Wiladat Ko Eid Kehna Kaisa

Aaiye Pahele Hum Eid Ka Matlab Samaj Lete Hai Eid Ka Lugvi Maina (Meaning) Hai Khushi Agar Koi Arabi Khushi Ka Lafz Arabi Me Kahega To Wo Yahi Kahega “Eid”
Ise Samjhane Ke Liye Quran Ki Ek Ayat Pesh e khidmat hai,
Al-Quran->
“Essa ibn-E-Mariyam ne Arz ki
Aye ALLAH !
Aye Rab Hamare !
Hum Par Aasman Se Ek Kuwan Utar Ke Woh (Kuwan Utarne
Ka Din) Hamare Liye Eid Ho,
Hamare Aglon Aur Pichlo Ki”
(Surah Maida Ayat 114)
( عزوجل  و  عليه السلام)
Is Ayat Se Maloom Hua Ke Jis Din Allah Ki Khass Rehmat Nazil Ho Us Din Ko Eid Manana Aur Khushi Manana Allah Ka Shukar Ada Karna Ambiya Ka Tarika Hai
Tabhi To Hazrat Essa عليه السلام
Ne Dua Mangi….
Aap Khud Faisla Kare Ke Jis Din
Hazrat Essa عليه السلام
Par Kuwan jaisi Nemat Utry
To Wo Unke Agly Aur Pichlon Ke Liye Eid Ho To Jis Din Sare Alam Ke Liye-o-Jahan Ke Liye Jo Zaat Rehmat Hai Unki Wiladat Ho To Us Din Musalmano K Liye Eid Yani Khushi Kaise Na Ho ?
<><><><><><><>
Tamaam Aashiqane Mustafa
(صل الله عليه وسلم)
ko Maah-E-Rabiunnoor Shareef Mubaraq ho!
Sarkaar ki Aamad Marhaba !

Aaqa-e-Kareem (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم) ne farmaya,

“Juma’a ka din sab dino ka sardar hai,
ALLAH ke nazdik sabse bada hai aur wo ALLAH ke nazdik “Eid-ul Azha” aur “Eid-ul Fitr” se bada hai.
ALLAH ne isme Hazrate
ADAM (عليه السلام) ko paida kiya, Isme Zameen par unhe utara Aur Isme Unhe wafat di.”
[Sunan Ibne Majah, Jild 2, Page No. 8,Hadith No. 1084]
Is Hadees me Teen khaslate Hazrate Adam (عليه السلام) ke liye bayan ki gayi jisme aap ki wafat-e-Zahiri ka bhi zikr hai,
to pata chala ki ek nabi ki paidaish unka zameen par utarna aur unki wafat ke din
ke bawajud bhi Mo’mino ke liye ALLAH ne use Eid bana diya….
Aur toh aur woh din Eid-ul-Azha aur Eid ul fitr se bhi afzal kar diya.
“Mairaj ki raat AAQA-e-kareem (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم)
ne tamam Anbiya ki imamat ki thi”
{sanan nisai, V:1, Page:221}
Jaisa ki hadees se pata chalta hai ki hamare Sarkar
(ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم)
tamam ambiya ke sardar aur Imaam hain….
unki tashrif aavari par hum us din ko kyun Eid na kahe,
balke hum tou use Eidon ki Eid
kahenge ki unki tashrif aavri ki wajah se hi tou hume baki Eid mili aur har hafte me ek eid karke pure saal me 52 Eidon (juma) ka tohfa mila woh isi “Rehmatallil Aalamin” ki tashrif aavari se mila hai tou hum kyun us din khushi na kare

Mushkil the jo raaste woh aasan ho agye,
Dushman bhi dekh kar hairan ho gaye,
Rakha Jab mere
Pyare NABI (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Jamane Me Qadam,
Paththar bhi Kalma Padh kar Musalman Hogaye…
HAZRAT-E-FATIMA BINTE ABDULLAH ( رضى الله تعالى عنه ) farmati hain,
“Huzoor Ki Wiladat Ke Waqt Maine Sitaaro Ko Dekha Ke Aasman Se Niche Utar Aaye Hai”
(MAWAHIBUL LADDUNIYA Jild 1,Safa 22)
HAZRAT-E-FAATIMA BINTE ABDULLAH ( رضى الله تعالى عنه )
Farmati hain,
“Huzoor ki wiladat ke waqt maine dekha ke saara ghar noor se pur tha”
(HUJJATULLAHI ALAL AALAMIN SAFA-227)
“Aaqa ki wiladat ke waqt aap ki walida ke pass aasman se 4 Auratein aayi,
1)Hazrat HAWWA
2)Hazrat SAARA
3)Hazrat HAAJRA
4)Hazrat AASIYA”
(TAFSIR-E-ALAM NASHRAH SAFA 95)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!