Aqaid-E-Ahle SunnatImaan

Huzoor ﷺ Ke Waldain Ka Iman Quran Wa Hadees Se

Aaj Ke Is Fitne Ke Daur Me Kuchh Log Hai Jinka Ye Baatil Galiz Aqeeda Hai Ke Hamare Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Waldain Ma’azallah Astagfirullah Nouzbillah Min Zaliq Ka Imaan Sabit Nahi Yani Unhe Kaafir Kehte Hai. Unka Kehna Hai Ke Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Waldain Huzoor Ke Ailan-E-Nabuwwat Se Pehle Is Duniya Se Parda Farma Liye The.

Ye Behad Afsos Ki Bat Hai Ke Ye Baatil Log Un Azeem Hastiyo Ko Mushrik Kehte Hai Ke Jinke Shazade Hamare Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Hai. Jinhe ALLAH Ta’ala Ne Rehmatallil Aalameen Banakar Bheja. Is Article Me Humare Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Waldain Ke Momin Hone Ke Chand Daleel Aapke Samne Pesh Kar Rahe Hai Jisse Logo Ki Islah Ho Sake Aur Wo Haq Ko Jane Aur Baatil Logo Ka Radd Kar Sake.

Tajjub Ki Bat Hai Ye Wahi Deobandi Wahbi Hai Jo Kafir Ko Kafir Kehne Se Hume Rokte Hai Lekin Jab Baat Sarkar-E-Do Aalam Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Aayi To Inke Walidein Ko Kafir Bolna Kya Apni Kitabo Me Likh Bhi Diya.

Ibn Taymiyah Jo 661 Hijri Me Paida Hua Mulk E Sham Me, Isne Ek Kitab Likhi, Iktsa Us Siraate Mustaqeem, Is Kitab Me Ibn Taymiyah Ne Bada Zor Lagaya Ke Nabi Alayhisssalam Ke Walidein Dono Kafir The Aur Unka Inteqal Kufr Per Hua.
Isi Tarah Deoband Ke Bahut Bade Alim Guzre Hai Jinka Naam Rasheed Ahmed Gangohi Hai,
Inhone Bhi Apne Fatwe Me, Yaani Fatawa Rasheediya Me Safa 104 Per Ek Sawal Ke Jawab Me Kaha Ke Hazrat Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Walidein Ke Imaan Me Ikhtelaf Hai, Hazrat Imam Sahab Ka Mazhab Yeh Hai Ke Inka Inteqal Halat E Kufr Me Hua Hai Faqat.
Maz’ALLAH Summa Maz’ALLAH.

Itna Galeez Aqeeda Jinka Ho Kya Ye Khud Musalman Hai? Aap Khud Sochiye. ALLAH Ta’ala Ne Sare Aalam Ke Liye Rehmat Bana Kar Nabi-E-Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ko Bheja. Jo Nabi Sare Aalam Ke Liye Rehmat Ho, Jinke Sadqe Imaan Ki Daulat Sabko Mili, Kya Wo Nabi Apne Waldain Ko Imaan Se Mehrum Rakhenge. Kya Ye ALLAH Ta’ala Ko Gawara Hoga Ki Uske Habeeb Ke Waldain Imaan Ki Daulat Se Mehrum Rahe. Hargiz Nahi. Nabi-E-Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Gharwalo Ki Shaan ALLAH Ajwazal Ne Quran-E-Kareem Me Bayan Farmayi Hai. Yaha Unke Chand Fazail Bayan Kar Raha Hu Taki Logo Ki Islah Ho Sake.

Zamana Fatrat Wo Zamana Hai Jis Me Koi Bhi NABI Na Aaye,
Jaise Hazrat Eisa Alaihissalam Se Le Kar Humare AAQA Sallallaho Alaihi Wasallam Tak!
SARKAR Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Waldain Bhi Isi Zamane Se The.
ALLAH Azwajal Farmata Hai
“Or Hum Azaab Karnewale Nahi Jab Tak RASOOL Na Bhej Den”
(Al Quran-E-Kareem Surah Bani Israel Ayat 15)
Jara Gaur Farmaye Jab Elaan E Nabuwat Hua Tab Nabi Alayhissalam Ke Walidein The Hi Nahi To Kafir Kaise Hue?
Phir SARKAR Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Waldain Par Kyu Azaab Aayega.

Hazrat YOUNUS Alaihissalam Ki Machhli (Fish) Jannat Me Jayegi,
Is Liye Ke Usne 40 Din Tak Hazrat Younus Alaihissalam Ko Apne Pait Me Rakha,
Agar Wo Machhli Jannat Me Ja Sakti Hai
To Jis MAA BiBi Amina Radiallahu Anha Ne 270 Din SARKAR Sallallaho Alaihi Wasallam Ko Apne Pait Me Rakha Kya Wo Jannat Me Nahi Jayengi?
(Tafseer Rohul Biyan Jild-5, Page-174)


Aayat No: 1

ALLAH TABARAK WA TA’ALA Quran-E-Kareem Me Farnarata Hai,

Aur Hum Azab Karnewale Nahi, Jab Tak Rasool Na Bhejle


(Surah Bani Israel, Para No 15, Aayat No 15, Tarzuma: Kanzul Imaan)

Is Aayate Karima Se Hume Saaf Maloom Hota Hai Ke Jab Tak ALLAH Ajwazal Rasool Ko Nahi Bhej Dete Tab Tak Kisi Par Azab Na Hoga. Aur Nabi-E-Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Waldain Ke Ailan-E-Nabuwwat Se Pehle Hi Aapke Waldain Is Faani Duniya Se Parda Farma Liye The. Lihaza Wo Jannati Huwe Ki Unhone Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Ailan-E-Nabuwwat Ke Zamane Ko Na Paya.


Aayat No: 2


Aur ALLAH to Yehi Chahta Hai
Aye Nabi Ke Ghar Waalo Ke Tumse Har Napaki Ko Khoob Door Farmade
Aur Tumhe Paak Karke Khoob Sutra Farma De


(Surah Ahzaab Ayat 33, Tarzuma: Kanzul Imaan)

Is Aayate Karima Me ALLAH Ajwazal Apne Habeeb Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Gharwalo Ke Paki Ka Bayan Farma Raha Hai. Aur Yahi Unke Imaan Ki Bhi Daleel Hai. Dusri Aur Quran-E-Kareem Me Kaafiro Ke Napak Hone Ka Bhi Bayan Ham Dekh Sakte Hai.


Aayat No: 3

ALLAH Ta’ala Quran-E-Kareem Me Irshad Farnata Hai,

Aye Imaanwalo Mushrik Nire Napaak Hai


(Surah Taubah, Ayat 28, Para No. 10, Tarzuma: Kanzul Imaan)

Is Aayate Karima Me ALLAH Subhan Wa Ta’ala Ne Bayan Farma Diya Ki Kaafir Napaak Hai Aur Picchli Aayat Me Humne Dekha Ki Nabi-E-Karim Rauf-O-Rahim Rehmatallil Aalameen Khatamun Nabiyyin Sayyadul Ambiyail Mursalin Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Gharwale Yani Ahle Bait-E-Athar Ki Paaki Ki Gawahi ALLAH Ta’ala De Raha Hai. Jisse Khoob Roshan Hota Hai Ke Aapke Waldain Bhi Imaanwale Hai.


Hadees No: 1

Hazrat Abu Huraira Radialla Taala Anhu Se Riwayat Hai Rasoollah Sallallaho Alaihi Wasallam Farmate Hain:
Har Qarn-O-Tabqa Me Tamam Quroon Bani Aadam Ke Behtar Se Mai Bheja Gaya,
Yahan Tak Ki Us Qarn Me Hua Jisme Paida Hua.

(Saheeh Bukhari Kitabul Manaqib, Baab Sifatun Nabi Sallallaho Alaihe Wasallam Jild 1 Pg.503 Hadees 3557)

Yaani Aap Behter Qarn Me Paida Hue,
Qarn Kehte Hai Zamane Ko,
Is Hadees Se Yeh B Malum Hota Hai K Jis Pusht Me Nabi Alayhissalam Thay Wo Zamana Behter, Wo Tabka Behter Yaani Wo Shaks Behter Aur Agar Apke Walidein Kafir Hote Toh Yeh Fakr Ki Baat Nabi Alayhissalam Kabhi Nahi Karte.


Hadees No: 2

Hazrat Muttalib Ibn Wadaa Radialla Taala Anhu Se Riwayat Hai
Nabi Alayhissalam Ke Paas Hazrat Abbas Apke Chacha Aaye Aur Kaha K Baaz Kafir Apke Baare Me Galat Jumle Kehte Hai,
Aapne Pura Kaha Bhi Nahi Aur Nabi Alayhissalam Ne Jaan Liya Aur Fir Mimber Per Tashreef Le Gaye Aur Farmaya
Me Kaun Hu ?
Sahaba Ne Arz Kiya
Aap ALLAH K Rasool Hai,
Aap Alayhissalam Ne Farmaya
Me Muhammad Hu Abdul Muttalib Ka Beta,
Aur Jab ALLAH Ta’ala Ne Makhlooq Ki Takheeq Farmayi
Aur ALLAH Ne Mujhe Behtareen Makhlooq Me Mujhe Maboos Kiya
Aur ALLAH Ne Makhlooq K 2 Hissey Kiye,
1 Ko Arab 1 Ko Ajam,
Aur Mujhe Behtareen Hissey Me Maboos Farmaya Yaani Arab K Andar,
Aur Fir ALLAH Ne Isme Qabile Banaye,
Aur Behtareen Qabilo K Andar Mujhe Sabse Behtareen Qabile Me Maboos Kiya,
Aur In Behtareen Qabilo Me Behtareen Ghar Banaye,
Fir In Behtareen Me Sabse Behtareen Ghar Me Mera Intekhab Kiya,
Aur Behtareen Ghar Me Behtareen Nasab Ka Intekhab Kiya,
Toh Zahiran Bhi Tumse Behter Hu Aur Batinan Bhi Tumse Behter Hu.

(Tirmizi Jild 5 Safa 543 Kitabut Dawat Hadees 3532
Is Hadees Ko Imam Tirmizi K Alawa
Musnad E Ahmed Me Jild 1 Safa 210 Hadees 1788
Imam Haythami Ne Majmua Uz Zawaid Jild 8 Safa 216
Imam Behqi Ne Dalail Un Nabuwa  Jild 1 Safa 179
Imam Hussamuddin Hindi Ne Kanzul Ummal Me  Jild 11 Safa 415 Hadees 31950
Imam Tirmizi Ne Iski Sanad Ko Hasan Kaha Hai)

Is Hadeese Pak Se Ye Khoob Wajeh Ho Gaya Ki Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Paidaish Afzal Gharane Me Hui. Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Jab Bhi Apna Tarruf Bayan Kiya To Badi Shaan Wa Fakr Se Apme Walid Ka Zikr Kiya. Agar Ma’azallah Unke Waldain Kaafir Hote To Nabi-E-Kareem Kabhi Bhi Apne Nam Ke Sath Unke Waldain Ka Zikr Na Farmate.
Jo Kisi Nabi Alaihissalam Ka Nafarman
Kaafir Ya Mushrik Ho Jaye
Uska NABI Alaihissalam Se Koi Rishta Nahi Rehta.
Jaise Hazrat Nooh Alaihissalam Ka Baita Kinaan Kafir Ho Gaya,
To ALLAH Ta’ala Ne Farmaya
“Aye Nooh! Iska Tumhare Sath Koi Talluq Nahi”
Isi Tarah Agar Nabi-E-Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Waldain Bhi Naozbillah
Mushrik Hote To Unka Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Sath Koi Talluq Na Rehta
Magar Nabi-E-Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam To Fakhar Se Apne Walid Ka Nam Bayan Farmate Jaisa Ki Humne Hadeese Pak Me Dekha.

Ab Aaiye Ek Aur Aayate Karima Par Nazar Dalte Hai,


Aayat No: 4

ALLAH Ta’ala Quran-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai,

ALLAH Khoob Janta Hai Jahan Apni Risalat Rakhe


(Surah Al In’aan, Ayat 124, Para No. 10, Tarzuma: Kanzul Imaan)

Is Aayate Mubaraka Me ALLAH Ajwazal Farmata Hai Ke Wo Khoob Janta Hai Ke Jaha Wo Apni Risalat Rakhe Yani Rassol Ko Bheje. Khud Nabi-E-Kareem Rauf-O-Rahim Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Bhi Apne Khandan Ke Afzal Hona Bayan Farma Diya Jo Humne Ahadeese Pak Se Jana. ALLAH Ta’ala Apne Habeeb Sallallaho Alaihi Wasallam Ko Badtareen Makhluq Me Paida Farmaye Aisa Hargiz Nahi Ho Sakta. Ab Jo Log Aisa Galeez Aqeeda Rakhte Hai Dar Asl Wo Munkir Hai ALLAH Ta’ala Aur Uske Habeeb Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Farman Ke.

Quran Kehta Hai Ke Agar Koi Kafir Ajaye To Nasab Cut Jaata Hai Aur Nabi Alayhissalam Ne Apna Nasab Juda Nai Karte Farmaya To Goya Bata Rahe Hai K Hazrat Adam Alayhissalam Tak Apke Nasab Me Koi Kafir Tha Hi Nai, Sab Musalman.

Hadees No: 3

Isi Tarah Nabi Alayhissalam Ne Apna Nasab Abdul Muttalib Se Bataya Hai,
Agar Kafir Hote Dada Toh Kya Aap Alayhissalam Nasab Batate?
Samae’en Hawala Note K Kin Kin Ahadees Me Nabi Alayhissalam Ne Apna Nasab Bataya Aur Kaha Ke Me Beta Hu Abdul Muttalib Ka.

(Sunan Ibn Majah Hadees 4087 , English Book 36 Hadees 162
Sahih Bukhari Hadees 4316 , English Book 64 Hadees 347
Jami Tirmidhi Hadees 1688 , English Book 23 , Hadees 19
Sahih Bukhari 2874 , English Book 56 , Hadees 90
Sahih Bukhari 4315 , English Book 64 Hadees346
Sahih Bukhari 2930 , English Book 56 , Hadees 143
Sahih Bukhari 2864 , English Book 56 , Hadees 80)

In Tamam Hadees Me Nabi Alayhissalam Ne Farmaya Ke Aap Alayhissalam Abdul Muttalib Ke Bete Hai, Agar Kafir Hote Toh Quran Ki Ayat Per Amal Karke
Apna Nasab Cut Karlete Lekin Aap Alayhissalam Ne Bata Diya Ke Aapke Nasab Kafir Nahi Tha.

Is Unwan Par Khoob Dalail Mauzood Hai. Par Sabka Yaha Par Likhna Munasib Nahi Hai. Lihaza Chand Aham Dalail Aapke Samne Pesh Kiye Gaye. Ahadeese Pak Hai Ke Maa Ke Qadmo Me Jannat Hai. Or Sari Maain Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Ummati Hain. Agar Ek Aam MAA Ki Ye Shaan Hai To Kya Huzoor Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Apni MAA Jannati Na Hongi. Hazrat MARIYYAM Jannati Hai. Kya Huzoor Sallallaho Alaihi Wasallam Ko Ye Gawara Hoga Ke Hazrat Isa Alaihissalam Ki Walida Ko Jannat Me Dekhain
Or Apni Walida Waha Nazr Na Aayin? Gaur Farmaye. Agar Itne Dalail Ke Bawazood Bhi Kisi Ke Dil Me Ye Shak Shubah Ki Jagah Ho To Samajhle Ke Unka Dil Syah Kala Pad Chuka Hai. Aur Inke Dil Par Kufr Ki Muhar Lag Chuki Hai. Lihaza Aise Bad Aqeeda Logo Se Door Rahe. ALLAH Ta’ala Humare Imaan Ki Hifazat Farmaye Aur Imaan Par Khatma Nasib Farmaye. Aur Apni Tamam Umar Khatamun Nabiyyin Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Ahle Bait Ki Tazim Wa Taukir Wa Gulami Me Guzarne Ki Taufiq Ata Farmaye.
Aameen.
Awwal Aakhir Durood.

Aalahazrat Imame Ahle Sunnat Rehmatullah Alaihi Kya Khoob Farmate Hai,

Teri Nasl-E-Pak Me Hai Bachcha Bachcha Noor Ka,
Tu Hai Ain-E-Noor Tera Sab Gharana Noor Ka

Related Articles

2 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!