Hadees

Ahle Bait Ki Fazilat

Nabi-E-Paak Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Hazrat Imaam Hussain (RadiAllahu Anhu) Se Kaha Ke
“Beta Tumhari Shaan Ye Hai Ke
Jab Tum Sote The To Tumhara
Jhoola Jibrail (Alaihis salam) Jhulate The
Is Pe Hazrat Imaam
Hussain (Radi Allahu Anhu) Ne Poocha Ke
“Nanajaan Ke Kiya Is Se Zyada Bhi Kisi Ki Shaan Hai?????
AAP Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya.
“Haan Hai”,
Is Se Zyada Shaan Tumhare Baba Hazrat Ali (Radi Allahu Anhu) Ki Hai,
Kyun Ki Jab Hazrat Ali (Radi Allahu Anhu) Sote The To,
“Unka Jhoola Khud
Main MUHAMMAD Sallallahu Alaihi Wasallam Jhulate The
SUBHANALLAH
Hazrat Miswad Bin Makhzamah Radiyallahu Ta’Aala Anhu Se Riwayat He Ke
Rasulullah Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Farmaya:
Fatema Mere Jasade Anwar Ka Hissa He.
Jisne Usse Gussa Dilaya Usne Mujhe Gussa Dilaya
(Bukhari Jild 2 Safa No.406 Hadith No.909)
Rasool-E-Khuda Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya He Ke
Fatema Jannati Aurto Ki Sardar He
(Bukhari Jild 2 Safa No.419)
Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Fatema Mere Jasade Anwar Ka Ek Hissa He.
Bas Jisne Use Naraz Kiya
Usne Mujhe Naraz Kiya
(Bukhari Jild 2 Safa No.419 Hadith No.954)
Hadees :
Farman-E-Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam:
“Mai Jiska Maula Hu,
Ali Bhi Uska Maula
Hai.
Ali Mujhse Hai Aur Mai Ali Se Hu.
Ali Har Momin Ka Dost Aur Madadgar Hai”.
(Tirmizi Sharif)
Huzoor-E-Akram Sallalaho Alaihi Wasallam) ne irshad
farmaya
“Ali se Mohabbat Iman ki
Nishani  he
Aur
Ali se Nafrat Munafiqat ki Nishani he
(Sahih Muslim, v1, p48,
Sahih Tirmidhi, v5, p643,
Sunan Ibn Majah, v1,p142,
Musnad Ahmad Ibn Hanbal v1, pp 84,95,128,
Tarikh al-Kabir, by al-Bukhari (the author of Sahih),v1, part 1, p202,
Hilyatul Awliya’, by Abu Nu’aym, v4, p185,
Tarikh, by al-Khateeb al Baghdadi, v14, p462)
Hazrat Ibne Umar
(Radiyallahu Anhu) Ka Bayan He Ke
Hazrat Abu Bakr Siddiq
(Radiyallahu Anhu) Ne Farmaya,
“Muhammad RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki
Khushnudi Aapke Ahle Bait Ki Muhabbat Me Hai”
(Sahi Bukhari Jild 2 Safa
No.415)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!