Maa Ka Martaba Aur Maa Ki Be-Karaari
Maa Ki Be-Karaari
» Hiqayat :
Ek Gulam-Sipahi Tha Fauj Ka Jiska
Naam Abu Mansur-Subkatgin Tha!
Ghar Me Bahoat Tangi Thi,
Uske Paas Ek Ghoda Tha Jisper Sawaar Hokar Yeh Kabhi-Kabhi Shikaar Khelne Chala Jata!
Shikaar Mil jata Toh Ghar Me Kuch Khana-Pina Ho jata Tha!
Na Milata Toh Ghar Me Faaka Hota!
Ek Baar Yeh Shikaar Ki Niyat Se Ja Raha Tha
Ki Isne Ek Heerni Ko Dekha
Jiske Sath Chotasa Baccha Tha!
Usne Apna Ghoda Jo Uske Piche Daudaya
To Heerni To Bhaag Gayi Magar Chhota Baccha Na Bhaag Saka
To Isne Uss Bacche Ko Pakad Liya!
Jab Maa Ne Dekha Ki Mere Bacche Ko Iss
Aadmi Ne Pakad Liya, To Bhaagti Hui Heerni Fir Wapas Aagayi
Aur Usne Iske Karib Aaker Apni Iss Be-Karaari Ka Izhaar Karna Shuru Kar diya!
Aasmaan Ki Taraf Mooh Uthati Thi Aur
Dard Bhari Awaaz Nikaalti Thi!
Yeh Rahem Dil Insan Tha Samajh Gaya Ki
Yeh Maa Be-Karaar Hai,
Ki Mera Beta Iss Shikaari Ke Hath Me Chala Gaya!
Lihaza Isney Uske Be-Karaari Ko Dekhte Hue Uske Bacche Ko Chhod Diya!
Wo Maa Apne Bacche Ko Lekar Chali Gayi!
Yeh Wapas Aaya,
Raat Ko Soya Toh Khwab Me Usko Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihai Wasallam Ka Dedaar Nasib Hua!
Huzoor Sallallahu Alaihai Wasallam Ne Irshad Farmaya Ki,
“Tune Ek Maa Ki Be-Karaari Ko Dekhker Usper Reham Khaya!
Yeh Tera Amal Allah Ko Itna Pasand Aaya
Ki Allah Ta’ala Tujhe Duniya Ka Taaj Ata Farmayega
Aur Tune Uska Beta
Wapas Kiya Uske Badle Allah Ta’aala Tujhe Beta Ata Farmayega”,
Lihaza Uske Yahan Beta Hua
(Baroz-Jumerat, 10 vi Muharram, 361-Hijri/
November 2, 971 AD) Jiska Naam
*Sultan Mehmood Gaznawi*
Rakha Gaya Jo Pure Hindustan Ka
Faateh Bana Aur Allah Rabbul Izzat Ne
Iss Garib (Abu Mansur Sabuktigin-
Turkey- Ek Gulam Sipahi) Ko Ek
Baadshah Ka Baap Ban’ne Ki Taufiq Ata Farmayi!
– (Sukoon-E-Khana, Page-220)
» Sabak:
Agar Jaanwar Jaisi Maa Ki Be-Karaari Ka Khayaal Rakha Jaye
Toh Insan Ko Duniya Ki Shahi Milti Hain!
Yeh Naujawaan Bacche Aur
Bacchiyan Yeh Baat Samazle Ki Agar
Apni Maa Ki Be-Karaari Ke Dauraan Uske Sath Mohabbat Ka Muamla
Karoge
Toh Allah Ta’aala Unhe Duniya Aur Deen Ki Baadshahi Ataa Farmayega!
Allah Ta’ala Hamari Kotahiyon ko
Darguzar Farmaye Aur Hume Nekon-
Kaari Aur Parhezgari Ki Zindagi Ata
Farmayen!
“Aameen Ya Rabbul Aalameen”
Awwal Aakhir Durood
MAA. MAA. MAA
*Ek Aisi Hasti Hai*
*SAMANDAR NE KAHA*
MAA
Ek Aisi Hasti Hain
Jo Aulad Ke Lakho Raaz.
Apne Seene Mein.
Chhupa Leti Hain.
*Dua NE KAHAN*
MAA
Wo Shaksiyat Hain
Jo Har Waqt
Aulad Ke Liye Dua
Mangti Rehti Hain
*JANNAT NE KAHAN*
MAA
Wo Hasti Hain
Jo Main Bhi Uske
Qadmon Tale Hoon
*GHAR NE KAHAN*
MAA
Wo Hasti Hain
Jiske Bagair Main.
Kabristaan Hoon
*KHUSHBU NE KAHAN*
MAA
Wo Hasti Hain
Jiske Khushbu
Se Sara Jahan
Mahek Uthta Hain
*ALLAH Tala Ne Farmaya*
MAA
Wo Shaksiyat Hain
Jo Meri Taraf Se
Nayab Tohfa Hain
VALUE & RESPECT UR
M O T H E R
A. L. W. A. Y. S.