Ramzan

Zakat Ke Masle Masail

Sone Ka Nisab 7.5 Tola Hai Aur Chandi Ka Nisab 52.5 Tola Hai.
Sona Chandi Me 40 Wa Hissa Nikal Kar Zakat Ada Karna Farz Hai.
Yeh Jaruri Nahi Ke Sone Ki Zakat Me Sona Aur Chandi Ki Zakat Ne Chandi Hi Di Jaye Balki Yah Bhi Jaiz Hai Ki Bazar Bhav Sona Chandi Ki Kimat Laga Kar Rupaya Zakat Me De.
(Kutube Fiqah)
Aadmi (Mard Ya Aurat) Jinki Aulad Me Khud He Yani Maa Baap, Dada Dadi, Nana Nani Ya Jo Apni Aulad Me He Yani Beta, Beti, Pota, Poti, Nawasa, Nawasi Aur Shauhar Wa Biwi In Rishto Ke Siwa Apne Jo Aziz Hazatmand Ho,
Masrafe Zakaat he. Apne Maal Ki Zakaat Unhe De.
Jaise Bhai Behen, Bhatija Bhatiji, Bhanja Bhanji, Mamu, Khala, Chacha, Fufi, Ki Inhe Dene Me Duna Sawab Hai Aur Nafs Par Boz Bhi Kam Hoga.
Ki Apne Sage Bhai Ya Bhatije Bhanje Ko Diya Hua Aadmi Apne Hi Kam Me Uthna Janta Hai.
Fir Yah Bhi Kuch Jaruri Nahi Ki Unhe Zakat Jata Kar De Balki Dil Me Zakat Ki Niyat Ho Aur Unhe Eidee, Shadiyo Ki Rasme, Chahe Kisi Bat Ka Nam Karke,
Us Rakam Ka Maalik Karde Zakat Ada Ho Jayegi.
(Fatwae Razviya)
Bahu Aur Damaad Aur Sauteli Maa Ya Sautele Bap Ya Shauhar Ki Aulad Jo Uske Pet Se Nahi To In Subko Aurat Zakaat De Sakti He.
Yuhi Shauhar Apni Biwi Ki Aulad Ko Jo Iske Nutfe Se Nahi, Zakaat De Sakta He.
(Raddul Muhtar)
Sone (Gold) Ka Nisab Sadhe Sat(7.5) Tola he Aur Chandi (Silver) ka Nisab Sadhe Bawan(52.5) Tola he.
(Sunni Bahishti Zewar)
Shariate Mutahra Ne Sona Chandi Ke Nisab Par Hazate Asliya (Jiski Taraf Zindagi Basar Karne Me Aadmi Ko Jarurat He)
Jaise Rehne Ka Makaan, Kapde, Khanadari Ka Saman, Sawari Ke Janwar Ya Motar Wagaira Se farig Ho.
Chahe Wah Rupaya Asharfi Ho Ya Gehna Zewar Ya Bartan. Khwah Inka Istemal Jaiz Ho Ya Najaiz,
Jab Nisab Par Chandi Ke Hisab Se Barah Mahine Guzar Jayenge Yani Jis Din Tarikh Waqt Par Aadmi Sahibe Nisab Hua Jab Tak Nisab Rahe Wahi Din Wahi Tarikh Wahi Waqt Jab Aayega Usi Waqt Kamri Saal (Chandi Ka Saal) Ka Us Par Guzar Jana Samza Jaye Aur Zakaat Ada Karna Fauran Wazib Hoga.
Ab Use Ada Karne Me Jitni Der Lagayegi Gunahgar Hogi.
(Sunni Bahishti Zewar)
Wah Zewar Jo Aurat Ki Milkiyat he,
Uski Zakaat Hargiz Shauhar Ke Jimme Nahi.
Agarche Wah Jyada Maal Rakhta Ho.
Na Us Zewar Ki Zakaat Na Dene Ka Shauhar Par Koi Wabal Wa g
Gunah.
Ha Munasib Tarika Par Tambih Wa Taaqid Karde Aur Use Samzaye Ki Zakaat Na Dena Kitna Bada Gunah He.
Aur Wah Zewar Ki Shauhar Ne Aurat Ko De Diya Aur Uska Milk Kar Diya Us Par Bhi Yahi Huqm He.
Aur Agar Milk Na Kiya Balki Apni Hi Milk Me Rakha Aur Aurat Ko Sirf Pehenne Baratne Ko Diya Jaise Kuch Gharaano Ka Riwaz He To Beshaq Uski Zakaat Mard Ke Jimme Hai.
Jabki Khud Ya Dusre Maal Se Mil Kar Nisab Ke Barabar Ho Aur Hazate Asliya Se Farig.
(Fatwae Razviya)
Saal Bhar Tak Khairat Karti Rahi Ab Zakaat Ki Niyat Ki Ab Tak Jo Kuch Diya Hai Wah Zakaat Hai To Yah Niyat Mot’abbar Nahi.
Lihaza Zakaat ada na hui. Zakaat Dete Waqt Ya Zakaat Ke Maal Alaahida Karte Waqt Niyate Zakaat Shart Hai.
(Sunni Bahishti Zewar)
Yadi Kisi Ke Pas Sona Chandi Ya In Dono Ke Zewarat Ho Aur Sona Chandi Me Se Koi Bhi Nisab Ke Barabar Nahi To Chahiye Ke Sone Ki Kimat Ki Chandi Ya Chandi Ki Kimat Ka Sona Farz Karke Dono Ko Milaye Fir Yadi Milane Par Bhi Nisab Ke Barabar Na Ho To Zakat Nahi Aur Yadi Sone Ki Kimat Ki Chandi Chandi Me Milane Par Nisab Ho Jata Hai Aur Chandi Ki Kimat Ka Sona Sone Me Milaye To Nisab Barabar Nahi Hota To Waajib Hai Ki Jis Surat Me Nisab Pura Ho Jata Ho Wah Kare.
(Durre Mukhtar)
Tijarati Maal Ki Kimat Lagai Jaye Fir Isse Yadi Sone Ya Chandi Ka Nisab Pura Ho To Uske Hisab Se Zakat Nikali Jaye. Yadi Sona Chandi Na Ho Na Maal-E-Tijarat Ho Balki Kewal Note Aur Rupaye Paise Ho To Kamse Kam Itne Rupaye Paise Ya Note Ho Ki Bazar Me Unse 7.5 Tola Sona Ya 52.5 Tola Chandi Kharidi Ja Sakti Ho To Wah Aadmi Sahibe Nisab Hai.
Usko Note Aur Rupayo Paiso Ki Zakat 40 Wa Hissa Nikalna Farz Hai. Yadi Sal Me Nisab Pura Ya Aakhir Sal Me Bhi Nisab Pura Raha. Bich Me Kuch Dino Maal Ghat Kar Nisab Se Kam Rah Gaya To Yah Kami Kuch Asar Na Karegi Balki Usko Pure Maal Ki Zakat Deni Padegi
(Fatwa-E-Aalamgiri)
ALLAH KE LIYE MAAL KA EK HISSA JO SHARIAT NE TAY KIYA USKA MUSALMAN FAQEER KO MAALIK BANA DENA SHARIAT ME ZAKAT KEHLATA HAI
(FATAWA-E-AALAMGIRI) 
MASLA:
Kisi GARIB Ke Zimma Rupya Baaqi He
To Use Maaf Karne Se ZAKAAT Ada Nahi Hogi.
(BAHARE SHARIAT)
MASLA:
ZAKAAT Dene Me Ye Kehna Zaroori Nahi Ke Ye ZAKAAT Hai,
Sirf ZAKAAT Ki NIYYAT Kar Lena Kaafi Hai.
(Fatawa Aalamgiri)
JIS NE APNE MAAL KI ZAKAAT ADA KAR DI
TO BESHAQ ALLAH TA’ALA NE USSE TAKLIF KO DOOR FARMA DIYA
(HAAKIM) 
MAS’ALA:
MAAL-E-TIJARAT JISKI QIMAT NISAAB KO PAHUNCHE
US PAR BHI ZAKAAT WAAJIB HAI.
(BAHAR-E-SHARIAT) 
ZAKAT FARZ HONE KI SHARTE,
1.Musalman hona
2.Baligh
3.Sahibe Nisab
4.Aaqil
5.Aazad
6.Mal Pe Ek Sal Guzar Jana
7.Qabiz Hona
(Aalamgiri.1: 160) 
SONE Ke KANGAN Pahanne Wali AURTO Kya Tum Pasand Karogi
Ke
ALLAH Tumhe AAG Ke KANGAN Pahnaye?
To Tum In ZEWARO Ki ZAKAT Ada Karo
(Tirmizi) 
MAS’ALA:
KISI GAREEB KE ZIMMA RUPYA BAAQI HAI
TO USE MAAF KARNE SE ZAKAT ADA NA HOGI
(BAHAR-E-SHARIAT) 
SAAL BHAR KHAIRAT KARTA RAHA
&
BAAD ME NIYYAT KI KE JO DIYA WO ZAKAT HAI
TO
IS TARAH ZAKAT ADA NA HUYI
(AALAMGIRI) 
JIN ZEWRAT KI MALIK AURAT HO
CHAHE
MAIKE SE LAYI HO
YA
USKE SHOHAR NE DEKAR MALIK BANAYA HO
TO
UNKI ZAKAT ADA KARNA AURAT PAR FARZ HAI
(Fatwa-E-Razviya) 
MAS’ALA:
ZAKAT KA MAAL DETE WAQT
YA
ALAG KARTE WAQT ZAKAT KI NIYAT HONA ZARURI HAI
NIYAT KE MAANA:
AGAR KOI PUCHHE TO
BATA SAKE
(AALAMGIRI) 
Kuch Aurate Pyare Aaqa Swallalaho Alayhi Wasallam ki khidmate wala me sone (Gold) ke kangan pehne hazir hui. Huzoor ne farmaya inki zakaat dogi?
“Arz kiya na.”
Aapne farmaya
“Kya chahti ho ki ALLAH TA’ALA tumhe Aag ke kangan pehnaye?”
Arz kiya nahi.
Aapne farmaya
“to zakaat do”
(Tirmizi Sharif)

Donate Your Zakat To Hamare Nabi Blog.

Related Articles

2 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!