Muharram

Muharram Ke Roze Ki Fazilate Aur Aashure Ka Roza

Hazrate Abdullah Bin Abbas (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Jab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Madine Me Tashreef Laye To Yahudiyon Ko Dekha Ki Ashure Ke Din Ka Roza Rakhte Hai,
Logo Ne Unn Se Pucha Ki Kyon Roza Rakte Hai?
To Unhoney Kaha Ki
‘Ye Wo Din Hai Jab Allah Ta’ala Ne Hazrate Musaa (Alaihissalam)
Aur Banee Israeel Ko Firoun Par Galba (Victory) Diya Isliye Aaj Hum Rozedar Hain,
Iski Taazaim Ke Liye’!
To Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya: “Hum Tum Se Jyada Dost Hain Aur Kareeb Hain Musaa (Alaihissalam) Ke, Phir Hukm Diya Aap
(Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Iss (10 Muharram) Roze Ka.(Sahih-Muslim, Vol-3, Book-6 (Roze Ka Masayel), Hadees-2656)

Hazrate Abu Hurairah
(Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Ek Sahib Rasool’Allah (Sallallahu Alaihai
Wasallam) Ki Khidmat Me Hazir Hokar Arz Karney Lagey Ki,
“Ramzan Ke Baad Sabse Ziyada Fazilat Kaun Se Rozo Ki Hai?
To Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya
“Allah Ka Mahina Jise Tum Muharram Kahte Ho”.
(Sunan Ibn Majah, Vol-1, Hadees 1742 Sahih)

Hazrate Abu Hurairah
(Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya
“Sab Rozo Me Afzal Ramzan Ke Baad Muharram Ke Roze Hain, Jo Allah Ka Mahina Hai Aur Baad Namaz-E-Farz Ke Tahajjud Ki Namaz Hai”.
(Sahih Muslim , Vol-3, Hadees 2755)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!