Kya Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Milad Manaya?
Hazrat Abu Qatada رضی الله عنہ Se Riwayat Hai,
Rasool-E-Karim صلی اللہ علیہ وسلم
Se Peer Ka Roza Rakhne
Ke Bare Me Sawal Kiya Gaya To Aap صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaya ki,
“Isi Din Meri Wiladat Hui Aur Isi Din Mujh par Quran Nazil Hua”
(Sahih Muslim Jild 2.Hadees No 819 .Safa 1162)
(Nasai Al Sunane Kubra Jild 2 Hadees 146, Safa 2777)
“Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Ke Zamane Me Masjid-E-Nabwi
Me Milaad Huyi Isme Khud
Aaqa-e-Kareem صلی اللہ علیہ وسلم
ne Apni Wiladat Ke Fazail Bayan kiye.”
(Tirmizi Sharif, Jild 2 Safa 201)
“Khud Nabi-e-Kareem صلی اللہ علیہ وسلم Ne Apne Milaad Par ALLAH عزوجل Ka Shukra Bajaa Lane Ki talkin Farmayi Aur Targib Di”
Hadees taweel (badi) hai
Poori Tafseel Neeche diye gayi hadeeson ki kitabon main check ki jaa sakti hai
(Muslim Sharif, Jild – 2, Safa – 819)
(Nisaai Sharif, Jild – 2, Safa – 147)
(Baihaqi Sharif, Jild – 4, Safa – 286)