Hadees

Kisi Ki Zameen Aur Property Par Najaiz Kabza Haraam Hai

Assalamu Alaikum Dosto,
Aaj Ke is Daur Me Insan Ki Niyat Badi Kharab Ho Gayi Hai.
Bhai Apne Bhai Ka Haq Kha Raha Hai.
Aksar Log Apne Bhaiyo Ke Property Par Kabza Kar Khood Aisho Aaram Ki Zindagi Basar Kar Rahe Hai.
Aise Logo Ko Khaufe Ilaahi Hai Hi Nahi.
Yaha Zindagi To Unki Aisho Aaram Me Nikal Jayegi Par Yaqeenan Aakhirat Me Unhe Zillat Aur Rooswai Hi Milegi.
Aur Waha Nekiyo Ka Sauda Hoga.
ALLAH Sabko Nek Taufiq De
Aameen

Hadees E Mubaraka
Hazrat Saalim RadiAllahu Ta’Ala Anhu Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ke,
Nabi-E- Kareem (Sallallahu Alayhi
Wassallam) Ne Farmaya Ke,
“Jo Shaksh Doosre Ki Zameen Ka Kuch Hissa Nahaq Daba Le (Bina Haq Kabza Karle) Toh Usey Qayamat Ke Din 7 Zameeno Ki (Tah) Tak Dhansaya Jaayega”.
(Bukhari Shareef)

Hadees E Mubaraka.
Hazrat Saed Ibne Zaid RadiAllahu Ta’Ala Anhu Ne Kaha Ke,
Nabi-E-Kareem (Sallallahu Alayhi Wassallam) Ne Farmaya Ke,
“Jo Shaksh Kisi Ki Ek Balisht Bhar Zameen Zulm Se Haasil
Karega,
Usey Qayamat Ke Din 7
Zameeno Ka Tauq
(Huge Belt or Patta) Pehnaya Jaega”.
(Bukhari Sharif, Muslim Sharif)

Hadees E Mubaraka.
Hazrat Abu Hurra Rakkashi RadiAllahu Ta’Ala.Anhu Apne Chacha Se Riwayat Karte Hain Ke
Nabi-E-Kareem (Sallallahu Alayhi Wassallam) Ne Farmaya
“Khabardar! (Kisi Par) Zulm Na Karna Aur Kaan Khol Ke
Sunlo
Ke Kisi Shaksh Ka Maal
(Tumhare Liye) Halaal Nahi Ho Sakta Magar Woh Dil Se
Raazi Na Ho Jaaye.”
(Baihaqi Sharif)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!