Ramzan

Iftar Ki Dua Kab Padhni Chahiye

Aap Sabhi Ko Mah-E-Ramzan Tahe Dilse Mubarak Ho. Ramzan Ham Ummat-E-Muhmmadi Ke Liye ALLAH Ta’ala Ka Diya Wo Tohfa Hai Ke Jo In Sha ALLAH Humari Bakshish Ka Sabab Banega. Is Mubarak Mahine Ke Talluqse Tamam Fazail Masle Masail Quran Wa Ahadees Ki Roshni Me Humare “Ramzan” Page Par Mauzood Hai. Ramzan Page Ke Articles Aap Bhi Padhe Aur Share Kare Taki Logo Tak Sahi ILM Pohoche. In Sha ALLAH Aapko Bhi Iska Azr Milega. 
Ramzan Mubarak Me Roza Iftar Ki Dua Ko Lekar Awam Me Ek Chiz Qayam Hai Ke Iftar Ki Dua Ko Roza Iftar Karne Se Pehle Padhte Hai Aur Phir Iftar Karte Hai. Dar Asl Ye Tarika Khilafe Sunnat Hai. Aur Is Par Kai Martaba Humare Ulma Bayan Bhi Kar Chuke Hai Ke Dua Ko Iftar Ke Bad Padhna Chahiye. Lihaza Iftar Yu Kiya Jaye Ki, Bismillah Padh Kar Khuzoor Ya Pani Se Roza Iftar Kare Aur Phir Dua Padhe. Is Bade Galat Tarike Par Badi Tadat Me Amal Hone Ke Liye Humari Kitabe Aur Ishtiharat Wa Ramzan Ke Timetable Bhi Zimmedar Hai Ke Ispar Likha Hota Hai “Roza Kholne Ki Dua” Yaha Islah Ki Zaroorat Hai Ke Bajay Iske Yaha Likha Jaye “Roza Kholne Ke Bad Ki Dua”
Iftar Ke Baad Ki Dua:
اَللّٰهُمَّ اِنَّی لَکَ صُمْتُ وَبِکَ اٰمَنْتُ وَعَلَيْکَ تَوَکَّلْتُ وَعَلٰی رِزْقِکَ اَفْطَرْتُ.

Allahumma Inni Laka Sumtu Wabika Aamantu Wa Alaika Tawaqqaltu Wa Ala Rizqiqa Aftarto

Translation: 
O Allah! I fasted for you and I believe in you and I put my trust in You and I break my fast with your sustenance.
Aye ALLAH Maine Tere Liye Roza Rakkha, Tuzpar Imaan Laya Tuz Par Bharosa Kiya Aur Tere Diye Huye Rizq Se Iftar Kiya
Iftar Ke Talluqse Chand Ahadees Pak Mulahiza Farmaye.
Hazrate Ma’aaz Bin Zahra Radiallaho Anho Se Riwayat Hai Ke
Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem ﷺ Jab Roza Iftar Karte To Iftar Ke Bad Ye Irshad Farmate,
اَللّٰهُمَّ لَکَ صُمْتُ وَعَلٰی رِزْقِکَ اَفْطَرْتُ

ALLAHUMMA LAKA SUMTU WA ALA RIZQIQA ARFTARTU

(Sunan Abu Dawood Vol : 02, Pg : 447 Kitab Al Siyam, Hadees No: 2358)
(Shoabul Imaan Hadees No: 3902)
Yahi Hadeese Pak Mishkat Sharif Me Bhi Mauzood Hai Ke
Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem ﷺ Jab Roza Iftar Karte To Iftar Ke Bad Ye Irshad Farmate,
اَللّٰهُمَّ لَکَ صُمْتُ وَعَلٰی رِزْقِکَ اَفْطَرْتُ

ALLAHUMMA LAKA SUMTU WA ALA RIZQIQA ARFTARTU

(Mishkat Sharif, Jild 1, Safa 433, Hadees No: 1866)
Yahi Hadees Inhi Alfaz Ke Sath Hadees Ki In Digar Kitabo Me Bhi Mauzood Hai.
(Tabrani Sharif, Tirmizi Sharif, Bayhaqi Sharif, Darkutni)
Iftar Ke Bad Ki Ek Aur Dua Ka Zikr Hadese Pak Me Mauzood Hai. Ab Internet Par Kuchh Log Pichhli Dua Jo Awam Me Padhi Jati Hai, Use Biddat Keh Rahe Hai Jabke Wo Dua Bhi Hadeese Pak Se Sabit Hai. Kisi Bhi Dua Par Amal Kare. Par Ye Kehna Ki Wo Dua Sahi Nahi Ye Bilkul Galat Aur Be Asl Bat Hai. 
Marwan Ibn Salim Al-muqaffa Radiallaho Anhu Kahte Hai Maine Abdullah Bin Umar Radiallaho Anhu Ko Dekha,
Wo Apni Dadhi Ko Mutthi Me Pakadte Aur Jo Mutthi Se Zyada Hoti Use Kaat Dete.
Ibn Umar Radiallaho Anhu Kahte Hai Ki Rasoolallah ﷺ Jab Iftar Karte Toh Ye Dua Padhte The,
ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ
Zahabaz-zama O Wabtallatil ‘urooq Wasabatal Ajru In Shaa ALLAH
Tarzuma:
“Pyaas Khatm Ho Gayi, Ragen Tar Ho Gayi Aur Sawaab Pakka Ho Gaya Agar ALLAH Ne Chaha”
(Sunan Abu Dawood, Hadees- 2357; Al-Daaraqutni, 25. Ibn Hajar Said In Al-talkhees Al-habeer (2/202): Al-daaraqutni Said, Its Isnaad Is Saheeh)
Yaha Aapne Mulahiza Farmaya Ki Upar Pesh Ki Gayi Ahadees Pak Se Sunnat Tarika Sabit Hai Ke Iftar Ki Dua Iftar Karne Ke Bad Padhi Jati Hai Na Ke Pehle. Lihaza Ise Awaam Tak Pohochaye Taki Unki Islah Ho Sake. In sha ALLAH iska Azr Aapko Bhi Milega. Aaiye Iftar Ke Talluqse Chand Aur Hadees Ka Mutalla Kare.  
Hazrat Salmaan Farsi (Radi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool’Allah ﷺ  Ne Irshad Farmaya,
“Jis Ne Halaal Khane Ya Paani Se Kisi Musalmaan Ko Roza Iftar Karwaya Tou Farishtay Mah-e-Ramzaan Ke Auqaat Me UsKe Liye Astaghfar Karte Hai,
Aur Jibreel (Alaihissalam) Shab-e-Qadr Me Uss Ke Leye Astaghfar Karte Hai”.

(Tibrani Al Mo’ejam Al Kabair, Jild:6, Page:242, Hadith-6162)
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Sahl bin Sa’ad  رضي الله تعالٰی عنه Se Rivayat Hai Ke Sarkar-E-Madina صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Farmaya :-
“Meri Ummat Ke Logon Me Us Waqt Tak Khair Baaki Rahegi Jab Tak Woh Iftar Karne Me Jaldi Karte Rahenge.”
(Sahih Bukhari  : Hadees 1957
Book ref : 30, Hadees 64
Eng ref. : Vol. 3, Book 31, Hadees 178)
Rasool’Allah ﷺ  Farmate Hai Ke,
“Jo Rozdaar Ko (Iftari Me) Paani Pilayega ALLAH Usse Mere Houz Se Paani Pilayega Ke Jannat Me Dakhil Hone Tak Pyasaa Na Hoga”
(Sahi Ibne Khuzaima, Jild:3, Page:192, Hadith-1887)
Aadmi Ke Nek Kaam Ka Badla 10 Se 700 Tak Diya Jata Hai… Allah Tala Ne Farmaya Magar Roza Mere Liye Hai Aur Mai Hi uski Jaza Dunga… Banda apni Khwahish Aur Khane Ko Meri Wajah Se Chhod Deta Hai…
Rozadar Ke Liye 2 Khushiyan Hain Eik iftar Ke WAQT Aur Eik Apne Rab Se Milne Ke WAQT Aur Rozadar Ke Muh Ki Boo ALLAH Ke Nazdeek Mushk Se Pakizah Hai. Aur Roza Dhaal Hai (admi ke liye Bachao ka Hatiyar) Aur Jab Koi Roze Se Ho To Be-hudah Na Bake Na Chillaye… aur jab Koi Rozadar Se Gali Galoch Kare Ya Ladne Ko Aaye To Kahe Mai Roze Se Hun.
Iftar Ki Dua Ke Talluqse Pura Bayan Yaha Sune.
Munazire Ulmae Ahle Sunnat Hazrat Farooq Khan Razvi Sahab Qibla
(Sunni Hanafi Organization)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!