Shab E Barat Ki Fazilat Hadees Se
• Kya Hadees Mein 15wi Shabaan Ki Koi Fazilat Aur Ahmiyat Aayi Hai?
• Kya 15wi Shabaan Ki Raat Ko Qabrastan Jana Sunnat Hai?
• Kya Khaas 15wi Shabaan Ki Raat Mein Nawafil Aur Deegar Ibaadaat Karna Sunnat Hai?
• Kya 15wi Shabaan Ke Din Mein Roza Rakhna Sunnat Hai?
• Kya Shabaan Ke Mahine Mein Pure Saal Ke Aamaal ALLAH Ki Taraf Uthaye Jaate Hai?
• Kya 15wi Shabaan Ki Raat Magfirat Ki Raat Hai?
• Kya 15wi Shabaan Ki Raat Rizq Bata Jaata Hai?
• Kya 15wi Shabaan Ki Raat Musibato Se Nijaat Milti Hai Aur Bimariyo Se Shifa Milti Hai?
• Kya Shabe Barat Ko Halwa Banana Jaiz Hai?
• Maahe Shabaan Ki Fazilate:
Hadees No: 1
“Hazrat Abdullah ibn Abi Qays Radi Allahu Anho Se Marvi Hai Kay Unhone Ummul Momineen Sayyida Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Se Suna Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ka Pasandida Maheena Shabaanul Muazzam Tha Ki Isme Roza Rakha Karte Phir Usse Ramzanul Mubarak Se Mila Dete.”
References :
(Sunan Nasai, Vol : 03, Pg : 267, Kitabul Sawm, Baab : Huzoor Kay Roze Ka Bayan, Hadees : 2352)
(Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Pg : 163, Kitabus Sawm, Baab : Shabaan Me Roza Rakhne Ka Bayan, Hadees : 2425)
Hadees No: 2
“Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallaho Anha Farmati Hai Rasool Allah ﷺRamzaan Kay Baad Sabse Zyada Roza Kisi Maah Me Rakhte To Wo Shaban Ka Maahina Tha”
Reference :
(Sahi Bukhari Vol :03, Pg :117, Kitabus Sawm, Baab : Shaban Kay Roze Ka Bayan, Hadees :1969)
Hadees No: 3
“Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Farmati Hai Rasool Allah ﷺ Shabaan Se Zyada Kisi Mahine Me Roza Naa Rakha Karte Balki Pura Shabaan Hi Roza Rakh Liya Karte The Aur Farmaya Karte Apni Istitaat Kay Mutabik Amal Karo Ki ALLAH Us Waqt Apna Fazl Nahi Rokhta Jab Tak Tum Uqta Naa Jao”
Reference :
(Sahi Bukhari Vol :03, Pg :118, Kitabus Sawm, Baab : Shaban Kay Roze Ka Bayan, Hadees: 1970)
Hadees No: 4
“Huzoor ﷺ Ne Farmaya Shabaan Mera Mahina Hai Aur Ramzan ALLAH Ka Mahina Hai”
Reference:
(Imam Suyuti Jame Us Sageer, Vol : Pg :301, Hadees : 4889)
Hadees No: 5
“Sayyida Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Farmati Hai Tazdaar-E-Risalat ﷺ Pure Shabaan Kay Roze Rakha Karte The. Farmati Hai Maine Arz Ki Yaa Rasool Allah ﷺ Kya Sab Mahino Me Aapke Nazdeeq Ziyada Pasandida Shabaan Kay Roze Rakhna Hai?
To Mehboob Rabbul Aalameen ﷺ Ne Irshad Farmaya Is Saal Marne Waali Har Jaan Ko Likh Deta Hai Aur Mujhe Yah Pasand hai Jab Mera Waqt-E-Rukhsat Aaye Aur Mai Rozdaar Hoon”
Reference :
(Musnad Abu Yaala Vol : 08, pg : 311, Hadees :4911)
Hadees No: 6
Hazrat Sayyidna Usama bin Zaid Radiallahuanhu Farmate Hai Maine Arz Ki Yaa Rasool Allah ﷺ Mai Dekhta Hoon Jis Tarah Aap Shaban Me Roza Rakhte Hai Is Tarah Kisi Bhi Maheene Me Nahi Rakhte?
Farmaya Razzab Aur Ramzan Kay Darmiyan Me Mahina Hai Log Is Se Gaafil Hain, Log Is Se Gaafil Hai Isme Logo Kay Aamal ALLAH Rabbul Aalameen Ki Taraf Uthaye Jaate Hai Aur Mujhe Ye Mahboob Hai Kay Mere Aamal Is Haal Me Uthaya Jaaye Ki Mai Rozadaar Hoon”
Reference :
(Sunan Nasai Vol : 03, Pg : 269, kitabus Sawm, Baab 70 : Nabi Kay Roze Rakhne Ka Bayan, Hadees : 2359)
Is Hadeese Pak Se Ye Khoob Sabit Hua Ke Shabe Baraat Ko Hamare Zindagi Ke Ek Saal (1 Year) Ki Ek Kitab Khatm Ho Jati Hai Aur Use Bargaahe ALLAH Rabbul Aalaamen Me Pesh Kiya Jata Hai. Aur Agle Saal Ke Bhi Kai Mamlat Likh Diye Jate Hai. Isiliye Ham Ahle Sunnat Me Shabe Baraat Aane Se Pehle Aapas Me Muafi Mangne Ka Tariqa Hai. Ke Hamne Anjaane Me Kisika Dil Dukhaya Ho To Wo Hame Muaf Karde Warna Roze Mehshar Sakht Giraft Me Honge.
• 15wi Shabaan Ki Raat Ko Qabristan Me Ziyarate Qabr Karna:
Hadees No: 7
Hazrat Aaysha Siddiqa (Radiallahu Talaa’Anha) Farmati Hai,
Ek Raat Maine Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Na Paaya
To Main Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Talaash Mein Nikli.
Kya Dekhti Hu Ki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam JANNAT UL BAQI (Qabristan) Mein Hai.
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
Kya Tujhe Dar Huwa Ki ALLAH Aur Uska Rasool Tujh Par Zulm Karega?
Maine Arz Kiya,
Yaa Rasulallah! Sallallahu Alaihi Wasallam Maine Socha Shayad Aap Kisi Dusri Zawja Ke Yaha Tashreef Le Gaye.
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ِNe Farmaya,
“ALLAH TA’ALA 15wi SHABAAN KI RAAT KO AASMAANO DUNIYA PAR (Jaisa Ki Uski Shaan Ke Laayik Hai) UTARTA HAI
AUR
BANU KALB QABILE KI BAKRIYO KE BAALO SE ZYADA LOGO KO BAKSHTA HAI.”
References:
(Tirmizi Sharif, Abwaab ul Sawm, Jild 1, Safa 403, Baab Maaja a fi Lailatin Nisfi min Shabaan, Hadees No 718, Sunan Ibne Majah, Jild 1, Baab Maaja a fi Lailatin Nisfi Min Shabaan, Safa 398, Hadees No 1447)
(Jamai Tirmizi, Vol : 02,Pg :179, Kitabus Sawm, Baab 39 : Shaban Kay Mahine Me Darmiyani (15vi Shab) Kay bare me bayan, Hadees : 739)
(Sunan Ibn Majah Vol : 02, Pg : 334, Kitabul Iqamah Wa Sunnah, Baab : Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan,,Hadees : 1389)
SUBHANALLAH
Is Hadees Se Pata Chala Ki 15wi Shabaan Ki Raat Mein ALLAH Ka Bando Par Khaas Fazl Hota Hai.
Is liye Bando Ko Chahiye Ki Iss Raat Mein Shab Bedaari Kare Aur ALLAH Ka Zikr Kare Aur Gaflat Ki Neend Na Soye. Aur 15wi Shabaan Ki Raat Ko Khaas Qabrastaan Jana Bhi Iss Hadees Se Sabit Huwa. Kyuki Huzoor Khud Is Raat Ko Jannatul Baqi Tashreef Le Gaye.
Kuch Log Kehte Hain Ke Is Raat Ko Qabrastan Jaane Ka Hukm Nahi Farmaya Aur Har Saal Jaane Ka Bhi Zikr Nahi. Is Zimn Mein Hamara Ye Kehna Hai Ki Huzoorِ Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Koi Bhi Amal Chahe Us Mein Logo Ke Liye Hukm Ho Ya Na Ho, Sunnat Hota Hai.
Hum Is Liye Khaas Qabrastaan Jate Hai Kyuki KHUD Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Gaye. Ab Kis Shaks Ko Jaana Ho Woh Jaaye Aur Jisse Na Jaana Ho Woh NA Jaaye. Kyuki Ye Mehez Sunnat Hai, Koi Farz Ya Wajib Amal Nahi. Magar Kisi Ko Jaane Se Rokna Mehez Jahalat Hai Ki Nabi Ki Ek Sunnat Se Rokna Huwa.
NOTE:
Imam Tirmizi Radiallahu Anhu Aur Imam Ibne Majah Radiallahu Anhu Ka Khaas 15w Shabaan Ki Fazilat Par Baab Kayam Karna Ye Unke Aqeede Par Dalaalat Karta Hai Ki Imam Tirmizi Aur Imam Ibne Majah Ka Bhi Ye Aqeeda Tha Ki 15wi Shabaan Ki Raat Ko Aap Fazilatwali Raat Maante The. Agar Is Raat Ki Koi Haqeeqat Na Hoti To Aap Aisa Unwaan Kyu Qayam Farmate? Kyu Wo Khasul Khas Baab Shabaan Ke Namse Qayam Farmate? Unhe Bhi Nahi Maloom Tha Ke Ye Biddat Hai? Aaj 1400 Saal Baad Ek Jahil Giroh Nikal Pada Hai Jinka Dawa Quran Hadees Magar Naa To Talluk Quran Se Hai Naa Hadees Ka Fahem Hai.
Play Store Se Hamare Nabi & Sunnat-E-Nabi Apps Jaroor Download Kijiye. Aapke Rating & Review Se Insha ALLAH Apps Doosro Tak Pohochege.
• 15wi Shabaan Ki Raat Ko Nawafil Ki Kasarat Karna Aur Din Me Roza Rakhna
Hadees No: 8
Hazrat Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم Riwayat Farmate Hain Ki RasoolAllah ﷺ Irshad Farmate Hai
“Jab Shabaan Ki 15wi Raat Ho To Raat Ko Qiyaam Karo, Din Mein Roza Rakho Kyuki ALLAH ﷻ Iss Raat Meiñ Duraj Guroob Hote Hi Aasmaano Duniya Ki Taraf Mutawajeh Hota Hai Aur Farmata Hai. Kaun Mujhse Magfirat Talab Karta Hai Ki Meiñ Usey Baksh Dooñ, Kaun Mujhse Rizq-E-Halaal Talab Karta Hai Ke Meiñ Usey Rozi Dooñ, Kaun Mubtala-E-Museebat Meiñ Hai Ki Meiñ Use Aafiyat Dooñ.
Is Tarah Subah Tak Irshaad Hota Rehta Hai.
References:
(Sunan Ibne Majah, Jild 1, Baab Maaja fi Lailatin Nisfi Min Shabaan, Safah 398,Hadees No.1446)
(Sunan Ibn Majah Vol : 02, Pg :334, Kitab Iqamusalat Wasunnat, Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan, Hadees : 1388)
(Khatib Tazrezi Mishkat Al Masabih)
(Imam Munziri Attargeeb Wattarheeb Vol : 02,Pg : 52)
Is Hadees Se Pata Chala Ki 15wi Shabaan Ki Raat Ko Nawafil Padhna Aur Ibadaat Karna Sunnat Hai
Aur Din Mein Roza Rakhna Bhi Is Hadees Se Sabit Huwa.
• Shab-E-Baraat Ka Halwa Khaana Kaisa:
Hadees No: 9
Umool Momineen Bibi Ayesha Siddiqua Tahira Radiallaho Anha Se Rivayat Hai Ke Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Halwa (Sheerni) Aur Shahed (Honey) Pasand Farmate The.
References:
(Sahi Bukhari, Volume : 02, Kitab No 76 Al Tibb, Hadees :5682)
(Sahi Bukhari, Volume : 02 ,Kitab No 74 AL Taam‟at (Food), Hadees : 5431/5599)
(Sunan Ibn Majah, Kitab No 29 AL Taam‟at (Food), Hadees : 3448) (Imam Tirmizi Ne Shama‟il-E-Muhammadiya Kitab No 26, Hadees : 163)
Pata Chala Halwa To Khud Huzoor Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Pasand Tha Isliye Ahle Sunnat Khoob Khate Hai Ab Khud Faisla Karlo Jo Cheez Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Pasand Hai Tum Uska Mazaak Udhaao To Tum Kaun Ho? Aur Ab Tumhe Kawwe Gadho Pe Pyaar Aaya Hai To Hum Kya Kare? Aur Ek Ahem Baat Halwa Khana Haraam Shirk Biddat Bolte Hai. Aur Jarur Khane Pehle Aate Hai. Isliye Hamare Imam Aalahazrat Azeemul Barkat Rehmatullah Alaihi Kya Khoob Farmate Hai
“Tera Khaye Tere Gulamo Se Uljhe Hai Munkeer Ajab Khane Gurranewaale”
“Khaate Hai Sunni Halwa Sarkar Ke Karam Se Dekho To Najdiyo(n) Ko Kawwo Pe Pyaar Aaye.”
Hadees No: 10
Hazrat Anas Radiallahu Anhu Farmate Hai Jab Nabi-E-Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Hazrat Zainab Radiallaho Anha Se Nikah Kiya To Meri Walda Hazrat Umme Sulaim Radi Allaho Anha Ne Hais (Sattu, Ghee, Or Khazoor Se Bana Huwa Khana) Bana Kar Ek Tabaq Me Rakha Or Mujhe Kaha Ise Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Khidmat-E-Aqdas Me Le Jao Main Khidmat-E-Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Me Hazir Huwa To Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jao Or Musalmano Me Se Tumhe Jo Mile Usse Bula Lao Mujhe Jo Mila Bula Laaya Or Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Dua Padha Or Jo Kuch Rab Ko Manzoor Tha Wo Aapne Dua Me Padha Phir Log Ghar Me Dakhil Hote Khana Khate Aur Nikal Jaate Sab Ne Sair Hokar Khaya Or Chale Gaye Kuch Log Baithe Rahe Unho Ne Lambi Baatein Shuru Kardi Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Unhe Kuch Kehne Se Haya Karte The Nabi-E-Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Ghar Se Bahar Tashrif Le Gaye Magar Woh Log Wahin Bethe Rahe. Us Wakt ALLAH Ta‟ala Ne Ye Aayat Nazil Farmayi
“Aye Imaanwaalo Nabi-E-Pak Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Ghar Me Begair Izazat Dakhil Na Huwa Karo, Na Khane Ke Wakt Taktey Raha Karo. Haa Agar Tumhe Khane Pe Bulaya Jao To Jarur Aao Lekin Khana Khane Ke Baad Chale Jaya Karo. Baatein Karne Me Na Lage Raho Tumhari Ye Harkatein Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Taklif Deti Hai Magar Wo Sharm Ki Wajah Se Tumhe Kuch Nahi Kehte Or ALLAH Ta’ala Haq Baat Kehne Me Sharm Nahi Karta.
References:
(Surah Ahzaab, Para 21, Ayat 53, Tarzuma Kanzul Imaan)
(Sahi Muslim Volume : 02 , Kitab No 16 Kitabun Nikah, Baab : Ummul Momineen Zainab Bint Jahsh Ke Nikah Ka Bayan Aur Hizab Ke Mutaalik Nuzool-E-Wahi Ka Bayan, Hadees : 1428)
(Jamai Tirmizi Kitab No 47 Kitabut Tafseer, Hadees : 3524)
mazrat k sat qabristaan janaa hadith ap ne reference nahi dia. aur roh malaika farishte shab e qadr maai duniaa mei ate hain jese k suraah mai baayan ha. shab e barat mei to sab ehtemaam karte hain qabristan jane i but shahbe qadr mai aesa ehtehmam na koi karta ha aur na koi sunni ulma is par roshni daltaa ha. kiun?
Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
Jaisa Ke Aapne Sawal Kiya Hai Qabrastan Me Jane Ke Mutalliq. Alhamdulillah Ye Sunnate Nabi ﷺ Hai Aur Iska Hawala/Reference Hadees No 7 Me Upar Article Me Mauzood Hai. Aap Dobara Article Padh Lijiye.
Aur Jaisa Ke Aapne Aage Sawal Kiya Hai Shabe Qadr Ke Rat Mein Qabrastan Jana. Albatta Iski Koi Refrence Muze Hasil Nahi Hui Hai. Qabrastan Jane Ke Liye Waise To Koi Waqt Mukarrar Nahi Hai. Humare Nazdik Ye Mustahab Amal Hai Ke Ham Apni Khushiyon Me Apne Marhoomon Ko Bhi Yad Rakkhe.
In sha ALLAH Hume Bhi Hamari Naslen Yuhi Yad Rakhengi inhi Amal Ki Pabandi Se. Shabe Barat Me Jana Sunnat Se Sabit Hai. Shabe Qadr Me Jana Mustahab Hai. Hamara Ma'mul Hai Ke Hum Eiden Ko Bhi Namaz Ke Bad Qabrastan Jate Hai. Apne Marhoomon Ke Haq Me Fatiha Aur Dua Karte Hai. In Chizon Ki Aaj Hume Sakht Zaroorat Hai Ke Ek Din Hume Bhi Maut Ka Maza Chakhna Hai. Aur Humare Jane Ke Bad Koi To Shakhs Ho Jo Hamare Liye Bhi Qabrastan Aaye Aur Dua Farmaye. Muze Ummid Hai Aapko Jawab Hasil Ho Gaye Honge.
Ramzan Mubarak..
Dua Ki Guzarish.