Nikah

Islam Me Aurato Ko Parde Ka Huqm

“Aur Musalman Aurato Ko Hukm Do Apni Nigahe Kuch Nichi Rakhe Aur Parsai Ki Hifazat Kare Aur Apna Banao Na Dikhaye Magar Jitna Khud Hi Jaahir Hai. Aur Dupatte Apne Girebano Par Dale Rahe Aur Apna Singaar Jaahir Na Kare Magar Apne Shauharo Par”
(Kanzul iman,Para 18,Surah Noor,Aayat 31)
Is Aayat Ke Tehat Aurato Ko Apne Girebano Par Dupatte Dale Rehneka Huqm Hai Aur Apne Banav Wa Singaar Ko Apne Shauhar Ke Alawa Kisi Gair Mard Ke Samne Jaahir Karne Se Mana Farmaya Hai. Afsos ! Aaj Hamari Behene Tight Fitting Ke Kapde Pehen Rahi Hai, Net Ke Kapde Pehen Rahi Hai Jisse Saaf Unke Badan Ka Banav Dikhta Hai. Aise Kapde Pehenti Hai Jinse Mard Unki Taraf Mutawajjah Ho. Behsaq ! Behayaai Ka Dardnaak Azaab Hai.
ALLAH Rabbul Aalameen Irshad Farmata Hai
“Aye Nabi Apni Biwiyo Aur Sahabzadiyo Aur Musalman Ki Aurato Se Farmado Ki Apni Chadaro Ka Ek Hissa Apne Muh Par Dale Rahe. Yah Unke Nazdik Tar Hai Ki Unki Pehchan Ho To Sataayi Na Jaye. Aur ALLAH Bakshnewala Meherbaan Hai.”
(Sure Ahzab, Para 22, Aayat 59, Tarzuma: Kanzul Imaan)

You Might Also Like:






In Do Aayato Me Parda Kis Tarah Karna Hai Iska Huqm Hai. Jo Islami Behene Parda Karti Hai Beshaq ! Unke Liye Duniya Wa Aakhirat Me Bhalaayi Hai. Aur Jo Parda Nahi Kar Rahi Hai Wo Behene Gauro Fikr Kare Aur Amal Kare. Beshaq ! ALLAH Ta’ala Ko Hamare Tamaam Kaamo Ki Khabar Hai. Aur Aapke Aamal Ke Mutabiq Aapka Hamsafar (Shauhar) Hoga. Paak Daman Sutre Ladkiyo Ke Liye Paak Daman Ladke Aur Gandi Ladkiyo Ke Liye Gande Ladko Ki Jodiya Banayi Gayi Hai.

ALLAH Rabbul Aalameen Irshad Farmata Hai
“Gandiya, Gando Ke Liye Aur Gande, Gandiyo Ke Liye.
Sutriya, Sutro Ke Liye Aur Sutre Sutriyo Ke Liye”
(Kanzul Imaan, Para: 18, Surah Noor, Aayat No: 26)
Is Aayat Se Hame Ye Malum Hota Hai Ke ALLAH Rabbul Aalameen Ne Apne Bande Aur Bandiyo Ke Jode Chun Rakhe Hai. Gande Badkar Mard Ke Liye Gandi Badkar Aurat Aur Gandi Badkar Aurat Ke Liye Ganda Badkar Mard. Aise Hi ALLAH Ta’ala Ne Saaf Sutre Paak Daman Ladka Aur Ladkiyo Ke Liye Sutri Paak Daman Ladki Aur Ladka Jodi Banayi Hai.
Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
World’s Best Islamic Blog
www.hamarenabi.com
(All Masle Masails Of Nikah Are Available On Nikah Page)

Kadwe Ghoot…
Waah Meri Behen Tera Designer Burka…….
Aaj Ki Beheno Ka Haal Bada Ajeeb Hai, Chehre Par Naqaab Ya Skarf Bandhne Ka Fashion Ban Gaya Hai…. Burka Fashion Ban Chuka Hai…
Yaad Rakho Islam Burke Ka Huqm Nahi Deta Balqi Parde Ka Huqm Deta Hai.
Mumkoin Hai Meri Fikr Se Koi Ittefakh Na Rakhe.
Lekin Ye Meri Fikr Nahi Ye Hajjatul Islam Hazrat Imaam Gazali Rehamtullah Alayhi Ki Fikar Hai. Imaam Gazali Rehamtullah Alayhi Ne Apni Sadi Me Fatwa Diya Tha Ki Jis Burke Par Design Bana Ho Aisa Burka Pehenna Haram Hai. Isliye Ki Wo Burka Mardo Ko Apni Taraf Mutawajjoh Karta Hai, Mardo Ka Dil Lubhata Hai.
To Jo Burka Mardo Ko Dawate Nazaara De Aisa Burka Aurato Ke Liye Jaiz Nahi Kyunki Aise Burke Se Parde Ka Maqsad Haasil Nahi Hota.
Pehle Burko Ka Haal Ye Tha Ko Itna Saada Hota Tha Ki Pehennewali Aurat Ka Pata Nahi Chalta Tha Ki Moti Hai Ya Dubli Ya Buddhi Hai Ya Jawan Hai. 
Lekin Aaj !!! Badan Ki Puri Banawat Ka Andaaz Ho Jaata Hai. Aise Aise Maqaam Par Nag Lage Hote Hai, Aise Aise Maqaam Par Embroydi Hoti Hai, Aise Bhadkile Colours Hai Ki Na Dekhnewala Bhi Mutawajjoh Ho Jaye.
Jaha Pehke Naqaab Huwa Karte The Waha Ab Nose Piece Aa Gaya…
Gaur Karneki Baat To Ye Hai Ke Aaj Ke Hazaaro Rupaye Ka Burka Pehen Kar Bhi Tum Izzat Ko Mehfooz Na Kar Sake…
Wo Paak Muqaddas Aurate Wo Qanizaye Fatima Johra Radiallahu Anha Jo 17-17 Pebandwali Chadar Odh Kar Nikalti Thi Magar Gairat Ka Ye Haal Tha Ki Hoore Jannat Bhi Zank Zank Kar Rashq Ki Nigaho Se Dekh Liya Karti Thi…
Unki Gairat Ka Ye Aalam Tha Ki Daman Nichod De To Farishte Wuzu Kare Unke Daman Par. Peband To The Lekin ALLAHU Akbar Gunaaho Ke Dhabbe Nahi The, Be-Pardagi Aur Ayyashiyo Ke Dhabbe Nahi The…
Chod Do Is Farzi Parde Ko Wo Parda Karo Jiska Huqm Islam Ne Diya Hai.
Aajse Ye Ahed Karlo Aisa Burka Na Kharidoge Na Pehnoge Aur Apne Gharwalo Ko Bhi Rokoge.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!