Ramzan

Sehri Ki Izazat Ka Bayan

Ibtida’an Raat Ko Uth Kar Sehri Karne Ki Ijazat Nahi Thi.
Roza Rakhne Walon Ko Guroob-E-Aaftab Ke Baad Sirf Us Waqt Tak Khaaney Piney Ki Ijazat Thi Jab Tak Woh So Na Jaaye. Agar So Gaya Toh Ab Bedaar Ho Kar Khana Pina Mam’nu Tha. Magar ALLAH عزوجل Ne Apne Pyare Bando Par Ehsaan-E-Azeem Farmate Hue Sehri Ki Ijazat Marhamat Farma Di Aur Is Ka Sabab Youn Hua Jaisa Ke Khazainul Irfan Me Sadrul Afazeel Hazrate Allama Maulana Sayyed Mohammad Naeemuddin Muradabadi  رحمة الله تعالي عليه Naql Karte Hain.
SEHRI KI IJAZAT KI HIQAYAT
Hazrate Sayyeduna Sarma bin Qais رضي الله تعالٰی عنه Mehnati Shakhs The. EK Din Ba-Halate-Roza Apni Zameen Me Din Bhar Kaam Kar Ke Shaam Ko Ghar Aaye. Apni Zauja-E-Mohtarma رضي الله تعالٰی عنها Se Khana Talab Kiya. Woh Pakane Me Masroof Hui. Aap  رضي الله تعالٰی عنه  Thakey Hue The. Aankh Lag Gayi. Khana Tayyaar Kar Ke Jab Aap رضي الله تعالٰی عنه Ko Jagaya Toh  رضي الله تعالٰی عنه Ne Khaney Se Inkaar Kar Diya. Kyunki Un Dino Guroob-E-Aaftab Ke Baad So Jaane Wale Ke Liye Khana Pina Mam’nu Ho Jata Tha. Chunanchey, Khaye Piye Bagair Aap رضي الله تعالٰی عنه Ne Doosre Din Bhi Roza Rakh Liya. Aap رضي الله تعالٰی عنه Kamzori Ke Sabab Kamzor Ho Gaye. Toh Inke Haqq Me Yeh Aayate Muqaddasa Nazil Hui
Tarjuma-E-Kanzul Imaan :
“Aur Khaao Aur Piyo Yahan Tak Ki Tumhare Liye Zahir Ho Jaaye Safedi Ka Dora Siyahi Ke Dorey Se Po Fatt Kar. Phir Raat Aane Tak Rozey Purey Karo.”
(Al Qur’an : Parah 2, Al Baqarah, Ayat No. 187.)
Is Ayate Muqaddasa Me Raat  Ko Siyaah Dorey Se Aur Subhe Sadiq Ko Safed Dorey Se Tashbeeh Di Gayi. Maa’na Yeh Hai Ki Tumhare Liye Ramzanul Mubarak Ki Raaton Me Khana Pina Mubaah (Yani Jayez) De Diya Gaya.
Is Se Yeh Maloom Hua Ki Rozey Ka Azan-E-Fajr Se Koi Ta’lluq Nahi. Yani Fajr Ki Azan Ke Dauran Khaney Piney Ka Koi Jawaz Hi Nahi. Azaan Ho Ya Na Ho. Aap Tak Aawaz Pahochey Ya Na Pahonchey. Subhe Sadiq Hotey Hi Khana Pina Bilkul Hi Bandh Karna Hoga.
(Tafseeral Khazin , Jild 1, Safha 126
Faizane Ramazan (Hindi) , Safha : 153-155, Maktabatul Madina – Hind.)
Hazrate Suleman  عليه السلام Teen Din Mahiney Ki Shuru Me, 3 Din Darmiyan Me Aur 3 Din Aakhir Me (Yani Mahiney Me 9 Din) Roza Rakha Kartey.
(Kanzul Ummaal : Jild 8, Safha 308,  Hadees 24624
Faizane Ramazan (Hindi) , Safha : 93, Maktabatul Madina – Hind.)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!