Jisne Mere Kisi Wali Se Dushmani Ki Usey Meri Taraf Se Elan-E-Jung Hai.
Hadees-E-Qudsi :
Abu Hurairah رضي الله تعالٰی عنه Se Rivayat Hai Ki Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Farmaya :-
”Allahعزوجل Farmata Hai Jisne Mere Kisi Wali Se Dushmani Ki Usey Meri Taraf Se Elan-E-Jung Hai.
Aur Mera Banda Jin Jin Ibadaton Se Mera Qurb Hasil Karta Hai (Yani Mere Kareeb Aata Hai Unmein Se) Koi Ibadat Mujh Ko Us Se Zyada Pasand Nahi Hai Jo Maine Us Par Farz Ki Hai (Jaise Namaz, Roza , Hajj , Zakat)
Aur Mera Banda Farz Adaa Karne Ke Baad Nawafil Ibadat Karke Mujh Se Itna Zyada Nazdeek Ho Jata Hai Ki Main Us Se Mohabbat Karne Lag Jata Hoon
Phir Jab Main Us Se Mohabbat Karne Lag Jata Hoon Toh Main Uska Kaan Ban Jata Hoon Jis Se Woh Sunta Hai, Uski Aankh Ban Jata Hoon Jis Se Woh Dekhta Hai , Uska Haath Ban Jata Hoon Jis Se Woh Pakadta Hai , Uska Paaon Ban Jata Hoon Jis Se Woh Chalta Hai.
Aur Agar Mujh Se Maangta Hai Toh Main Usey Deta Hoon, Agar Woh Kisi Dushman Ya Shaitan se Meri Panaah Ka Talib Hota Hai Toh Main Usko Mehfooz Rakhta Hoon Aur Main Jo Kaam Karna Chahta Hoon Usme Mujhe Itna Taraddud (Hesitation) Nahi Hota Jitna Ki Mujhe Apne Momeen Bande Ki Jaan Nikalne Mein Hota Hai Woh Toh Maut Ko Pasand Nahi Karta Aur Mujhe Bhi Usko Takleef Dena Achcha Nahi Lagta
(Hadees-E-Qudsi : Hadees 25
Sahih al-Bukhari : Hadees 6502
Book ref. : 81, Hadees 91
Eng ref. : Vol. 8, Book 76, Hadees 509)