Aqaid-E-Ahle Sunnat

73 Firqo Ki Hadees Aur Jannati Firqa

Ahlesunnat Wo Jama’at Hai Jo Huzoor ﷺ Ki Sunnat Aur Aapke Sahaba Khulafae Rashedeen Ki Sunnat Par Chalne Wali Jama’at Hai. Alhumdulillah Ye Wo Haq Jama’at Hai Ke Jiske Liye Jannat Ki Basharat Hadees Se Sabit Hai. Hadees Me 73 Firqo Ka Zikr Hai Jisme Se Sirf 1 Firqa Jannati Hai Aur Uska Nam “Ahle Sunnat” Aaya Hai. To Ab Har Jama’at Apna Nam Ahle Sunnat Bata Rahi Hai.
Isliye Ulma-E-Ahle Sunnat Ne Ek Faisla Kiya Ki Alhe Sunnat Ko Ab “Maslake Haq” Namse Jana Jaye. Par Ek Bat Khoob Zehnashi Farmale, Ye 73 Firqe Ke Talluqse Muqaddas Irshadat Sarware Qaunain Rehnate Aalam ﷺ Ke Hai Jo Ke Jahir Ho Kar Rahenge. Ye Hamare Jam’at Ke Kisi Ulma Ka Fatwa Nahi Hai. Lihaza Jo Log Kehte Hai Ke Ummat Ko Mat Banto, Mera Koi Firqa Nahi, Me Kisi Jamat Se Nahi, Me Kisi Maslak Se Nahi Vagira Vagaira. To Aise Gumrah Logo Ko Yaha Hadeese Pak Par Gaur Karne Ki Zaroorat Hai.

Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat Hai Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya,

Kaum-E-Yahud 71 Ya 72 Firko Me Ba’nti, Isai 71 Ya 72 Firke Me Ba’nte Aur Meri Ummat 73 Firqe Me Ba’nt Jayegi”
(Sunan Abu Dawood, Pg : 830, Kitabul Sunnat, Baab : Sharaye Sunnah, Hadees : 4596)
(Jamai Tirmizi Vol : 03, Book No 40, Kitabul Imaan Aana Rasool Allah ﷺ, Hadees : 2640)
(Sunan ibn Majah, Pg : 659 Kitab Al Fitan, Baab : Ummat k Firqe Me Ba’nt Jaane Ka Bayan, Hadees : 3991)

Hazrat Abdullah Ibn Amr Radiallahu Anhu Se rivayat Hai Nabi E Akram Ne Irshad Farmaya ﷺ Beshak Kaum E Bani Israel (Kaum E Moosa ) 72 Firke Me Ba’nt(Divide) Gayi Aur Meri Ummat 73 Firko’n Me Ba’nt Jaygi, Sab k Sab Jahannami Honge Sirf Ek Firqa Jannati Hoga.

Sahaba E Kiram Radi Allahu Anhu Azmain Ne Arz Kiya YA RASOOL ALLAH  ﷺ

Wo Jannati Firqa Konsa Hoga ?

Nabi E Karim  ﷺ Ne Irshad Farmaya Jo Mere Aur Mere Sahaba Ke Tarike Par Chalega
(Jamai Tirmizi, Pg : 595-96, Kitab No 40 Kitab Al Imaan Aana Rasool Allah, Baab : مَا جَاءَ فِي افْتِرَاقِ هَذِهِ الأُمَّةِ ,  Maa Jaa Fi Aftaraki Haaja il Ummah, Hadees :2641)

Hazrat Anas bin Malik Se Rivayat Hai Nabi-E-Karim ﷺ Ne Farmaya
Bani Israil 71 Hisso Me Bant Gayi Aur Mera Ummat 72 Hisso Me Bantegi,
Sab Jahannam Me Jaynge Siwaye Ek Ke, Jo Jama’at Hai
(Sunan Ibn Majah, Pg : 659, Kitab Ul Fitan, Baab : Ummat K bant Jaane Ka Bayan, Hadees : 3993) (Sunan Ibn Majah Hadees : 3992 Rivayat Hazrat Auf Ibn Malik Radiallahu Anhu)
(Jamai Tirmizi, 490, Kitab No 33 Kitab al Fitan, Hadees : 2166)

Hazrat Abdullah ibn Umar Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya ALLAH Ta’ala Meri Ummat Ko Gumrahi Par Jama Nahin Karega Ya Ye Farmaya,
Ummat E Muhammadiya Ko Gumrahi Par Jama Nahin Karega) Aur Jama’at ALLAH Ta’ala (Kee Hifaazat) Ka DASTEQUDRAT Hai Aur Jo Shakhs Jama’at Se Juda Ho Woh Aag Kee Taraf Juda Ho.”
(Jamai Tirmizi, Pg : 490, Kitab al Fitan, Hadees : 2167)
(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 01, Pg :201, Hadees : 397)

Bholi Bhali Awam Ko Khushnuma Naaro Ke Zarye Yun Behkaya Jata Hai…
ALLAH Aur Rasool ﷺ Ka Kalma Padhne Wale Sab Musalman Hain Aur Apas Me Bhai Bhai Hain, Quran Ne Hame Islam Par Chalne Ki Takeed Ki Firqon Me Batne Se Mana Kiya,, Sahaba Sirf Musalman The Sunni Wahabi Deobandi Nahi, Lihaza Mera Koi FIRQAH Nahi Main Sirf Musalman Hun Aur Main Har Us Shakhs Ko Musalman Janta Hun Jisne ALLAH Wa Rasool ﷺ Ka Kalma Padha,Quran Hame Kehta Hai..

“ALLAH Ki Rassi Ko Mazbooti Se Thaam Lo Aur Apas Me Phoot Na Dalo”
(القرآن الكريم)
Sunne Me Ye Baten Kitni Bhali Maloom Hoti Hai Aur Aam Logon Ka isse Muta’assir Hona Bhi Ta’ajjub Ki Baat Nahi,,,
Hum Puchte Hain Kya Sirf Zabani Dawe Se Islam Ke TAQAZE Pure Honge????
Zuban Ko Harkat Dee Aur Kalime Ka Wird Kiya To Musalman Ho Gaya???
Dr IQBAL Kehte Hain.
“Zuba’n Se Keh Bhi Diya LA ILAH To Kya Hasil…
Dil O Nigah Musalman Nahi To Kuch Bhi Nahi.”
Is Ummat Ka Firqon Me Batna Girohon Me TAQSEEM Hona MUQADDAR Ho Chuka Hai, Aur Jo Kahe Main FAQAT MUSALMAN Hun Mera Koi Firqah Nahi Hamare NAZDEEK WO BATIL FIRQON Ka Majoone Murakkab Yani MUNAFIQ Hai.
Beshak islam Hi Deen E HAQ Hai Lekin Islam Par Amal Ahlesunnat Wa Jamat Ke Bina Mumkin Hi Nahi Hai,,
Huzoor E Pak ﷺ Ne Is ummat Ke Girohon Aur FIRQIN Me Batne Ki Peshangoi Pehle Hi Farma Dee Hai, Agar Ye FIRQA Bandiyan Na Hoti To Deene Islam Ko Pehchan Ke Liye Ahlesunnat Ka Naam Bhi Nahi Diya Jata, Chunki Ye Tamam Batil Firqe Musalmano Me Hone The, Ye Sab Quran O Hadees Ka Naam Le Kar Uthne Wale The, Ye Sab ALLAH Wa Rasool ﷺ Ke Deen Par Chalne Ka Dawa Karne Wale The Lihaza Zaroori Hua Ki Jab Sabhi islam Ka Naam Lekar Uthe’n To unme WAQAI Jo HAQ Par Ho use Eik Khas Naam Se Pukara Jaye Aur BAQI Tamam Batil Firqon Ki Nishaniyan Bhi Batai Jaye….
Phir Wo Jamat Jo HAQIQATAN ALLAH Wa Rasool Ke Deen Ke Taabe Rahi Use Ahlesunnat Wa Jamat Ka Naam Diya Gaya, Aur Aisa Hargiz Nahi Hai Ki Ye Naam Kisi Molvi Maulana Ya imam O Mujtahid Ka Diya Hua Ho, Balki iski Asl Quran O Hadees Me Maujood Hai Aur Ye Naam Khud ALLAH Ke Pyare Mehboob ﷺ Ne Ata Farmaya.
Huzoor ﷺ Farmate Hain.
وان بنى إسرائيل تفرقت على ثنتين وسبعين ملة وتفترق امتى على ثلاث وسبعين ملة كلهم فى النار، الا ملة واحدة قالو من هى يا رسول قال ما انا عليه واصحابى

Tarjamah-
Bani isra’eel 72 Firqon Me Bat Gaye The Meri ummat Zaroor 73 Firqon Me TAQSEEM Hogi, unme Se 72 Dozakhi Honge Sirf Eik Hi Firqa Jannati Hoga, Sahaba Ne Arz Kiya Wo Kaunsa Firqa Hoga ?
Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya Jis TARIQE Par Main Aur Mere Sahaba Hain Us Par Qa’im Rehne Wale

{مشكوة شريف، باب الاعتصام بالكتاب والسنة صفحه-٣٠،، ترمذی شریف، جلد-٢، صفحه-٨٩،، ابو داؤد شریف، جلد-٢، صفحه-٢٧٥،، ابن ماجه شريف صفحه-٢٩٦}
Hazrat Irbaaj Bin Sariya Se Rivayat Hai
Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
“Tum Me Se Jo Mere Baad Rahega Jarur Bahot Ektelaf Dekhega Jo Shakhs Ye Zamana Paaye Usey Chaahiye Key Meri Aur Merey Hidayat Yaafta Khulafa Ki Sunnat Ikhtiyar Karey, Tum Log Usey (Sunnat Ko) Daanton Sey Mazbooti Sey Pakar Lena.”

(Sunan Abu Dawood, Kitab No 42

Kitabu Sunnah,  Hadees : 4607

{English Version – Bookm 42 Hadees :

12}) Gair Mukallid k Albani ne bhi Sahi

Kaha Hai

(Jamai Tirmizi, Book No 41 Kitabul Ilm,

Hadees : 2676 {English : Book 41

Hadees : 32}) Hadees Sahi Hai

(Sunan Ibn Majah, Vol : 01, Kitab Al

Mukaddama , Hadees : 44 and 45 )

Narration Yahya bin Abu Muta Farmate

hai maine  Irbaaz bin Sariya Se Suna Ke

Nabi Ne Farmaya

(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad,

Vol 04, Pg : 127)

(Sunan Darimi Vol : 01, Hadees : 96)

(Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 01, Pg

: 164, Hadees 129)

(Mishkat Al Masabih, Vol : 01, Hadees :

157)
Hadees Se Maloom Hua ummat Ka Firqon Me TAQSEEM Hona Taye Ho Chuka Hai, Aur HAQ Par Eik BAQI Sab Batil Par…
Huzoor ﷺ Ne Ye Kyun Nahi Farmaya Jo Jannati Honge Wo Musalman Honge unki Jamat Islam Hogi???
is Liye Aisa Nahi Farmaya Chunki Sabhi islam Ke Dawedar Honge Sabhi Ba’zome Khesh (Apne Khayal Me) Jannati Honge, To Zaroori Hua Ki Jannati Jamat Ko Eik Naam Diya Jaye Aur Usi Naam Ki Jamat Wale Afraad HAQIQATAN ISLAM Par Honge……
73 Firqon Wali Hadees Ki Sharah Ulmae Islam Muhaddiseen E izam Se Suniye Hujjatul islam Sayyedna imam Gazali رحمت اللہ تعالیٰ علیہ Farmate Hain…
الفرقة الناجية هم الصحابة فانه عليه السلام، لما قال الناجى منها واحدة قالو يا رسول الله ومن هم قال اهل السنة والجماعة فقيل وما اهل السنة والجماعة قال ما انا عليه واصحابى
Tarjamah-
Sahaba Ki Jamat Firqah Naaji (Najat Pani Wali) Hai, is Liye Ki Jab Huzoor ﷺ Ne FIRQAH NAJIYE Ke Muta’alliq Farmaya To Sahaba Ne Pucha Wo Kaunsa Firqah Hai? To Huzoor ﷺ Ne Farmaya Ahlesunnat Wa Jamat Hai, Sahaba Ne Pucha Ahlesunnat wa Jamat Kaun Hain Huzoor Ne Farmaya Jis TARIQE Par Mein Aur Mere Sahaba Hain
{احياء العلوم جلد-٣، صفحه-١٦١، الملل والنحل للشهر ستانى، جلد-١، صفحه-١٣}
(Mazmoon Jari Hai “Aqaid-E-Ahle Sunnat” Category Me Padhe)

Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!