Hadees-E-Nabwi
Jung-E-Khaibar Aur Hazrate Ali Radiallahu Anhu
Jung-E-Khaibar Me Jab Ghamasan Ki Jung Hone Lagi Toh Hazrate Ali رضي الله تعالٰی عنه Ki Dhaal Kat Kar Gir Padi Toh Aap Ne Joshe Jihaad Me Aagey Badh Kar Qila-E-Khaibar Ka Faatak Ukhaad Dala Aur Uske Ek Kiwaad Ko Dhaal Bana Kar Us Par Dushmano Ki Talwaron Ko Roktey The. Yeh Kiwaad Itna Bhaari Aur Wazni Tha Ki Jung Ke Khatimey Ke Baad 40 Aadmi Mil Kar Bhi Us Ko Utha Na Sakey.
(Zarqani, Jild 2, Safha 230
👉Karamate Sahabaرَضَیِ اللہُ تَعَالٰی عَنْھُم ( Hindi ), Maktabatul Madina – Hind, Safha 109)