Hadees-E-Nabwi

Masjide Quba Ki Tameer

“Quba” Me Sab Se Pehla Kaam Ek Masjid Ki Taa’meer Thi. Is Maqsad Ke Liye Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Hazrate Kulthum bin Hadam  رضي الله تعالٰی عنه  Ki Ek Zameen Ko Pasand Farmaya Jahan Khandan-E-Amr bin Auf Ki Khajoorein Sukhayi Jaati Thi Is Jagah Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Apne Muqaddas Haathon Se Ek Masjid Ki Buniyadi Daali. Yehi Woh Masjid Hai Jo Aaj Bhi “Masjid-E-Quba” Ke Naam Se Mash’hoor Hai Aur Jis Ki Shaan Me Quran Ki Yeh Aayat Nazil Hui.
Tarjuma-E-Kanzul Iman :
“Yaqeenan Woh Masjid Jis Ki Buniyad Hi Pehle Din Se Parhez Gaari Par Rakhi Hui Hai Woh Is Baat Ki Ziyada Haqdar Hai Ki Aap Is Me Khadey Ho Is (Masjid) Me Aise Log Hain Jin Ko Paaki Bahot Pasand Hai Aur Allah Ta’ala Paak Rehne Walon Se Mohabbat Farmata Hai.”
(Al Qur’an : Surat At-Taubah, Ayat No. 108)
Is Mubarak Masjid Ki Taameer Me Sahaba-e-Kiraam رَضَیِ اللہُ تَعَالٰی عَنْھُم Ke Saath Saath Khud Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Bhi Ba Nafse Nafees Apne Dast-E-Mubarak Se Itne Badey Badey Patthar Uthatey The Ki Unke Bojh Se Jism-E-Mubarak Kham Ho Jaata Tha Aur Agar Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ke Jaan Nisaar As’haab Me Se Koi Arz Karta Ya Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  ! Aap Par Hamare Maa Baap Qurban Ho Jaayein Aap Chorh Dijiye Hum Uthayenge, Toh Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Uski Diljoyi Ke Liye Chorh Dete Magar Phir Usi Wazan Ka Doosra Patthar Utha Lete Aur Khud Hi Us Ko Laa Kar Imarat Me Lagatey Aur Taa’meeri Kaam Me Josh Wa Walwala Paida Karne Ke Liye Sahaba-E-Kiraam رَضَیِ اللہُ تَعَالٰی عَنْھُم Ke Saath Aawaz Mila Kar Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Hazrate Abdullah bin Rawaha  رضي الله تعالٰی عنه  Ke Yeh Ash’aar Padhety Jaatey Ki
“Woh Kaamyab Hai Jo Masjid Taa’meer Karta Hai Aur Uthtey Baithtey Quran Padhta Hai Aur Sotey Hue Raat Nahi Guzarta”
(Seerat-E-Mustafa صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم (Hindi), Maktabatul Madina – Hind, Safha 173 -174-175)
Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!