Muharram

Muharram Aur Youm-E-Aashura

YAOM E ASHOORA KA TAYEEN
◾ SHARAH BUKHARI IMAM AHMED BIN MUHAMMED QASTALANI رحمة الله عليه farmate hain k, lafz ASHOORA alif madda k sath ahi aur iski tayeen me ikhtelaaf hai.
⚪ Hazrat Hukm bin Aeraj se marwi hai, farmate hain k main Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما k paas pahocha to unhone zam zam k paas apni chadar ka takiya laga takha tha maine arz kiya mujhe ASHOORA k roze k baarey me bataiye to AAP ﷺ ne farmaya jab tum MOHARRAM ka chand dekho to isko shumar karo aur 9 MOHARRAM ko roza rakho.
⚪ Maine arz kiya, kya HAZRAT MUHAMMED MUSTAFA ﷺ isi tarah roze rakhte the, to unhone farmaya, haan.
(Mawahib Laduniyyah, Jild 3)
◽ Imam Naw’wi رحمة الله عليه farmate hain, ye Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما ki taraf se wazahat hai k inke mazhab k mutabiq ASHOORA MUHARRAM ki nawi (9) tareekh hai aur wo iski taweel yuk arte hain k ye “اظمآ الابل” se makhooz hai (oont ka pyaasa hona).
◽ Kyu ke ahle arab pahochne ke paanchwe din (sharah me teesra din likha hai) ko chaotha din kehte hain isi tarah baqi dino ko is nisbat se kehte hain pas 9wa din 10wa hogaya.
(Mawahib Laduniyyah, Jild 3)
⚫ Imam Zarqani رحمة الله عليه farmate hain wo log raat se tareekh ka andaza lagate hain pas jab do din oonto ko churaye phir teesra din ajaye to wo kehte hain chaothe din me agaya agarche 3 din chara ho.
(Zarqani, Jild 8, Page 117)
Lekin Ibne Muneer ne farmaya k inka qaol, jab 9wi tareekh ki subah ho to roza rakho, is baat ki khabar deta hai k unhone 10wa din puraad liya hai kyu k 9wi tareekh ko rozadaar hone k baad wo roze ki haalat me subah nahi kar sakta magar is surat me jab aane wali raat me niyyat karey aur ye 10wi raat hai.
⚪ Aur Jamhoor Ullama pehle aur pichle is baat ki taraf gaye hain k Ashoora Muharram ki 10wi tareekh hai aur ye baat farmane walo me Hazrat Sayeed Bin Museeb, Hazrat Hassan Busiri, Imam Malik, Imam Ahmed, Hazrat Ishaq, Hazrat Khalayeq رحمهم الله hain.
⚪ Ye maslak zahir hadees se sabit hai aur lafz ka miqtezaad bhi yahi hai, isko “اظماء” se makhooz karna ba’eed hai.
(Mawahib Laduniyyah, Jild 3)
◽ Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما ki haddees per HUZOOR NABI KAREEM ﷺ k is irshad e girami k mayine ki waja se aetraaz hota hai k AAP ﷺ ne roza rakha to SAHABA E KIRAAM رضي الله عنهم ne arz kiya YA RASOOL ALLAH ﷺ, yahood o nasara is din ki tazeem karte hain?
◽ To AAP ﷺ ne farmaya, jab aayinda saal aayega to hum 9wi tareekh ka roza bhi rakhenge.
◽ Raawi farmate hain k aayinda saal abhi nahi aaya tha k HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ka wisaal hogaya.
(Sunan Abu Daood, Raqam Al Hadees 2445)
⚫ Hazrat Qartabi farmate hain, lafz ashoora aashar se mubaligha aur tazeem k liye badla gaya hai asal me “ليلة عاشره” (10wi raat) ki sifat hai kyu k ye ashar se makhooz hai jo ek aqd (ginti) ka naam hai, aur din iski taraf mazaaf hai jab YAOM E ASHOORA kaha jata hai to goya 10wi raat ka din kaha gaya (YAOM UL LAELATUL AASHERA).
⚫ Lekin jab unhone isko sifat se badal diya to ismey ghalib agayi pas maozoof ki zarurat na rahi lehaza isey hazaf kardiya is buniyaad per YAOM E ASHOORA asam me YAOM E AASHAR 10wa din hai, ye khaleel waghaera (ayema lughat) ka qaol hai.
⚫ Ibne Muneer ne kaha k aksar hazraat k nazdeek YAOM E ASHOORA MUHARRAM UL HARAAM KA 10WA DIN HAI, ishteqaaq aur tasmiya ka miqteza bhi yahi hai (yaani 10wa din hai, ashar se makhooz hai).
(Mawahib Laduniyyah, Jild 3)
◽ Ibne Qayyam ne kaha k jo shaks Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما ki riwayaat k majmua me gaor o fikr karega iskey liye aetraaz ka zawaal aur Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما ki ilmi wasaat wazeh hojayegi unhone ashoora 9wi tareekh ko nahi kaha.
⚫ Balkey sawaal karnewale se farmaya 9wi tareekh ko roza rakho aur puchne wale ki maarfat per iktefa kiya k yaom e ashoora 10wa din hai jisey log bhi ashoora kehte hain to AAP ne sawaal karne walo ki yu rehnumayi farmayi k wo 9 Muharram ka roza bhi rakhey aur bataya k HUZOOR NABI KAREEM ﷺ bhi isi tarah roza rakha karte the.
⚪ To issey ya to aap ka feyl muraad hai aur wo zyada munasib hai ya feyl ko amar aur mustaqbil me iskey azam per mahmool kiya jayega aur yahi baat marwi hai k HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne hamey YAOM E ASHOORA k roze ka hokum diya aur wo 10wa din hai.
◾ To ye tamaam riwayaat ek dusrey ki tasdeeq karti hain.
(Mawahib Laduniyyah, Jild 3)
Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!